raat kii be-sukhan khamoshi main
ro raha hoon keh so nahin saktaa
raahton kay mehal banataa hai
dil jo aabaad ho nahin saktaa
door shamma-e-khyaal kii maanind
shamma vaadii kii jhil-milaatii hai
yaas kay be-qaran andhairon main
aik umeed muskuraatii hai
door parbat kay paas char-wahaa
kho gyaa gham-fazaa taraanon main
bain kartii hai rooh-e-zakhm aalood
baansurii ki naheef taanon main
teray jaanay kaa gham bhulataa hoon
teray aanay kii yaad aatii hai
haaye iss be-basii kay aalam main
kis zamanay kii yaad aatii hai
shab ko viiraan rah-guzaron say
sir jhukaaye howay guzartaa hoon
qeh-qahon main qaraar khoyaa thaa
aansooun main talaash kartaa hoon
No comments:
Post a Comment