Darakhton se juda hotey huay pattey agr bolein
To janey kitney bhooley bisray afsaanon k dar kholein
Ikkatthey beth kr batein na phir shayad muyyassar hon
Chalo in aakhri lamhon mai hum jii bhar kr hans bolein
Hawa mai bus gayii hai phir kisi k jism ki khushboo
Khayalon k parindey phir kahin urney ko per tolein
Jahan thay mutaffiq apney begaaney sub daboney ko
Isi saahil pe aaj apni ana ki seepiyan rolein
Bhanwar ney jin ko la phenka kisi be-reham saahil per
Hawaein aaj phir un kashtiyun k badbaan kholein
Na koi rokney wala, na koi tokney wala
Akeley ayiney k samney hans lein kabhi ro lein
No comments:
Post a Comment