Woh Saari Baatein Khwaab Hui,
Aur Khwaab Se Phir Azaab Hui,
Jab Tumko Saba Ke Jhonke Se,
Paigham Hamara Milta Tha,
Jab Meri Ek Nazar Se Hi,
Chehra Ye Tumhara Khilta Tha,
Kuch Yaad Sa Tumko Hai Janam
Jab Ghanto Baatein Karneki Aadat Roz Ki Thi,
Kuch Der Jo Mujhko Ho Jaati
Tum Ghanto Rootha Karte The,
Kabhi Geeton Ki Kabhi Sheron Ki,
Tum Khwaahish Mujhse Karte The,
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se,
Mere Chehre Se Meri Aankhonse,
Aur Jhaank Ke Meri Aankhon Mein,
Tum Khudko Dhunda Karte The,
Ek Do Din Dekh Na Paao To,
Tum Bekal Bekal Rehte The,
Aur Ab To Aisa Aalam Hai,
Koi Chahat Hai Na Ulfat Hai,
Kya Pyaar, Mohabbat Aur Wafa,
Is Ziqr Se Tum Ko Vehshat Hai,
Main Laakh Tasalli Khud Ko Dun,
Ke Ab Bhi Teri Khwaahish Hoon,
Anjaan Bezaaar Se Lagte Ho,
Main Ab Bhi Teri Talabgaar Hoon,
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hai,
Kab Tak Dilko Behlayega
Do Palki Khushiyan De Kar Ye
Mujhe Sadiyan Lahoo Rulayega,
Kyon Tum Takdeer Se Ladte Ho,
Kyon Khudko Dhoka Dete Ho,
Khwaabon Ke Tukde Chun Ke Ab,
Kyon Khudko Ghayal Karte Ho,
Ye Baat Tumhein Malum To Hai,
Kab Beeti Yaadein Lauti Hai,
Jo Baatein Khwaab Si Ho Jayein,
Wo Baatein Khwaab Hi Rehti Hai...
No comments:
Post a Comment