Thursday, July 15, 2010

Hum jo tootay tou iss tarah tootay


Hum jo tootay tou iss tarah tootay
Jaisay haathon say girr kay pathher peh
Koii shaffaf aaiina tootay
Jaisay palkon say toot'ta aansoo
Jaisay seenay main ik kamaan tootay
Jaisay ummeed kii koii daalii
Barq mousam main naa-gehaan tootay

Jaisay aankhon main khwaab ki dorii
Waqt-e-takmeel say ulajh jaaye
Jaisay pairon talay zameen niklay
Jaisay sar per yeh aasmaan tootay

Jaisay jis shaakh peh bharosa kiya
Uss peh jitnay they aashiyaan tootay
Jaisay wehshat say hosh aa jaaye
Jaisay ta-dair main dhayaan tootay

Ab jo raiza howay tou sochtay hain
Kis nay dekha thaa tootna apna
Hum jo tootay tou raaye'gaan tootay

Iss Basti ke Ik koochey mein Ik Inshah Naam ka Deewana


Iss Basti ke Ik koochey mein Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya mash'hoor hai uss ka afsaana

Uss naar mein aisa roop na tha jis roop se din ki dhoop dabbey
iss shehar mein kya kya gori hai mehtaab rukhey gulnaar labbey
kuch baat thi uss ki baatoo'n mein kuch bhaid they uss ke chitwan mein
wuhi bhaid ke joat jagaatey hain kisi chahney waaley ke mann mein
ussey apna banaey ki dhun mein hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha Deewana

Na chanchal khail jawani ke na payaar ki al'harh ghaatein thein
bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
iss Ishq pe ham bhi hanstey they behasil sa behasil tha?
ik roz biphartey sagar mein na kashti thi na sahil tha
jo baat thi in ke ji mein thi jo bhaid tha yaksar anjaana
iss basti ek ik koochey mein ik Inshah naam tha deewana

ik roz magar barkha rutt mein wo bhaadoon' thi ya sawan tha
deewar pe beech sumandar ke yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi woh - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Inhah naam tha deewana

Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein Ik Inshah naam tha deewana

Go Aag se Chaati jalti thi Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka deewana

Ab aagey ka Tehqeeq nahi go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui, kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha deewana

Har baat ki khoj to theek nahi tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah Naam tha deewaan

Saaman-E-Tijarat Mera Eeman Nahi Hai


Saaman-E-Tijarat Mera Eeman Nahi Hai,
Har Dar Pe Jhuke Sar Ye Meri Shan Nahin Hai.

Har Lafz Ko Seene Mai Basalo To Bane Baat,
Taqo'n Mai Sajane Ko Ye "Quraa'n Nahi Hai,

Allah Mere Rizq Ki Barkat Na Chali Jayee,
Do Rooz Se Ghar Main Mere Mehmaan Nahi Hai.

Humne To Samandar Mai Bhi Raste Hain Banaye,
Yun Humko Mitana Koi Aasaan Nahi Hai.

Main Teri Mohabbat Mai Giraftar Hoon Lekin,
Main Tujhko Khuda Samjhun Ye Imkaan Nahi Hai.

Do Chaar Ummidon Ke Diye Ab Bhi Hain Roshan,
Dil Ki Haweli Abhi Veeran Nahin Hai...

Wo Jab Yaad Aane Lagte Hai Tab Kuch Achha Nahi Lagta


Wo Jab Yaad Aane Lagte Hai,
Tab Kuch Achha Nahi Lagta,

Sawan Ki Kaali Ghataon Mein,
Lehrakar Jhumna Achha Nahi Lagta,

Barish Ki Pehli Rimjhim Mein,
Bhigna Mujhko Achha Nahi Lagta,

Baghon Ki Thandi Fizaon Mein,
Machal Kar Simat Jaana Achha Nahi Lagta,

Koyal Ka Pyara Nagma Sunkar Bhi
Gungunana Mujhko Achha Nahi Lagta,

Samne Hasti Khilti Kaliyan Hai,
Dekhkar Inko Muskurana Achha Nahi Lagta,

In Dhadkano Ki Rawaani Ka
Yun Besabab Aana Jaana Achha Nahi Lagta,

Ab Hum Tanha Hai Lekin,
Tumhara Yaad Aana Achha Nahi Lagta,

Jaagte Emin Sula Diya Hai Mujhe


Jaagte Emin Sula Diya Hai Mujhe,
Dil Ne Itna Thakaa Diya Hai Mujhe,

Shehr-E-Khamosh, Tere Deedar Ki Khaatir,
Tu Ne Lehja Naya Diya Hai Mujhe,

Meri Aankhon Ne Kho Diya Tha Jo Khwaab,
Teri Aankhon Ne Laa Diya Hai Mujhe,

Kaisi Gardish Thi, Kaisi Laghzish Thi,
Khaak Par Se Utha Diya Hai Mujhe,

Pehle Maine Diya Ganwaya Tha,
Ab Diye Ne Ganwa Diya Hai Mujhe,

Dasht-O-Dariya Ne Mujhse Mil Mil Kar,
Apne Jaisa Bana Diya Hai Mujhe,

Usne Ek Baagh Me Bulaya Hai,
Aur Dil Ka Pata Diya Hai Mujhe...

Subah Ke Akhbaar Mein Taaza Khabar Koi Nahi


Subah Ke Akhbaar Mein Taaza Khabar Koi Nahi,
Kya Tamasha Hai Ke Phir Bhi Bekhabar Koi Nahi,

Sabki Unchi Hai Udanein Sab Hai Shahbaz-E-Safar,
Ab Hamare Sheher Mein Be Baal-O-Par Koi Nahi,

Sab Ke Wehshatzada Se Chal Rahe Hai Saath Saath,
Saaneha Ye Hai Kisika Humsafar Koi Nahi,

Shaakh Pe Zayton Ki Sab Fakhtein So Gayi,
Kya Yahan Aman-O-Sukoon Ki Rehguzar Koi Nahi,

Aadmi Pyaasa Hua Hai Aadmi Ke Khoon Ka,
Ya Ilaah Raah Dikhla Raah Par Koi Nahi,

Kis Qadar Khoobsurat Ye Zameen Soche Koi,
Sochta Hai Kaun Yaan Ahl-E-Nazar Koi Nahi...

Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se


Pooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,

Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,

Pyar Dil Me Hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,

Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se...

Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se,

Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hai Badhane Se,

Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se,

Bhool Jao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se...

Main Saahil Pe Likhi Hui Kahani Nahi


Main Saahil Pe Likhi Hui Kahani Nahi,
Jo Lehron Se Mit Jaati Hai,
Main Barish Ki Barasti Boond Nahi,
Jo Baras Kar Tham Jaati Hai,
Main Khwaab Nahi
Jise Dekha Aur Bhula Diya,
Main Shama Nahi
Jise Phoonka Aur Bujha Diya,
Main Hawa Ka Jhonka Nahi,
Jo Aaya Aur Guzar Gaya,
Main Chand Bhi Nahi
Jo Raat Ke Baad Dhal Jaye,
Main To Wo Ehsaas Hoon,
Jo Tujh Me Lahoo Ban Kar Gardish Kare
Main To Wo Rang Hoon,
Jo Tere Dil Pe Chade To Kabhi Na Mite,
Main Wo Geet Hoon,
Jo Tere Labon Se Juda Na Hoga,
Khwaab, Kahani, Hawa Ki Tarah,
Chand, Boond, Shama Ki Tarah,
Mere Mitne Ka Sawal Nahi,
Kyonki Main To MOHABBAT Hoon,
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahi...

Woh Saari Baatein Khwaab Hui


Woh Saari Baatein Khwaab Hui,
Aur Khwaab Se Phir Azaab Hui,
Jab Tumko Saba Ke Jhonke Se,
Paigham Hamara Milta Tha,
Jab Meri Ek Nazar Se Hi,
Chehra Ye Tumhara Khilta Tha,
Kuch Yaad Sa Tumko Hai Janam
Jab Ghanto Baatein Karneki Aadat Roz Ki Thi,
Kuch Der Jo Mujhko Ho Jaati
Tum Ghanto Rootha Karte The,
Kabhi Geeton Ki Kabhi Sheron Ki,
Tum Khwaahish Mujhse Karte The,
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se,
Mere Chehre Se Meri Aankhonse,
Aur Jhaank Ke Meri Aankhon Mein,
Tum Khudko Dhunda Karte The,
Ek Do Din Dekh Na Paao To,
Tum Bekal Bekal Rehte The,
Aur Ab To Aisa Aalam Hai,
Koi Chahat Hai Na Ulfat Hai,
Kya Pyaar, Mohabbat Aur Wafa,
Is Ziqr Se Tum Ko Vehshat Hai,
Main Laakh Tasalli Khud Ko Dun,
Ke Ab Bhi Teri Khwaahish Hoon,
Anjaan Bezaaar Se Lagte Ho,
Main Ab Bhi Teri Talabgaar Hoon,
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hai,
Kab Tak Dilko Behlayega
Do Palki Khushiyan De Kar Ye
Mujhe Sadiyan Lahoo Rulayega,
Kyon Tum Takdeer Se Ladte Ho,
Kyon Khudko Dhoka Dete Ho,
Khwaabon Ke Tukde Chun Ke Ab,
Kyon Khudko Ghayal Karte Ho,
Ye Baat Tumhein Malum To Hai,
Kab Beeti Yaadein Lauti Hai,
Jo Baatein Khwaab Si Ho Jayein,
Wo Baatein Khwaab Hi Rehti Hai...

Mohabbat Dil Main Hoti Hai


Mohabbat Dil Main Hoti Hai
Mohabbat Karne Wale Dil
Kabhi Bichrra Nahi Karte
Juddaiyaan Aa Bhi Jaati Hain
Khushiyaan Rooth Bhi Jaati Hain
MAGAR.......!!!!!
Jab Kisi Dil Main
Kisi Ki Yaad Baaki Ho
To Mohabbat Karne Wale Dil
Kabhi Toota Nahi Karte
Mohabbat Karne Wale Bhi

Kabhi Rootha Nahi Karte

Meri Dua Hai Ke Khush Raho Tum


Meri Dua Hai Ke Khush Raho Tum,
Mile Na Koi Gam Jahan Bhi Raho Tum,

Samundar Ki Tarah Dil Hai Gehra Tumhara,
Khushiyon Se Bhara Rahe Daman Tumhara,

Tum Jo Kaho Wo Har Khwahish Puri Ho Tumhari,
Khuda Se Bhi Bas Yehi Dua Hai Hamari,

Tohfa Kya Dun Tumhe Duwaon Ke Siwa,
Ke Khuda Hamesha Rahe Raazi Tumse Sada,

Samundar Ki Tarah Dil Hai Ghera Tera,
Khushiyon Se Bhara Rahe Daaman Tera,

Mere Naseeb Me Ujale Ki Ek Kiran Nahi To Kya,
Chaand Chamakta Rahe Tere Daaman Me Sada

Koi Kaisa Humsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao



Koi Kaisa Humsafar Hai Ye Abhi Se Mat Batao
Abhi Kya Pata Kisika Ke Chali Nahi Hai Naav,

Ye Zaroori To Nahi Hai Ke Sada Rahein Marasim,
Ye Safar Ki Dosti Hai Ise Rog Mat Banao,

Mere Charagur Bahut Hai Ye Khalish Magar Hai Dil Mein,
Kio Aisa Ho Ke Jisko Ho Azeez Mere Ghaav,

Tumhein Aaina Gari Mein Hai Bahut Kamaal Haasil,
Mera Dil Hai Kirchi Kirchi Ise Jod Kar Dikhao,

Mujhe Kya Padi Hai Ke Parayi Aag Maangun,
Main Gazal Ki Aadi Hoon, Mere Apne Hai Ye Ghaav

IshQ Jab Meharbaan Ho To Kya Kijiye


IshQ Jab Meharbaan Ho To Kya Kijiye,
Husn Ki Maghfirat Ki Dua Kijiye,

Is SaliQe Se Unse Gila Kijiye,
Jab Gila Kijiye To Hans Diya Kijiye,

Doosron Par Agar Tabsarah Kijiye,
Samne Aaina Rakh Liya Kijiye,

Koi Dhoka Na Kha Jaye Meri Tarah,
Aise Khul Kar Na Sabse Mila Kijiye,

Aap Chain Se Hai TarQ-E-TalaQ Ke Baad,
Itni Jaldi Na Ye Faisla Kijiye,

Zindagi Kat Rahi Hia Bade Chain Se,
Aur Gam Ho To Wo Bhi Ata Kijiye,

Dil-O-Dimag Apni Apni Kahein Jab
Dimag Ki Suniye Dil Ka Kaha Kijiye

Meri Kismat Banane Wale Meri Kismat Aisi Banayi Kyon


Meri Kismat Banane Wale
Meri Kismat Aisi Banayi Kyon,

Meri Zindagi Me Kuch Khushiyan Thi,
Tune Unhe Mujhse Chhin Liya Kyon,

Agar Ye Dastoor-E-Zindagi Hai
To Aisi Zindagi Banayi Kyon,

Ye Shikwa Nahi Tujhse Sawal Hai,
Tune Duniya Mein Gam Banaye Kyon,

Gam Bana Ke Kar Diya Insaan Ko Bebas,
Khudkhushi Ko Kiya Haram Tune Kyon,

Mujhe Na Mili Meri Koi Bhi Arzoo,
Unhein Meri Aarzu Banaya Kyon,

Meri Kismat Me Agar Wo Nahi Hai
To Meri Zindagi Me Use Laya Kyon

Na Chahte Hue Bhi Tum Meri Jaan Ban Gaye Ho



Na Chahte Hue Bhi Tum Meri Jaan Ban Gaye Ho,
Kyon Bin Bulaye Dilke Mehmaan Ban Gaye Ho,

Pyar Ke Ye Raste Meri Manzil Kabhi Na The,
Tum Ba-Khabar The Phir Bhi Anjaan Ban Gaye Ho,

In Labon Ko Seene Me Hi Thi Sabki Behtari,
Khamoshiyonki Tum Meri Zubaan Ban Gaye Ho,

Jaane Anjaane Me Tum Hi Ne Mujhko Dukh Diya,
Kitni Samajh Thi Tum Me Kyon Nadan Ban Gaye Ho

Chalo Hum Maan Lete Hai tumhe Fursat Nahi Milti


Chalo Hum Maan Lete Hai,
Tumhe Fursat Nahi Milti,
Na Duniya Ke Jhamelo Se,
Na Apno Ke Fasaano Se,
Ye Sab Kuch Maan Lete Hai,
Magar Ek Aarzu Dilki,
Tumhe Dilse Batate Hai,
Agar Fursat Mile Tumko,
Ek Lamhe Ko Aa Jana,
Hamein Itna Bata Jaana,
Tumhe Hamara Intezar Hai,
Tumhari Aankhon Me Ab Bhi
Hamare Khwab Palte Hai,
Yakeen Jaano Ye Ek Baat
Hamein Umar Bhar Intezar
Karne Ka Hausla De Jayegi
Hamein Deewana Bana Degi...

Tum Jo Pal Bhar Ko Thehro To Ye Lamhe Bhi


Tum Jo Pal Bhar Ko Thehro To Ye Lamhe Bhi
Aane Wale Kayi Lamhonki Amanat Ho Jayein,
Tum Jo Thehro To Ye Raat Ye Mehtaab,
Ye Gulshan, Ye Gulab Aur Hum Dono Ke Khwab,
Sab Ke Sab Aise Gum Ho Ke Hakikat Ho Jaye,
Tum Theher Jao Ke Khwabon Ki Taabeer Ho Tum,
Tum Se Talkhiye Aukat Ka Mausam Badle,
Meherbaan Hoke Na Thehro To Phir Yun Thehro,
Jaise Pal Bhar Ko Khwab-E-Tamanna Thehre,
Jaise Darwesh-E-Maddah Nosh Ke Piyale Me Kabhi
Ek Do Pal Ke Liye Talkhi-E-Duniya Thehre,
Tum Theher Jao Ke Madarat Ke Maykhane Se,
Chalte Chalte Kio Ek Aadh Sabu Ho Jaye,
Isse Pehle Ke Koi Lamha-E-Aainda Ka Teer,
Is Tarah Aaye Ke Paiwast-E-Qulu Ho Jaye...

Na Hoge Gar Hum To Kya Ho Jayega


Na Hoge Gar Hum To Kya Ho Jayega,
Hamara Justaju Kya Aankhonse Aansu Sa Beh Jayega,
Na Khuli Aankh Ek Seher Par To Kya Ho Jayega,
Tamannayein Kya, Sirf Ek MaQbara Sa Ban Kar Reh Jayega...

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga,
Hamara Naam Kya Saahil Ki Ret Se Beh Jayega,
Ya Justaju Hamara Kisiki Yaadon Ka Hissa Ban Jayega,
Kya Hamare Naam Ka Bhi Koi Kahin Chirag Jalaya Jayega??

Na Ho Gar Hum To Kya Hoga,
Koi Kya Phir Hamare Lautne Ka Rasta Dekhega,
Hum Aayenge Phir Khwabon Me Isise Dil Behlayega,
Ya Sawal-E-Vasl Pe Humein Afsano Ki Tarah Bhool Jayega...

Ye Kya Jagah Hai, Kahan Aa Gaye Hum,
Ye Charo Taraf Unki Parchhaiyi Hai Kaise,
Ye Kaunsi Dua Hamari Manzoor Ho Gayi Hai,
Ye Kaunse Khwab Hamare Hakikat Ho Chale Hai...

Jab Bhi Dekhoge Raahon Mein Door Tak Kisiko


Jab Bhi Dekhoge Raahon Mein Door Tak Kisiko,
Main Dhool Ki Tarah Teri Nazron Mein Utar Jaunga,

Main Nahi Karunga Tang Na Tadpaunga Tumhe,
Main Zard Patte Ki Tarah Dali Se Gir Jaunga,

Na Karo Gam, Main Nahi Rokunga Kabhi Tumko,
Tere Raste Se Main Nigahein Jhuka Kar Guzar Jaunga,

Dekh Tumhe Zindagi Ki Baahon Mein,
Apne Marne Ki Khwahish Kiye Jaunga,

Sath Dene Ko Ayenge Hazaron Log,
Kisi Aur Ko Humsfar Na Bana Jaunga,

Baat Kuch Bhi Nahi, Tum Kyon Udaas Hoti Ho Mere Liye,
Main To Ashq Bhi Jaam Samajh Kar Pee Jaunga,

Sitam Zareef Zamana Bhi Afsana Bana Deta Hai,
Main Jaate Hue Kitaab-E-Ishq Jala Jaunga...

Mere Kismat Ki Lakeerein Mere Hathon Mein Na Thi

Mere Kismat Ki Lakeerein Mere Hathon Mein Na Thi,
Tere Maathe Par Koi Mera Muqaddar Dekhta,

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E-Hijran Ki Tarah,
Kisko Itna Hosla Tha Kaun Ji Bhar Ke Dekhta,

Doobne Wala Tha Aur Saahil Pe Chehron Ka Hojoom,
Palki Mohalat Thi Main Kisko Aankh Bhar Dekhta,

Tu Bhi Dilko Ek Lahoo Ki Boond Samjha Hai,
Aankh Hoti To Qatre Mein Samundar Dekhta...

Musalsal Baithna Tanha Musalsal Sochna Tanha


Musalsal Baithna Tanha,
Musalsal Sochna Tanha,
Musalsal Dekhna Khud Ko,
Musalsal Janchna Tanha,
Musalsal Khamoshi Sab Ki,
Musalsal Bolna Tanha,
Musalsal Uljhanein Dil Ki,
Musalsal Kholna Tanha,
Musalsal Jodna Sabko,
Musalsal Tootna Tanha,
Musalsal Aankh Mein Rehna,
Musalsal Doobna Tanha,
Musalsal Saad Achha Hai,
Musalsal Dhoondna Tanha...

Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga



Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga
sab se chhup kar woh kissi ka dekhna acha laga

Surmai Aankhon ke neechey phool se khilney lagey
kehtey kehtey kuch kissi ka sochna acha laga

baat tou kuch bhi nahin thi laiken "uss" ka aik dum
haath ko honton pe rakh kar rokna acha laga

Chaa'ey mein cheeni milaana uss ghari bhaaya buhut
zair - e lab woh muskuraata "shukria" acha laga

Dil mein kitney aehed baandhey thay bhulaaney ke ussey
woh mila tou sab iraadey torna acha laga

Uss udoo - e - jaan ko amjad bura kaisey kahoon
jab bhi Aaya saamney woh be-wafa acha laga

Ye To Zeest Ka Safar Hai Ye Jo Raasta Hai Mera



Ye To Zeest Ka Safar Hai,
Ye Jo Raasta Hai Mera,
TuM Agar Na Saath Doge,
To Ye Kis Tarah Katega,
Meri Soch Ki Hadon Tak,
Ye GuMaan Bhi Kaise Aaye,
Kio Pal Bina TuMhare,
Bhala Kaise Beet Jaye,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Yaad Ke Nagar Mein
Mere Khwaab Ke Safar Mein,
Meri Meri Soch Ki Tahon Tak,
Meri Aankh Ke Bhanwar Mein,
Mere Dil Me Jaan Me Tan Me,
Meri Hasraton Ke Ban Mein,
Mere Dil Ki Tairgee Mein,
Meri Shab Ki Roshni Mein,
Haan TuMhi Ho, Har Jagah Ho,
Mere Paas TuM Nahi Ho,
Mere Paas Kab Nahi Ho?
Meri Har Dua Ka Mehwaar,
Bas Ek Aarzu TuMhari,
Isi Aarzu Se Aagaye
Koi Raasta Nahi Hia,
TuMhe Kis Kadar Hai Chaha
Ye TuMhe Pata Nahi Hai...

Na Jane Kab Mile Fursat Isi LaMhe Chale Aao


Na Jane Kab Mile Fursat,
Isi LaMhe Chale Aao,
Na Jane Kab Mile Fursat
Ke Jab TuM Bhi Na Mil Pao
Ke Jab Main Bhi Na Mil Paun,
TuMhe Shikwy Sunane Hai,
Mujhe Aansu Bahane Hai,
TuMhe IlzaaM Dena Hai,
Mujhe Be-DaaM Rehna Hai,
To Kyon Na ShaaM Se Pehle
Kisi LaMhe Me Mil Jayein
Khizaon Ki Dhoop Faili Hai,
Hawa Bhi Thodi Gili Hai,
Udaasi Ka Fasoon Sa Hai,
Jaan Me Ek Sukun Sa Hai,
Ye MausaM Hai Bichhadne Ka,
Isi Rut Me Bichhad Jao,
Abhi Aao
Abhi Aao
Bichhad Jao...

Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai


Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut SiMat Aayi Hai,

Kehte Hai Log Ishq Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Me Phir Kyon Ruswayi Hai,

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijar Me Uski Yaad Chali Aayi Hai,

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main TaMasha Bana Aur Duniya TaMashayee Hai,

Intezar Me Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taaron Ne Mujhe Baat Ye SaMjhayi Hai,

Usse Taaluk Hi Kuch Aisa Raha Hia Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...

Mere Dilke Kore Kagaz Pe


Mere Dilke Kore Kagaz Pe
Yaad Karo Kabhi Kuch Likha Tha TuM Ne, 

Mere Tasavvur, Meri Yaadon Mein Rahoge Har Ghadi,
Socho Ye Kabhi Kaha Tha TuMne, 

Phir Jane Kya Hua TuM Ruthe Ya HuM Ruthe,
Yun Wo Chah Bhi Na Rahi Jis Chah Se Kabhi Chaha Tha TuMne, 

Mere Dilke Kore Kagaz Pe
Yaad Karo Kabhi Kuch Likha Tha TuMne...

Ye Aur Baat Hai Ke Unhe Fursat Hi Nahi


Ye Aur Baat Hai Ke Unhe Fursat Hi Nahi
Aye Mere Dil Yun Na Toot Jaya Kar

Kyon Taraste Ho Unke Liye
Unki Nazron Me Teri Koi Aukaat Hi Nahi,

Anjaane Me Labon Pe Aa Gayi Ye Baat
Warna To HaMein Shikwon Ki Aadat Hi Nahi

UMr Guzar Di Teri Chahat Me Is Tarah,
Jaise Badh Ke Tujhse Koi Ibaadat Hi Nahi,

Ab Ban Ke Nadaan Baithe Hai Wo Yun,
Dil Tod Dena Jaise Koi Baat Hi Nahi...

Khamosh Aankhein Aksar Bolti Hain


KhaMosh Aankhein Aksar Bolti Hai,
Wo Baatein Jo Yaadein Hoti Hai,

Un Aankhonki Yaadon Mein Aaj Bhi Dooba,
Har Chehre Se Aankh Churata Hoon Main,

Wafa Ya Jafa Par Ab Yakeen Nahi,
Un Aankhonki Muskurahat Par Bharosa Tha,

Aaj Kayi Baras Beet Gaye Kayi MausaM Badal Gaye,
Magar Wo Aankhein Aisi Hai Aaj Bhi Yaad Aati Hai,

Main Aaj Bhi Wahin Hoon Jahan Kal Thi,
Wo Bhi Aanhkhein Dhundti Hai Mujhe,

Aisa Kyon Mehsoos Hota Hia Mujhe Aaj Bhi,
KhaMosh Aankhein Aksar Bolti Hia...

Baarishon Ka MausaM Hai, Rooh Ki Fizaon Mein


Baarishon Ka MausaM Hai,
Rooh Ki Fizaon Mein,
GaMzada Hawayein Hai,
Be-Sabab Udaasi Hai,

Is Ajeeb MausaM Mein,
Bekarar Raaton Mein,
Be ShuMaar Baatein Hai,
Anginat Fasane Hai,
Jo Bahut KhaMoshi Se,
Dil Pe Sehte Phirte Hia,
Aru Ba-AMer-E Majboori
Sabse Kehte Phirte Hia,
Aaj MausaM Achha Hai,
Aaj HuM Bahut Khush Hai...

Hai Pyar Bhi Tere Liye Khayal Bhi Tere Liye


Hai Pyar Bhi Tere Liye,
Khayal Bhi Tere Liye,
Ye Dil Bhi Tere Paas Hia,
To Phir Kyon Dil Udaas Hai?

Main Sochta Hoon Bas Tujhe,
Main Dekhta Hoon Bas Tujhe,
Jab Mujhpe Aitbaar Hai,
To Phir Kyon Dil Udaas Hai?

Hai Zindagi Tere Liye,
Ye Dil, Khushi Tere Liye,
Ye Sab Jo Tere Paas Hai
To Phir Kyon Dil Udaas Hai?

Tu Nind Mein, Tu Khwab Mein
Tu Mere Dasht-O-Aab Mein,
Har Pal Tu Mere Sath Hai
To Phir Dil Kyon Udaas Hai?

Har Taraf Hai Gul Khile Hue,
Hai Dost Bhi Mile Hue,
Har Taraf Pyar Hi Pyar Hia
To Phir Dil Kyon Udaas Hai?

Ye Dil, Khushi Aur Aitbaar,
Ye Dost, Khwab Aur Ye Pyar,
Sab Kuch To Tere Paas Hai,
To Phir Kyon Dil Udaas Hai???

GaMon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai


GaMon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ye Kaisa Wakt Aya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Kudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hia,

Jane Kyon Wo Mujhse Ajnabi Sa Ho Gaya Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hia,

Ye Kaisi Hawa Mere JisM Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taweel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Pyar Ki Bhool Ho Gayi Hai,

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hia

Khwab Toot Jaate Hain, Bhid Me Zamane ki


Khwab Toot Jaate Hain,
Bhid Me ZaManeki,
Haath Chhoot Jaate Hain,
Durustdar Lehjo Mein Silwatein Si Pad Jaati Hai
Ek Zara Si Ranjish Se
Shak Ki Zard Tehni Par Phool BadguMani Ka,
Is Tarahse Khilte Hain,
Zindagi Se Pyare Bhi
Ajnabi Se Lagte Hai, Gair Banke Milte Hai,
UMar Bhar Ki Chahat Ko Aasra Nahi Milta,
Dasht-E-Beyakeeni Me Rasta Nahi Milta,
KhaMoshi Se Wakfoon Mein,
Baat Toot Jaati Hai Aur Sira Nahi Milta,
Khoye Hue Se Lafzon Ko Roshni Nahi Milti
WehMon Ke Saaye Se UMar Bhar Ki Mehnat Ko
Pal Mein Toot Jaate Hai,
Ek Zara Si Ranjish Se,
Saath Chhut Jaate Hai,
Bhid Mein ZaManeki
Haath Chhut Jaate Hain,
Khwaab Toot Jaate Hain...

Aye Mere SanaM, Aaj Sun Le Meri Saari Baatein


Aye Mere SanaM,
Aaj Sun Le Meri Saari Baatein,
Main Bayan Karne Wali Hoon Apne Dil Ka Haal...

Tu SaMne Jab Aata Hai,
To Dilki Dhadkanein Tez Hojati Hai,
Honthon Pe Muskurahat Aa Jaati Hai,

TuMhe Dekhneki TaManna Roz Hoti Hai,
TuMhe Ye Aankhein HaMesha Khojti Rehti Hia,
TuMse Milke TuMse Bichhadne Ka Dar Roz Laga Rehta Hai,

Aye SanaM Ye Mere Dilka Haal Roz Rehta Hai,
Aye SanaM Kabhi Pooch Bhi Liya Karo Ke TuMhara Dil Itna Bekaboo Kyon,
Wo Isliye Kyonki Ye Chahta Hai TuMhe,
Ise Pyar Hai TuMse...

Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai


Puchhte Ho To Suno Kaise Basar Hoti Hai,
Raat Khairaat Ki Sadqe Ki Seher Hoti Hai,

Saans Bharne Ko To Jeena Nahi Kehte Yaa Rab,
Dil Hi Dukhata Hai Na Ab Aasteen Tar Hoti Hai,

Jaise Jaagi Hui Aankhon Mein Chubhe Kaanch Ke Khwaab,
Raat Is Tarah Diwano Ki Basar Hoti Hai,

GaM Hi DushMan Hai Mera GaM Hi Ko Dil Dhundta Hai,
Ek LaMhe Ki Judai Bhi Agar Hoti Hai,

Ek Markaz Ki Talash Ek Bhatakti Khushbu
Kabhi Manzil Kabhi TaMhid-E-Safar Hoti Hai...

Main Dil Par SitaM Karungi, TuMhe Bhula Dungi


Main Dil Par SitaM Karungi, TuMhe Bhula Dungi
Marungi Khud Bhi, Tujhe Bhi Kadi Saza Dungi,

Ye Andhera Mere Ghar Ka Hi Kyon Mukaddar Ho?
Main Tere Sheher Ke Saare Diye Bujha Dungi,

Isi Khayal Me Guzri Hai ShaaM-E-Dard Aksar,
Ke Dard Had Se Badhega To Muskura Dungi,

Tu AasMan Ki Soorat Hai, Gir Padega Kabhi,
ZaMeen Hoon Main Bhi Magar Tujhko Aasra Dungi,

Badha Rahi Hia Mere Dukh Nishaniyan Teri,
Main Tere Khat Teri Tasveer Tak Jala Dungi,

Bahut Dino Se Mera Dil Udaas Hai Tanhaiyon Mein
Is Aayne Ko Koi Aks Ab Naya Dungi...

Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga


Ban Jaon Agar Tumsa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga.
Her Pal Mein Rahoon Tumse Khafa Tu Tumhe Kaisa Lage Ga...

Parhte Ho Jo tum Mujhe Namazoon Ki Tarha...
Ho Jaon Agar Tumse Qaza Tu Tumhe Kaisa Lage Ga....

Tum Pyar Mein Khud Ko Mitane Per Ho Raazi...
Ban Jaye Pyar Saza Tu Kaisa Lage Ga...

Khud Se Bhi Ziada Yakeen Ho Tume Kisi Per....
Wo Shaks hi Agar De Daga Tu kaisa Lage Ga....

ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham


ye tabiyat hai to khud azar ban jayenge ham
charagar royenge aur gamkhvar ban jayenge ham

ham sar-e-chak-e-vafa hain aur tera dast-e-hunar
jo bana dega hamain ai yar ban jayenge ham

kya khabar thi ai nigar-e-sher tere ishq main
dilbaran-e-shahar k dildar ban jayenge ham

sakht jan hain par hamari ustavari par na ja
aise tutenge tera iqarar ban jayenge ham

aur kuch din baithane do ku-e-janan main hamain
rafta rafta saya-e-divar ban jayenge ham

is qadar asan na hogi har kisi se dosti
ashnai main tera mayar ban jayenge ham

mir-o-galib kya k ban paye nahin faiz-o-firaq
zam ye tha rumi-o-atar ban jayenge ham

dekhane main shakh-e-gul lagate hain lekin dekhana
dast-e-gulchin k liye talvar ban jayenge ham

ham chiragon ko to tariki se larana hai 'Faraz'
gul hue par subah k aasaar ban jayenge ham

dard kii baarish sahii maddham, zara aahistaa chal


dard kii baarish sahii maddham, zara aahistaa chal
dil kii mattii hai abhi tak nam, zara aahistaa chal

teray milnay aur phir teray bicharr janay key beech
faaslaa rusvaaii kaa hai kam, zara aahista chal

apnay dil hii main nahin hai uss ki mehroomii kii yaad
uss ki ankhon main bhii hai shabnam, zara aahistaa chal

koii bhii ho ham-safar, Rashid, na ho khush is qadar
ab key logon main wafa hai kam, zara aahista chal

guzar rahay hian jo mujh peh azaab, uss kay hain



guzar rahay hian jo mujh peh azaab, uss kay hain
keh meri chashme-tamanna main khwaab uss kay hain

main zakhm zakhm hoon mera naseeb hain kantay
woh rang rang hai, saaray gulaab uss kay hain

kitaab merii, qalam mera, soach bhi merii
magar jo likhay hian main nay woh baab uss kay hain

nahin hai meray muqaddar ka aik bhii taaraa
yeh kehkshaan yeh maah'aab uss kay hain

wisaal-o-hijr ka mousam ussii kaa mousam hai
sawaal meray hain shayed jawaab uss kay hain

woh merii zaat ka ik mustanid hawaala hai
kitaab-e-ishq kay saaray nissaab uss kay hain

main hairton kay samandar main gharq hoon
tamaam aks sir-e-sat'h-e-aab uss kay hain

raat kii be-sukhan khamoshi main ro raha hoon keh so nahin saktaa



raat kii be-sukhan khamoshi main
ro raha hoon keh so nahin saktaa
raahton kay mehal banataa hai
dil jo aabaad ho nahin saktaa

door shamma-e-khyaal kii maanind
shamma vaadii kii jhil-milaatii hai
yaas kay be-qaran andhairon main
aik umeed muskuraatii hai

door parbat kay paas char-wahaa
kho gyaa gham-fazaa taraanon main
bain kartii hai rooh-e-zakhm aalood
baansurii ki naheef taanon main

teray jaanay kaa gham bhulataa hoon
teray aanay kii yaad aatii hai
haaye iss be-basii kay aalam main
kis zamanay kii yaad aatii hai

shab ko viiraan rah-guzaron say
sir jhukaaye howay guzartaa hoon
qeh-qahon main qaraar khoyaa thaa
aansooun main talaash kartaa hoon

yeh meri ghazlein yeh meri nazmein tamam teri hikayetein hien



yeh meri ghazlein yeh meri nazmein tamam teri hikayetein hien
yeh tazkeray teray lutf kay hien yeh shair teri shikayetein hien
yeh sub teri nazar kar raha hoon yeh un zamanon ki saa´tein hien

jo zindagi kay naye safar mien tujhay kisi waqt yaad ayeennnn
to aik ik harf jee uthay gaa pehan kay anfaas ki qabayeeennnn
udaas tanhaiyon kay lamhon mien naach uthein gi upsaraayennn

mujhay teray dard kay ilaawa, aur dukh they yeh maantaa hoon
hazar gham thay, jo zindagi ki talashh mein they yeh jantaa hoon
mujhay khabar thee,keh teray aanchal mein dard ki rait chaanta hoon

magar her ik baar tujh ko choo kar, yeh rait rang-e-hina bani hiee
yeh zakhm gulzaar ban gaye hien, yeh aah-e-sozaan ghata bani hie
yeh dard moj-e-saba howa hie, yeh aag dil ki sada bani hieee

aur ab yeh saarii mataa-e-hastii yeh phool ye zaKhm sab terey hain
yeh dukh key nauhey ye sukh ke naghmay jo kal merey they woh ab terey hain
jo terii qurbat terii judaayee mein kaT gayey roz-o-shab terey hain

woh tera shayer, tera mughanni, woh jis ki batein ajeeb si theen
jis kay andaaz khusrwana thay, aur adaa´en ghreeb si theeennn
woh jis kay jeenay ki khwahishein bhi khud uss kay apnay naseeb si theen

naa pooch uss ka keh woh deewana, bohat dinon ka ujarr chukaa hien
woh koh-kan to nahin thaa lekin karri chatanon say larrr chukaa hien
woh thak chuka hie, aur uss ka taisha uss kay seenay mien garr chuka hien

baton baton main bicharrnay ka ishara kar kay


baton baton main bicharrnay ka ishara kar kay
khud bhi roya woh bohat hum say kinara kar kay

sochta rehta hoon tanhaii main anjaam-e-khaloos
phir ussi jurm-e-muhabbat ko dobaara kar kay

jagmaga dii hain teray shehar ki glaiyaan main nay
apnay her ashk ko palkon peh sitaara kar kay

dekh laitay hain chalo housla apnay dil kaa
aur kuch roz teray saath guzara kar kay

aik hi shehar main rehna hai magar milna nahin
dekhtay hain yeh azziat bhi gawaara kar kay

yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai


yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai
abhi tujh say milta julta koii doosra kahaan hai

wohi shakhs jis peh apnay dil-o-jaan nisaar kar doon
woh agar khafaa nahin hai tou zaruur bad-gumaan hai

kabhi paa kay tujh ko khonaa kabhi kho key tujh ko paana
yeh janam janam kaa rishtaa teray meray darmyaan hai

meray saath chalnay walay tujhay kiya mila safar main
wohi dukh bharii zameen hai wohi gham kaa aasmaan hai

main issi gumaan main barSon barrra mutma-in raha hoon
tera jism be-taghyyur, mera pyaar jaavidaan hai

unhiin raaston nay jin per kabhi tum they saath meray
mujhay rok rok poocha tera hum-safar kahaan hai

Shehar-e-dil ke galiyoon main Shaam say bhatak'tay hain



Shehar-e-dil ke galiyoon main
Shaam say bhatak'tay hain
Chaand kay taman'naii
Bay'qaraar sodaai'ee
Dil gudaaz tareekii
Jan gudaaz tanhaii

Rooh-o-jaan ko dustii hai
Rooh-o-jaan mein bastii hai
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Taar-e-shab ke bailoon par
Bay qaraar logoon nay
Bay shumaar logoon nay
Yaad'gaar choori hai
Itni baat thoori hai ??

Sud hazaar batain theen
heelaaa-e-shakeebaaii
Suurtoon kii zay'baaii
Qamtoon kii ra'naaii
In siyaah ratoon main
Ik bhi na yaad aayii
Ja baja bhataktay hain
Kis kii raah taktay hain
Chaand kay tamannaaii

Yeh nagar kabhi pehlay
Iss qadar na viiraan tha
Kehnay walay kehtay hain
Qaryaa-e-nigaaraan thaa
Khair apnay jeenay kaa
Yeh bhi aik zamaana tha
Aaj dil mein viiraani
Abr ban kay ghir ayii
Aaj dil ko kya kahiyeah
Be wafa na harjayii

Phir bhee loug divaanaay
Aa gai hain samjhanay
Apni wahshaat-e-dil kay
Bun liyeah hain afsaanay
Khush khayaal duniyaa nay
Garmiyaan tu jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab malool ratoon main
Dostoon ke batoon main
Jee na chain paye ga
Aur doob jaye ga

A'ahatoon say gounjay gee
Shahar e dil ke penhayee
Aur chaand ratoon main
Chandini kay shaydayee
Har bahanay nikllain gay
A'azmanay niklaain gai
Dhoondhnay ko ruswayee
Sard sard ratoon ko
Zard chaand bakhshay ga
Bey hisaab tanhaii
Bey hijaaab tanhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!

In dinon shehar bhar kay raston main Nachti hai bala ki viiraani



In dinon shehar bhar kay raston main
Nachti hai bala ki viiraanii
Aks dar aks dasti rehtii hai
Be sada aaiinon ko hairaani
Saray chehron key rang pheekay hain
Sari ankhain ujaarr lagtii hain
Saray din aahton ki gintii main
Sari raatin pahaarr lagtii hain

Bujhtii jaatii hain yaad kii shammain

Apni aankhon say aansoun kay nageen
Toot'tay hain tou dil nahin chuntaa
Jaisay shaakhon say zard-ruu pattay
toot'tay hain... koii nahin suntaa
Tuu kahan hain, kahan nahin hai tuu
Bhool jaa, yaad kion nahin aataa?

Hum say kya poochna mizaaj-e-jayaat
Hum tou bus ik dareeda daaman main
Bhar kay khaakistar-e-dyaar-e-wafa
Lay kay sadiyon kii baas phirtay hain
In dinon shehar bhar kay raston main
Hum akailay udaas phirtay hian

Ab yeh sochain tou aankh bhar aaye
In akailay ujaarr raston main
Tuu bhii shaayed kahiin nazar aaye

Ab kisi baat pay kia uus say khafa hona hai


Ab kisi baat pay kia uus say khafa hona hai
Zindagi bhar k liya jis say juda hona hai

Ey dil-e-dard nama dard ki lay dheemi rakh
Sham-e-wada nay abhi baal kusha hona hai

Tujh say bichra hoon tou ab seenay ki mehraboon main
Kon deakhay ga jo aik hashar ba'pa hoan hai

Bhool janay ki tahan kon kisay bhoolta hai
Ye alag baat hai razi ba raza hona hai

Hijar ko orah abhi Pairhan-e-tan ki tarhan
K meray ghum ko teray sar ki rida hona hai

Ishq main aisay bhi kuch marhalay aaen gain k jub
Haar k jeet kar sadmay ko sawa hona hai

Khaak urani hai sar-e-hijar khud apni khawar
Qari-e-jaan main phir aik raqs-e-Ana hona hai

Bay karaan tanhaioon ka silsila rah jaye ga


Bay karaan tanhaioon ka silsila rah jaye ga
Teray meray darmiyaan bas aik khala rah jaye ga

Aks bah jayen gain saray dhoop k sailaab main
Aur koi panioon main jhankta rah jaye ga

Mujh ko meray humsafar aisa safar darpaish hai
Rasta kut bhi gaya tou fasla rah jaye ga

Loog soo jayen gain khamoshi ki chadar orah kar
Chand soonay aanganoon main jhankta rah jaye ga

Jo kabhi usnay parhi thi mujh say Nasir mang kar
Naam mera un kitabaoon main likha rah jaye ga

Na fiqr-e-farda na yaad-e-mazi


Na fiqr-e-farda na yaad-e-mazi
Na chain dil ko na baykarari
Na wassal ki larzishain nazzar main
Na baybasi hijjar kay samay main
Na had say guzra hua junoon woh
Na baykali hii wo pehlay jaise

Bas aik udasi hay dheemi dheemi
Bas aik khamoshi hay baykaran si
Bas aik baynaam si jalan hai
Bas aik baydard si thakan hai
Jo zindagi k adhuray pan ko
Hadoon say aagay barha rahi hai.............!!

Kub talak shab k andhairay main sehar ko tarsay



Kub talak shab k andhairay main sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar main ghar ko tarsay

Aankh thehray howea paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar k safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub-e-sukhan
Jab koi ehal-e-hunar, arz e hunar-o-tarsay

Aab k iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ki raat mairay deeda-e-tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko Khaliq
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

Na shana saye k mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal-o-khad-e-aania gar ko tarsay

Aik dunia hai k basti hai teri ankhoon mein
Woh tu hum thay jo teri k nazar ko tarsay

Shoor-e-sur sar main jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam-e-gul main wohi shaakh samar ko tarsay ....!!

Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya


Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
Dil jigar tashna-e-fariyaad aaya


Dam liya tha na qayaamat ne hanoz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya


Saadgi haay tamanna, yaanee
Phir woh nai-rang-e-nazar yaad aaya


Uzr-e-waamaandagee 'ei hasrat-e-dil
Naala karta tha jigar yaad aaya


Zindagi yoon bhi guzar hi jaati
Kyon tera raahguzar yaad aaya?


Kya hee rizwaan se ladaayee hogi
Ghar tera khuld mein gar yaad aaya


Aah woh jurat-e-fariyaad kahaan
Dil se tang aake jigar yaad aaya


Phir tere kooche ko jaata hai khayaal
Dil-e-gumgashta magar yaad aaya


Koi veeraani-si-veeraani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya


Maine Majnoon pe ladakpan mein ghalib
Sang uthaaya tha kay sar yaad aaya!

Phir teri kahani yaad aaye, phir tera fasana yaad aaya


Phir teri kahani yaad aaye, phir tera fasana yaad aaya
Phir aaj humari aankhon ko, ik khawab porana yaad aaya

Jaltay hain chiragoon ki soorat, har sham teri hum yaadon main
Jub subha ki shabnam roti hai, kho jatay hain hum fariyadoon main
Jub dil nay koi awaz suni, tera he tarana yaad aaya

Shayad kabhi milna ho jaye, baithay hain isi armaan pay hum
Tu nay tou kinara paa hii liya, uljhay huway hain toofaan main hum
Aay jan-e-wafa phir aaj humay,pichla woh zamana yaad aaya

Phir teri kahani yaad aaye, phir tera fasana yaad aaya
Phir aaj humari aankhon ko, ik khawab porana yaad aaya

Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse


Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse
Jisne is dil ko pari-khana bana rakhha thaa
Jiski ulfat main bhula rakhhi thee duniya hamne
Daher ko daher ka afsaana bana rakhha thaa.

Aashna hain tere kadmon se woh rahen jin par
Uski madhosh jawaani ne inayat ki hai
Kaarwaan guzre hain jin se usi raanaai ke
Jiski in aakhon ne besood ibadat ki hai.

Tujhse kheli hain wo mehboob hawaen jinmen
Uske malboos ki afsurda mahak baaki hai
tujhpe bhee barsaa hai us baam se mehtaab ka noor
jisme beeti huee raaton ki kasak baaki hai.

Toone dekhi hai wo peshani, wo rukhsaar, wo hoont
Zindagi jin ke tassavur main luta di humne
Tujhpe uthhi hain woh khoyee huee sahir aakhen
tujhko maluum hai, kyon umr gavan di humne.

Humpe mushtarka hain ehsaan gam-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginwaaon to ginwaa na sakoon
humne is ishq main kya khoya hai kya seekha hai
zuz tere aur ko samjhaoon toh samjhaa na sakoon

Ajeezi seekhi gareebon ki himaayat seekhi
yaas-o-hirmaan ke, dukh-dard ke maane seekhe
zerdaston ke musaaeib ko samajhana seekha
sard aahon ke, rukh-e-zard ke maane seekhe

Jab kahin baith ke rote hain wo bekas jinke
ashq aakhon main bilkhate hue so jaate hain
Naatuwaano ke niwaalon pe jhapat-te hain ukaab
baazu tole hue mandlate nazar aate hain

Jab kabhi bikta hai bazaar main mazdoor ka gosht
ShahRahoon pe gareebon ka lahoo behta hai
ya koi toond ka behta huaa sailaab liye
faaka-maston ko dubone ke liye kehta hai
Aag ki seene main reh-reh ke ubalti hai na pooch
apne dil pe mujhe kaabo hi nahin rehta hai

Darakhton se juda hotey huay pattey agr bolein


Darakhton se juda hotey huay pattey agr bolein
To janey kitney bhooley bisray afsaanon k dar kholein

Ikkatthey beth kr batein na phir shayad muyyassar hon
Chalo in aakhri lamhon mai hum jii bhar kr hans bolein

Hawa mai bus gayii hai phir kisi k jism ki khushboo
Khayalon k parindey phir kahin urney ko per tolein

Jahan thay mutaffiq apney begaaney sub daboney ko
Isi saahil pe aaj apni ana ki seepiyan rolein

Bhanwar ney jin ko la phenka kisi be-reham saahil per
Hawaein aaj phir un kashtiyun k badbaan kholein

Na koi rokney wala, na koi tokney wala
Akeley ayiney k samney hans lein kabhi ro lein

Popular Posts