guzar rahay hian jo mujh peh azaab, uss kay hain
keh meri chashme-tamanna main khwaab uss kay hain
main zakhm zakhm hoon mera naseeb hain kantay
woh rang rang hai, saaray gulaab uss kay hain
kitaab merii, qalam mera, soach bhi merii
magar jo likhay hian main nay woh baab uss kay hain
nahin hai meray muqaddar ka aik bhii taaraa
yeh kehkshaan yeh maah'aab uss kay hain
wisaal-o-hijr ka mousam ussii kaa mousam hai
sawaal meray hain shayed jawaab uss kay hain
woh merii zaat ka ik mustanid hawaala hai
kitaab-e-ishq kay saaray nissaab uss kay hain
main hairton kay samandar main gharq hoon
tamaam aks sir-e-sat'h-e-aab uss kay hain
No comments:
Post a Comment