Sunday, April 25, 2010

tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi

tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Tanhaiyaan bhi naa mayassar ki hum jee bhar k role

Tanhaiyaan bhi naa mayassar ki hum jee bhar k role,
Manale gham thora sa, k ansuoN ko bhar bhar ke role,
Ansoon jo bahe sare rah, kaise hum unhe chippayen..
Naraaz hai tanhaiyaan ki kaise hum ansuoN ko manaye ..
Beh jo gaye toh mushkil hoga duniya ko samjhana,
Mil jo jaye hume tanhai phir tuh ae ansooN zaroor aana ..
Lekin hai pabandi in ansuoN pe ki aise hi naa chale aana
Zarra tadapane dena humare jazbo ko tab tum aana !!
ChaloIkshayarab nikle hum dhoondne tanhai k ab role..
Manale gham thora sa, k ansuoN ko bhar bhar ke role...

Mere dukh ki koi dawa na karo

Mere dukh ki koi dawa na karo
mujhko mujhse juda na karo

Na khuda ko khudai ka gam hai to phir
doob jao khuda khuda na karo

Yeh sikhaya hai dosti ne hume
dost ban kar kabhi wafa na karo

Ishq ahi ishq yeh mazak nahin
chnd lamhon mein faisla na karo

Mujhe is zindagi se qabal hi nashaad ker detey

Mujhe is zindagi se qabal hi nashaad ker detey
Abhi tanha kiya hai to tabhi berbaad ker detey...

kabhi terey dayaar-e-ishq mai abaad na hota
Dil-e-mehtaab ko aisa dil-e-berbaad ker detey ...

Her ek rabt khatam aur saari aas bhi tooti
Adhoorey khawab se ankhon ko bhi Azaad ker detey...

Mujhe tum kuch bhi kertey mujh se faqat pyar na kertey
Jala ker raakh kertey zindagi berbaad ker detey...

Kiye wadey nibhatey aur mujhe abaad ker detey
Sabhi wadey jo torey mujh ko bhi berbaad ker detey...

Hamein maloom ager hota ke hona wasta gham se
To hum is dil ki nermiyon ko bhi folaad ker detey...

Ager sab kuch mere naseeb ka likha nahi hota
To hum duniya ko bhi dil ki tarah berbaad ker detey...

Maine poocha chand se ke dekha hai kahin

Maine poocha chand se
ke dekha hai kahin
mera yaar sa haseen
Chand ne kaha
Chandni ki kasam, nahi nahi nahi
Maine poocha chand se...

Maine yeh hi jaab tera dhoondha
har jageh shabab tera dhoondha
kaliyon se misaal teri poochi
phoolon ne jawaab tera dhoondha

maine poocha baag se
falak ho ya zameen
aisa phool hai kahin
baag ne kaha har kali ki kasam

Maine poocha chand se...

Ho, Chaal hai ke mauj ki ravaani
Zulf hai ke raat ki kahani
Hont hain ke aaine kawal ke
aankh hai ke mahkadon ki rani

maine poocha jaam se
falak ho ya zameen
aisi meh bhi hai kahin
jaam ne kaha mehkashi ki kasam

Maine Poocha Chand se...

Khoobsurati jo tune paayi
lut gayi khuda ki bas khudaayi
meer ke gazal kahun tujhe main
ya kahun khaiyyaam ki rubaayi

main jo poochun shayaron se
aisa dil nashi
koyi sher hai kahin
shayar kahen shayari ki kasam

Maine poocha chand se ...

shehr e Muhabbat,hijer ka mosaam,ahd e wafa aur mai

shehr e Muhabbat,hijer ka mosaam,ahd e wafa aur mai
tu to is basti se khush khush chala gaya,aur mai?

tu jo na ho to jaisay sub ko chup lug jatti hai
aapas mai kia bateen krtay raat diya,aur mai!!

ser e chaman aadat thi pehlay abb majbori hai
teri talaash mai chal pertay hain bad e SABA aur mai

jisko dekho teri hawa mai pagal phirta hai
werna hum mashreb to nahi thay khalq e KHUDA aur mai

aik to woh hum raaz mera hai phr tera madhaa
bss tera he zkr kia krtay hain ZIYA aur mai

aik zamane bad Faraz ye shair kahay hain maine
aik muddat se milay nahi hain yaar mera aur mai!!!

Phir teri kahani yaad aye

Phir teri kahani yaad aye
Phir tera fasana yaad aya
Phir aaj humari ankho ko
Aik khawab purana yaad aya
Jaltay hen chiraghon ki surat
Har sham teri hum yaadon men
Jab subhu ko shabnam roti hay
Kho jatay hen hum faryadon men
Jab dil ne koi awaz suni
Tera hi tarana yaad aya
Shayad kabhi milna ho jaye
Baithay hen isi arman men hum
Tu nay to kinara pa hi liya
Uljhay hen magar toofan men hum
A jaan e wafa phir aaj humen
Pichla wo zamana yaad aya

Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay

Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay
Kahan ho tum k ye dil beqarar aaj bhi hay

Wo vaadiyan, wo fizaaein k hum milay thay jahaan
Meri wafa ka wahiin par mazaar aaj bhi hay

Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay
Najanay dekh k kyun un ko ye huwa ahsaas

K meray dil pay, unhay ikhtiar aaj bhi hay
Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay

Wo payar jis k liye hum nay chor di duniya
Wafa ki raagh main ghaayal wo payar aaj bhi hay

Yaqeen nahi hay magar aaj bhi ye lagta hay
Meri talaash may shayad baahaar aaj bhi hay

Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay
Na pooch kitnay muhabbat k zakhm khaaey hain

K jin ko soch k dil suugawar aaj bhi hay
Wo payar jis k liye hum nay chor di duniya

Wafa ki raagh may ghayal wo payar aaj bhi hay
Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hay

Kahan ho tum k ye dil beqarar aaj bhi hay?

dasht-e-wafa mai pyaas ka alam ajeeb tha

dasht-e-wafa mai pyaas ka alam ajeeb tha
dekha to ek dard ka dariya kareeb tha

guzray jidhar jidhar say tamana kay qafilay
har har ek qadam mai nishaa’n saleeb tha 

kuch asi mehraba’n to na thi hum pay zindagi
kyu har koi jaha’n mai hamra raqeeb tha

kya kya laho say apnay kya hum nay surkhroo
is daur kay nagar ko jo dil say kareeb tha

apna pata to is nay diya tha mujhay karam
mai khud hi khogya to ye mera naseeb tha

mansoob thay jo log meri zindagi k sath

mansoob thay jo log meri zindagi k sath
aksar wohi milay hain bari bay rukhi k sath

majboriyoon ki baat chali hai to mai kahan
hum nay piya hai zaher aksar khushi k sath

chahray badal badal k mujhay mil rahay hain log
itna bura sulook meri sadgi k sath

gar karam ki lai bhi ho , jis main khuloos bhi
mujh ko gazab ka pyar hai us dushmani k sath.

Aarzoo thi humein itna zahe kismat mil jaaye

Aarzoo thi humein itna zahe kismat mil
jaaye
Saari duniya mein kissi se toh mohabbat
Mil jaye
Jeete ji paaya na kuch humne zamaane
Walon
Ab janaaze ko toh rukhsat mil
Jaaye…

Pooch rahe hain, poochne wale
Pooch rahe hain, poochne wale
Lekin hum batlaaye kya
Lekin hum batlaaye kya
Daag is dil ne paaye hain kaise
Daag is dil ne paaye hain kaise
Unko hum samjhaaye kya
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale

Kitne daag hain is daaman mein
Kitne daag hain is maathe par
Ho… kitne daag hain is damaan mein
Kitne daag hain maathe par
Jo umko aapna sakte the
Sach hai humein aapnaye kya…
Daag ye dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale…

Jo apnon ki basti thi ab
Nagri hai begaanon ki
Jo apnon ki basti thi ab
Nagri hai begaanon ki
Kaun yahaan hai sunnewala
Dil ki baat sunaaye kya
Daag yeh dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale…

Pathar ab kya phekh rahe ho
Hum pehle se zakhmi hai
Haan…pathar ab kya phekh rahe ho
Hum pehle se zakhmi hai
Dil par kitne zakhm lage hai
Chodo tumhe ginwaaye kya
Daag ye dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale....

tanhay sang dil tanhay

tanhay sang dil tanhay
sang lay..... yaad teri sang lay
baar baar woh bahaar phir se yaad ay
sooni sooni rah dil ki jisne thi sajay

Tanha dil...roya re....dil roya re.....

har taraf bikhre hain teri yaad ke hi nishan
meri har ek cheez mein hain teri hi parchaiian
tu hi hota hai tu hi rehta hai mujhe mein har dam sada...
pass bhi tu hai door bhi tu hi hai....hai yeh kaisi khala...
Yaad ban ke ashq teri aakhon mein samay..
yaad ban ke ek hasi honton pe to ay....

tanha dil....roya re....dil roya re.....
roya re..dil roya re........


chaand sooraj bhi wahin hain
hai wahin aasaman
zindagi bhi chal rahi hai chal raha hai jahan....
mein hi tehra hoon
khud mein simta hoon
dil hai ghum se bhara....
bin tere kaise jiun mein
kuch to de mashwara
zindagani aisi reh guzer pe mujh ko lay
say se bhi ab tere ho gay juday...


tanha dil ...roya re...dil roya re....
roya re....dil roya re.........

Apnay haathon sai yun chehray ko chhupaate kyon ho

Apnay haathon sai yun chehray ko chhupaate kyon ho
Mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho 

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
Pyaar kartay ho to phir pyaar chhupaate kyon ho 

Ashk aankhon me meri dekh ke rotay kyon ho
Dil bhar ataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho 

In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum
Mere shaanon se ye zulf hataatay kyon ho 

Roz mar mar ke mujhe jeenay ko kehtay kyon ho
Milnay aatay ho to phir laut ke jaatay kyon ho...............

apni tanhaiyon main

apni tanhaiyon main
koi saya bhi nahi
apni tanhaiyon main
koi saya bhi nahi
koi apna bhi nahi
koi paraya bhi nahi

kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon

sari jhotee batein hain
din apnay na ratein hain
sari jhotee batein hain
din apnay na ratein hain
pal pal ek kahani hai
jo jeewan bhar dohrani hai

kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon

chehray kya tasveerein hain
na khwab hai na tabeerein hain
chehray kya tasveerein hain
na khwab hai na tabeerein hain
aas hai jo keh jeevan bhar
uljha uljha bhandan... hai

kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon

apni tanhaiyon main
koi saya bhi nahi
apni tanhaiyon main
koi saya bhi nahi
koi apna bhi nahi
koi paraya bhi nahi

kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon
kise awaz doon

YaQeen Kar Lo Sar Se Paaon Tak Zameen Se Neele Aasman Tak

Yaqeen Kar Lo Sar Se Paaon Tak Zameen Se Neele Aasman Tak,
Teri Tamanna Mein Jee Rahe Hai Judayi Ka Zeher Pee Rahe Hai,
Na Tairgi Ka Mizaj Dekha Na Roshni Ka Khiraj Dekha,
Chale Hai Teri Nagar Ke Jaanib Ruke Hai Teri Nazar Ki Jaanib,
YaQeen Kar Lo Ke Aasman Bhi Tumhare Dil Ka Ye Aashiyan Bhi,
Meri Wafa Ka Ameen Hoga Aise Bhi Mujh Par YaQeen Hoga,
Haan Dooriyon Ka Sabab Batao Ye Kaisa Khud Par Gazab Batao,
Batao Wo Dilki Pyaari Baatein Na Keh Sake Jo Wo Pyari Baatein,
Batao Khuf-O-Hiras Kyon Hai Tumhare Andar Ye Pyaas Kyon Hai,
Kyon Mere Nazdeek Aate Aate Jhijhak Ke Kyon Ho Palat Jaate,
Tum Aao Mujh Par YaQeen Kar Lo Mujhe Bhi Dilka Makeen Kar Lo,
Hamein Tumhari Hi Aarzu Hai Hamein Tumhari Hi Justuju Hai...

 

Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna

Mohabbat ki asiri say rehai mangtay rehna
Bohat aasan nahi hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena,zara si aankh bhar lena
Awiz is kay magar sari khudai mangtay rehna 

Kabhi mehroom honton par dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat min us ki narsai mangtay rehna 

Wafaon kay tasalsul se mohabbat rooth jati hai
Kahani main zara si bewafai mangtay rehna 

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kh ibadat ho gai
dil ki Sukooot-e-sham-e-gham se humnumai mangtay rehna

Kabhi bachay ka nannhay hath par titli k par rakhna
Kabhi phir us kay rangon se rehai mangtay rehna

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye

kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

zara khud ko sambhalo mera dil dhadak raha hai
koi aur tair-e-dil tah-e-daaman aa na jaaye

jise soonke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

woh ke manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
inhi rehzahon mein tera kahin naam aa na jaaye

yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe
mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye...

badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai

badnaam mere pyaar kaa afsaanaa huaa hai
diiwaane bhii kahate hain kii diiwaanaa huaa hai

rishtaa thaa tabhii to kisii bedard ne todaa
apanaa thaa tabhii to koii begaanaa huaa hai

baadal kii tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viiraana huaa hai

bajate hain Khayaalon mein terii yaad ke ghungaruu
kuchh din se meraa ghar bhii pari Khaanaa huaa hai

mausam ne banaayaa hai nigaahon ko sharaabii
jis phuul ko dekhuun wahii paimaanaa huaa hai

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte

Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte

Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte

Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte

Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte

koi aa kar mera haath thaam lay

koi aa kar mera haath thaam lay'mujhe tanhayon se dar lagta hai,
koi apna keh kar mera naam to le'mujhe har jayo se dar lagta hai,

sama jaye mere wajood main'mujhe judayon se dar lagta hai,
milne ko aajao ik roz mujhe'mujhe ruswayon se dar lagta hai,

dil to chahay apnalon tujhe'mujhe gumrahyo se dar lagta hai,
pinay ko piyo gee bhar kar'mujhe burayo se dar lagta hai,

ishq main doob jaon main bhi'mujhe gehrayon se dar lagta hai,
karlo barbad zindagi apni'mujhe tabahayo se dar lagta hai,
kisay karon pyar ay diwane'mujhe bewafaon se dar lagta hai.....!!!!

Chupke chupke raat din aansoon bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansoon bahaana yaad hai
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamaana yaad hai

Tujh se milte hi woh kuchh bebaak ho jaana mera
Aur tera daanton mein woh ungali dabaana yaad hai

Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagaah
Muddatein guzareen par ab tak wo thikaana yaad hai

Khench lenaa wo mera parde ka konaa daffatan
Aur dupatte mein tera woh munh chhupaana yaad hai

Tujh ko jab tanhaa kabhii paana to az raah-e-lihaaz
Haal-e-dil baaton hi baaton mein jataanaa yaad hai

Aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaaq
Woh tera ro-ro ke bhi mujhko rulaana yaad hai

Dopahar ki dhoop mein mere bulane ke liye
Woh tera kothe pe nangey paaon aana yaad hai

chale wo kadam kadam jo saath mere

chale wo kadam kadam jo saath mere..
to uske saath se pyaar ho jaye..

thamay jo pyaar se haath mera..
to apne haath se pyaar ho jaye..

jis raat aaye khawabon main wo..
us suhani raat se pyaar ho jaye..

jis baat main aaye zikar uska..
to ussi baat se pyaar ho jaye..

jab pukaray pyaar se naam mera..
to apnay he naam se pyaar ho jaye..

hota hai itna khoobsurat ye pyaar agar..
to kaash ussey bhi mere pyaar se pyaar ho jaye...

Wo kehta ha usay muj say payar nahi ha

Wo kehta ha usay muj say payar nahi ha

Wo go her pal mery intazare ma rehta ha

Wo go her pal mery sath rehta ha

Wo go apnay hatao per mery naam ke mehndi legata ha

Wo go mery liay sanwarta ha khud ko

Wo gis nay mery sath k liay sub ka sath choor dya

Wo gis ke sansan mery liay chalti ha

Wo go mujay khud say zayada cahta ha

Wo go khud say zayada mera khayal rakhta ha

Wo gis ke nazar her pal mujay talash kerti ha

Wo gis ke sansan yah soch ker ruknay lagti ha k main kehi jaa raha hoon

Wo gis ke ankhon ma sirf mery hi tasveer ha

Wo gis ke ankhon ma sirf mera hi sapna ha

Wo gis k labo pa sirf mera hi naam ha

Wo go khud ko mujay sonpna cahta ha

Wo go kehta ha mery Akhri sans bhi tumhary liay ha

Wo go yah chata ha hamsha mery banho ma reahy

Wo go mery kushi ko apni kushi ganta ha

Wo go mery dukh ko apna dukh manta ha

Ma to ganta hu usay muj say payar ha

Mughr wo phir bhi yahi kehta ha

Usay muj say payar nahi ha

Na janay wo kyun kehta ha

Usay muj say payar nahi ha

Popular Posts