Sunday, April 25, 2010

Aarzoo thi humein itna zahe kismat mil jaaye

Aarzoo thi humein itna zahe kismat mil
jaaye
Saari duniya mein kissi se toh mohabbat
Mil jaye
Jeete ji paaya na kuch humne zamaane
Walon
Ab janaaze ko toh rukhsat mil
Jaaye…

Pooch rahe hain, poochne wale
Pooch rahe hain, poochne wale
Lekin hum batlaaye kya
Lekin hum batlaaye kya
Daag is dil ne paaye hain kaise
Daag is dil ne paaye hain kaise
Unko hum samjhaaye kya
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale

Kitne daag hain is daaman mein
Kitne daag hain is maathe par
Ho… kitne daag hain is damaan mein
Kitne daag hain maathe par
Jo umko aapna sakte the
Sach hai humein aapnaye kya…
Daag ye dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale…

Jo apnon ki basti thi ab
Nagri hai begaanon ki
Jo apnon ki basti thi ab
Nagri hai begaanon ki
Kaun yahaan hai sunnewala
Dil ki baat sunaaye kya
Daag yeh dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale…

Pathar ab kya phekh rahe ho
Hum pehle se zakhmi hai
Haan…pathar ab kya phekh rahe ho
Hum pehle se zakhmi hai
Dil par kitne zakhm lage hai
Chodo tumhe ginwaaye kya
Daag ye dil ne paaye hai kaise
Unko hum samjhaaye kya
Pooch rahe hai poochne wale....

No comments:

Popular Posts