Phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
Dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
Dam liya tha na qayaamat ne hanoz
Phir tera waqt-e-safar yaad aaya
Saadgi haay tamanna, yaanee
Phir woh nai-rang-e-nazar yaad aaya
Uzr-e-waamaandagee 'ei hasrat-e-dil
Naala karta tha jigar yaad aaya
Zindagi yoon bhi guzar hi jaati
Kyon tera raahguzar yaad aaya?
Kya hee rizwaan se ladaayee hogi
Ghar tera khuld mein gar yaad aaya
Aah woh jurat-e-fariyaad kahaan
Dil se tang aake jigar yaad aaya
Phir tere kooche ko jaata hai khayaal
Dil-e-gumgashta magar yaad aaya
Koi veeraani-si-veeraani hai
Dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
Maine Majnoon pe ladakpan mein ghalib
Sang uthaaya tha kay sar yaad aaya!
No comments:
Post a Comment