Thursday, July 15, 2010

Shehar-e-dil ke galiyoon main Shaam say bhatak'tay hain



Shehar-e-dil ke galiyoon main
Shaam say bhatak'tay hain
Chaand kay taman'naii
Bay'qaraar sodaai'ee
Dil gudaaz tareekii
Jan gudaaz tanhaii

Rooh-o-jaan ko dustii hai
Rooh-o-jaan mein bastii hai
Shahar-e-dil ke galiyoon main
Taar-e-shab ke bailoon par
Bay qaraar logoon nay
Bay shumaar logoon nay
Yaad'gaar choori hai
Itni baat thoori hai ??

Sud hazaar batain theen
heelaaa-e-shakeebaaii
Suurtoon kii zay'baaii
Qamtoon kii ra'naaii
In siyaah ratoon main
Ik bhi na yaad aayii
Ja baja bhataktay hain
Kis kii raah taktay hain
Chaand kay tamannaaii

Yeh nagar kabhi pehlay
Iss qadar na viiraan tha
Kehnay walay kehtay hain
Qaryaa-e-nigaaraan thaa
Khair apnay jeenay kaa
Yeh bhi aik zamaana tha
Aaj dil mein viiraani
Abr ban kay ghir ayii
Aaj dil ko kya kahiyeah
Be wafa na harjayii

Phir bhee loug divaanaay
Aa gai hain samjhanay
Apni wahshaat-e-dil kay
Bun liyeah hain afsaanay
Khush khayaal duniyaa nay
Garmiyaan tu jaati hain
Woh rutaain bhi aati hain
Jab malool ratoon main
Dostoon ke batoon main
Jee na chain paye ga
Aur doob jaye ga

A'ahatoon say gounjay gee
Shahar e dil ke penhayee
Aur chaand ratoon main
Chandini kay shaydayee
Har bahanay nikllain gay
A'azmanay niklaain gai
Dhoondhnay ko ruswayee
Sard sard ratoon ko
Zard chaand bakhshay ga
Bey hisaab tanhaii
Bey hijaaab tanhaii
Shaahar-e-dil ke gailiyoon main....!!!

No comments:

Popular Posts