yeh chiraagh be-nazar hai yeh sitara be-zubaan hai
abhi tujh say milta julta koii doosra kahaan hai
wohi shakhs jis peh apnay dil-o-jaan nisaar kar doon
woh agar khafaa nahin hai tou zaruur bad-gumaan hai
kabhi paa kay tujh ko khonaa kabhi kho key tujh ko paana
yeh janam janam kaa rishtaa teray meray darmyaan hai
meray saath chalnay walay tujhay kiya mila safar main
wohi dukh bharii zameen hai wohi gham kaa aasmaan hai
main issi gumaan main barSon barrra mutma-in raha hoon
tera jism be-taghyyur, mera pyaar jaavidaan hai
unhiin raaston nay jin per kabhi tum they saath meray
mujhay rok rok poocha tera hum-safar kahaan hai
No comments:
Post a Comment