Wednesday, September 9, 2009

Khawish Hai Kay Iss Tour Se Jeevan Ko Guzaroo'n

Khawish Hai Kay Iss Tour Se Jeevan Ko Guzaroo'n
Her Aks Teray Husan Ka Ankhoo'n Mai Utaroo'n

Wo Tashnalabi Hai Kay Samjh Kuch Nahi Atta
Derya Ko Sadda Doon Kay Samander Ko Pukaroo'n

Jeevan Bhi Uljhi Hoi Dorroo'n Ki Terhan Hai
Iss Soch Mai Gum Hoon Kay Issay Kaisay Sanwaroo'n

Ab Iss Kay Siwa Mera Koi Khawab Nahi Hai
Her Saans Ko Khushnood-e-Janaa'n Pay Mai Waroo'n

Behter Hai Ab Mout Ko Seenay Se Laga Loon
Iss Ma'an Ko Teray Hijar Mai Ab Kitna Mai Maroo'n

Pehlay Faqat Husrat-e-Deedar Thi  faysal
Abb Yeh Bhi Tallub Hai Kay Usay Jeet Kay Haroo'n

Hijar Mai Khoon Rulatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Hijar Mai Khoon Rulatay Ho, Kahan Hotay Ho?
Lout Ker Kiyon Nahi Attay, Kahan Hotay Ho?

Jub Bhi Milta Hai Koi Shaks Baharoo'n Jaisa
Mujh Ko Tum Kaisay Bhulatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Yaad Atti Hain Akailay Mai Tumhari Neendain
Kis Terhan Khud Ko Sulatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bicheray Ho Tu Mehboob-e-Nazer Ho Kis Kay
Ajj Kal Kis Ko Mannatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Shub Ki Tanhai Mai Akser Yeh Kehyal Atta Hai
Apnay Dukh Kis Ko Sunatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Mousam-e-Gul Mai Nash Hijar Ka Barh Jata Hai
Meray Sub Hosh Churatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Sard Ratoo'n Mai Tumhain Kaisay Bhula Saqta Hoon
Aag Si Dil Mai Lagatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Tum Tu Khushiyoo'n Ki Raffaqat Kay Leye Bicheray Thay
Abb Ager Ashk Bahatay Ho, Kahan Hotay Ho?

Shaher Kay Loog Bhi Wasiq Yeh Kartay Hain Sawaal
Abb bohat Kam Nazer Attay Ho, Kahan Hotay Ho?


Ban Jaon Agar Tum Sa Tumhay Kaisa Lagay Ga?

Ban Jaon Agar Tum Sa Tumhay Kaisa Lagay Ga?
Her Pal Main Rahoun Tum Se Khafa Kaisa Lagay Ga?

Tum Pyar Main Khud Ko Bhi Mitane Pe Ho Raazi
Ban Jaye Agar Pyar Saza Kaisa Lagay Ga?

Khud Se Bhi Zyada Ho Yaqeen Tum Ko Kisi Par
Woh Shakhs Hi De Jaye Dagha Kaisa Lagay Ga?

Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Ban Ke Jalo Phir
Tanhai Milay Tum Ko Sila Kaisa Lagay Ga!!??

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheed Me

Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheed Me
Kartey Hain Basar Raat Main Aur Meri Tanhai

Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chod Jain Saath
Laikin Rahainge Saath, Main Aur Meri Tanhai

Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi hum
Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai

Aa Ke Paas Kyon Door Ho Gaye ???? Hum Se
Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai

Tum Ko Rakhain Gay Saath Zeenat Bana Ke Ghar Ki
Reh Jain Phir Na Tanha Main Aur Meri Tanhai

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai

Tanhayi Ki Yeh Kuch Aisi Ajab Raat Hai
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai

Kis Kadar Ki Thi Mohabbat Humne Tumse
Soch Kar Hui Aaj Ashqon Se Mulaqaat Hai

Kaisa Junoon Tha Us Ishq Mein Dil Ro Aya
Machal Utha Phir Se Har Woh Jazbaat Hai

Tu Mujhko Bewafa Keh Gaya Najane Kyo
Gar Chahna Bewafayi Hai , To Bewafayi Ki Raat Hai

Tadap Raha Hai Tanha Chand Bina Chandni K
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Hi Baat Hai

Yu Aye Zindagi Mujhe Akela Chordh Diya Tune
Ke Kafan Odh Rahi Mujh Par Aaj Yeh Raat Hai

Main Or Meri Tanhai Akser Ye Batain Kartay

Main Or Meri Tanhai Akser Ye Batain Kartay
Tum Hoti To Kesa Hota Tum Ye Kehti Tum Wo Kehti
Tum Is Baat Pe Heran Hoti Tum Us Baaat Pe Kitna Hansti
Zindagi K Safr Me Guzer Jataay Hain Jo Makaan
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Tum Hoti To Esa Hota Tum Hoti To Wesa Hota
Me Aur Meri Tanhai Akser Ye Batain Kerte
Phol Khilte Hain Log Mitay Hain
Magr Pat Jhar Me Jo Phol Murjha Jatay Hain
Wo Baharon K Anay Se Khiltay Nahi
Kuch Log Ek Roz Jo Bechar Jatay Hain
Wo Hazaron K Anay Se Miltay Nahin
Umer Bhar Chahay Koi Pukara Karay Unka Naam
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Chand Hai Ya Tumhara Kangan
Sitaray Hain Ya Tumhara Anchal
Hawa Ka Jhonka Hai Ya Tumharay Badan K Khushboo
Ye Patttiyon Ki Hai Sar Sarahat K Tum Ne Chupke Say Kuch Kaha Hai
Subha Ati Hai Raat Jati Hai Yunhi
Wakt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahi
Ek Pal Me Yeh Agai Nikal Jata Hai
Admi Theek Sai Dekh Pata Nahi
Aur Parday Sai Manzar Badal Jata Hai
Ek Bar Chalai Jatai Hain Jo Din Raat Subha Sham
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Sochta Hooon Me Kabse
K Jab K B Ye Mujko Khaber Hai K Tum Nahi Kahin Nahin Ho
Mager Ye Dil Kehraha Hai K Tum Yehin Kahin Ho
Yehin Kahin Ho

Ek suraj tha k taaron k ghrane se utha,

Ek suraj tha k taaron k ghrane se utha,
aankh hyran he kia shkhs zmane se utha,

kis se puchon tre aaqa k pata ay rahwaar,
ye alm wo he na abtk kisi shaany se utha,

halqa-e-khwab ko hi grd-e-gulo kas dala,
dst-e-qatil ka b ehsan na dwany se utha,

phr koi aks shua'on se na bn'ny paya,
kesa mehtab mere aaina khany se uttha,

kia likha tha sar-e-mehzar jisy pehchany hi,
paas betha hua hr dost bahany se uttha,

aaj tk shehr ka chehra nhi dhulne paya,
gard ka kesa bgola tre jany se uttha,

zndgi men ye bdn sho'la-e-jawwala tha,
moja-e-srd mri rakh thikany se uttha,

dhaal ab wqt k hathon me he ay teer andaz,
rkh de ek smt kaman hath nishane se uttha,

dil tri chasm-e-madaraat sy bea't tha to phr,
kis trah bzm men oron k uthane se uttha,

doodeek seena-e-sozan se bhala kia drna,
wo dhuan dekh jo sho'lon k bujhany se uttha,

dil dukha to khuli hy mere wjdaan ki ankh,
ek shgofa tha k shbnm k jgany se uttha,

sonp de apna hunar unko k jinka haq he,
wqt aya he k ab saanp khazany se uttha...!

Qarar De K Kabhi

Qarar De K Kabhi
Be-Qarar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Nazar Nazar Sy Miley
Aur Khumaar Aa Jaye
Labo’n Sy Kuch Na
Kaho Aitbaar Aa Jaye

Ye Dil Tou Bharta Nahi
Chand Mulaqato’n Main
Kitne Tarasty Rahy
Bheegi Bheegi Raato’n Main

Taweel Rasta Kyun
Ikhtiar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho !!

Kabhi Un ka Naam Lena

Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pe Marna
Kabhi Chalte Chalte Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hy Apna
YEHI ZINDAGI HY APNI
YEHI RASTA HY APNA …!!!

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~
Kabhi Main Yaad Aao’n Tou
Kabhi Tanhai Ki Raatei’n
Tumhei’n Zyada Sataei’n Tou
Kabhi Titli Na Bole’y Tou
Kabhi Jugnoo Laut Jayei’n Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye Tou
Koi Jab Sun Na Paaye Tou
Agar Sab Dost Saathi Bhi
Jo Tum Sy Rooth Jayei’n Tou
Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar
Thakan Sy Choor Ho Jao Tou
Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley
Ro Na Pao Tou
Apni Aankho’n Ko Band Karna
Mujhy Aawaz Dena
Aur…!!!
Phir Mere Tasawur Sy
Jo Chaho Keh Dena
Mere Kaandhy Py Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena
Phir Jab Khud Mein Laut Jao Tou
Issi Dunya Mein Chaley Jana
Magar Bass Itna Kehna Hai
K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyo’n Mein
Humei’n Dil Sy Pukaro Gy
Humei’n Saath Pao Gy
Humei’n Paas Pao Gy….!!

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Kahayl Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Ha

Labo’n Py Naam Rakhny Sy

Labo’n Py Naam Rakhny Sy
Dilo’n Mein Yaad Karny Sy
Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan
Kisi Ke Naam Karny Sy
Koi Apna Nahin Banta…!!!

Tamam Umr Ki Khushiya’n
Mohabbat Ki Sabhi Ghadiya’n
Kisi Ko Daan Karny Sy
K, Uss Py Maan Karny Sy
Koi Apna Nahin Banta…!!!

Wo Pehly Pyar Ki Baatei’n
Rafaqat Ki Sabhi Raatei’n
Wo Chahat Ki Sabhi Rasmei’n
Mohabbat Ki Sabhi Qasmei’n
Humesha Yaad Rakhny Sy
Koi Apna Nahin Banta…!!!

Kisi Tanha Akeli Raah-Guzar Par
Purany Sy Kisi Boodhey Shajar Par
Patthar Sy Koi Dil Banany Sy
Aur…
Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajany Sy
Koi Apna Nahin Banta…!!!

K Jab, Aankhei’n Hi Mar Jaaye’n
Tou Phir Sapna Nahi Banta
Ye Jeewan Daan Kar Jaaye’n
Tou Bhi Apna Nahi Banta
Koi Apna Nahin Banta…!!!

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai

is bar dil ny tujhsy na milny ki thani hai 

par maeny kab kisi ki koi bat mani hai 

aik subha teray sath nikalna hai rat sy 

aik sham teray sath kisi din manani hai 

aik bhaid kholna hai mujhy tery ro-baro 

aik bat hai jo maeny tujhko batani hai 

mujhy ko b taray toor k lanay ka hai janoon

maeny b asman ki buht khak cahni hai

usky liay b shahar basana hai mujhy

apny liay b aik naai duniya banani hai

jo kuch mae likh raha hon wo rodad hai meri

tum parh sako to phr ya tmhari kahani hai

kehta hai koi aa, issay phr sy likhain ”

ya dastan-e- ishk buht hi purani hai

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha

Woh Dil Ka Bura, Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn He Bichar Gaya Tha
Her Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Thi
Woh Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Rahi Thi
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Laboon Ko See Liya Tha
Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha
Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo
Baatoun Main To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Laikin
Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kiya Woh Dil Nay
Inkaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Woh Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Thi Dari Hui Si Laikin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khoof Sa Hijar Ki Rutoon Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Thi Gurayzaan
Ek Moor Pay Woh Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main jhapak Gain Jo Aankhain
Manzar Woh Manzar Doosra Tha
Soocha To Tehar Gayee Zamanay
Dekha Toh Woh Door Ja Chuka Tha
Qadmoun Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Loog Bhi Ruk Gayee Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhti Thi Main Jis Main Khuwab Apnay
Woh Kanch Ka Gar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa faysal
Ehsaas Magar Judda Judda Tha

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun
MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun

Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey
Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun

ABhi toh hijr ki tareekiyan hain dono tafar
Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ?

Abhi toh ghammoon sey Nidhaal hain sabhi
Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ?

Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta
Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ?

Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda
Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ?

TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai faysal
Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun……!!!!!

Tum ne barishon ko mehz brastay dekha hai

Tum ne barishon ko mehz brastay dekha hai

Maine aksar barishon ko kuch kehtay suntay dekha hai

Tum dekhtay ho barishon ki
jal thal har saal

Maine barsaat ko baar haa palkon pe mchaltay dekha hai

Kaisay mangun phr barasta sawan apnay RAB sy??
K
In ankhon ne bastiyon ko sawan main ujartay dekha hai.

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..

Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Meri rooh mujh se bichar jane ko hai
Wafa-e-muhabbat raak ho jane ko hai
Jo mere dil se jhor kar meri zaat mein raha
Woh bandhan pal mein toot jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Sokoon dil barbaad ho jane ko hai
Raapte socho ke simat jane ko hai
Yeh kaisa too ne muhabbat mein faasla rakha
Apna ho ke ajnabi ho jane ko hai
Muhabbat phir mujh ko aazmane ko hai..
Qurbato ke nisha mit jane ko hai
Faasle dooriyu mein badal jane ko hai
Woh ja sakta hai meri muhabbat ko chor ke faysal
Meri zaat to us ki muhabat mein waft ho jane ko hai

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai, faysal
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai, faysal
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.

Rehnewalon Se Nahi, Jaanewalon Se Pucho

Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho
Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.

Panewalon Se Nahi,
Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.

Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho
Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,

Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,
Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai

Do pyase dil aik huwe hain aise Bichare ge ab kaise

Do pyase dil aik huwe hain aise
Bichare ge ab kaise

Tum pyaar mujhye karte hi rahna
Sari umar tum aise

Ek douje main kho jate hain
Nadiya sagar jaise

Tuj se hay yeh zindgani
Tuj se hay jiwan kahani
Tuj se hay sanj aur sawera

Sathi kabhi tu na ruthe
Rasmon ki diwaar tutye
Tutye na bahoon ka ghira
Mere sanam teri kasam
Tuj se hay wahda yeh mera
Aise raheen ge
nain aur nindea jaise

Qadmon tale har khushi hay
Kitni haseen zindagi hay
Jiwan yunhi beet jaye

Aankhon k tu roeberoe hay
Dekhon jidhar tu hi tu hay
Tuj bin nazar kuch na aye
Hay zindagi humain kabhi
Zamana judaa kar na paye
Aise raheen ge
phool aur khushbo jaise

Jaisy woh ajnabi larki

Jaisy woh ajnabi larki

Mujh sey pyar karti hai

Mujhey chahti hai

Akser yunhi chup chup ker

Dekhti hai, janey kiya sooch ker

Nazrein chura jati hai

Kuch ghabra si jati hai

Apney aanchal ko hawaoon k zoor

per lehrati hai

Mehsoos mujhey yeh hota hai k

Shayad mujhey woh bohat chahti hai

Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay

Woh mujh sey kuch kehna chahti hai

Meray pochnay per kuch sharma si jati hai

Kuch ghabra si jati hai

“Suniyey” keh kar bhaag jati hai

Ajnabi larki shayad pyaar karti hai mujh sey

Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey

Dil bhi kitna pagal hai

Kiya kiya sochta rehta hai

Kuch masoom sey jazbey hain

Kuch undekhey sapney hain

Mager woh nahin janti shayad…!!!

Meri Zindagi Hai Wo…

Tum say manzil ka nahi

Tum say manzil ka nahi
rishta safar ka hai mera
Ye zaroori to nahi
Sath challa bhi jayee
Ye zaroori to nahi
Tum say milla bhi jayee
Ishq deedar ka muhtaj nahi hota
Aik ahsaan ka rishta hai ye khushboo ki tarahan
daikhnay choonay say ady kisi jadoo ki tarahan
Sirf awaz hi kafi hai muhabbat k liye
Aur sab kuch hi azafi hai muhabbad k liye..

Mein Diya Hoon Toote Mazaar Ka

Mein Diya Hoon Toote Mazaar Ka
Sar Shaam Kisne Jala Diya
Teri Berukhi ki Adaoon Ne
Mujhe Zarra Zarra Bana Diya

Nai Manzilon Par Puhanch Kar Bhi
Yahi Sochta Hoon Ke kis Tarah
Kin Rastoon Pe Mile The Ham
Kin Raston Ne Juda Kiya

Ye To Apna Apna Naseeb Hai
Koi Mil Sake, Ya Na Mil Sake
Na Ho Gham Zada Dil Meharbaan
Phir Kya Huwa Jo Bhula Diya

Mere Hum Safar Zara Soch Ley
Tere Rastoon Ka Khalus Honn
Tere Samne Jo Bicha Diya

Rahey Umar Bhar Jisey Dhoondte
Wo Mila To Usse Ganwa Diya

Mere Hasraton Ke Mazaar Par
Mera Us Se Aik Sawaal Hai
Usse Rok Kar Ye Poochoon Mein faysal
Yahan Kisne Kisko Bhula Diya

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo

Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo

Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa

Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain

Us ne kaha ke raat ko socha na karo

Maine kaha ke raat ko neend nahi aati

Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine kaha ke dost nahi denge saath mera

Us ne kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo

Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain

Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine kaha ke tere milne ki umeed hai

Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai

Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi

Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo

Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si

Khoyi Khoyi Si
Dheemi Dheemi Si
Thori Unkahi
Thori Si Muskuraati

Do Dilon Ki Hai Ijazat
Mera Naam Hai Mohabbat
Do Dilon Ki Hai Ijazat
Mera Naam Hai Mohabbat

Bheege Sapney
Kachi Yaaadein
Choti Choti Dil Ki Baatein
Kehti Hai Yeh Zindagi
Kaisi Hai Deewangi

Koi Rehta Hai
Aahaton Ke Sahaarey

Choolun To Sansanahat
Mera Naam Hai Mohabbat
Choolun To Sansanahat
Mera Naam Hai Mohabbat

Kuch Tehreerein
Likhte Rehna
Apne Ghar Mein Chalte Rehna
Anjaani Baaton Mein Bhi
Hoti Hai Dil Ki Lagi

Sookhe Lamhon Mein
Baarishon Ke Kinaarey

Honton Pe Hai Shararat
Mera Naam Hai Mohabbat
Honton Pe Hai Shararat
Mera Naam Hai Mohabbat

Kanta na hota, toh
phool ki hefazath na hoti,
Andhera na hota,to
roshini ki zarurath na hoti,
Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti

Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain

Dasht main piyaas bhujatey howey mar jatey hain
Hum parinday kaheen jatey howey mar jatey hain

Hum hain sookhay howey talaab pay baithy howey hans
Jo tayaluq ko nibhatey howey mar jatey hain

Un kay bhee qatl kaa ilzaam humarey sar hay
Jo humain zehar pilatey howey mar jatey hain

Yeh mohabbat kee kahanee nahee martee laikin
Log kirdaar nibhatey howey mar jatey hain

Hum hain woh tootee howee kashtion waley faysal
Jo kinaron ko milatey howey mar jatey hain

Mary humsafr, Mary chara.e.gar

Mary humsafr, Mary chara.e.gar
Nahi aur kutch be try siwa,

Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri bebusi,

Mera illm be
Mra naam be
K meri subah
K meri shaam be
Jo mil sakain mery daam be
Wo sabhi tujy wo atta kry,

Mery chara.e.gar to yaqeen to ker
Mjy mangna to na aa saka
Mein ne phir be mangi yei dua
K gwahi dy ga mra khuda,


Mein jeb be mangi koe dua
Nae manga kutch be tray siwa!!!

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein

Kahan Woh Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahin Baqi
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein

Milay The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein
Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein?!!

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain

Aisa nahi K Tujh Se Muhabat Nahi Humain
Ghum Roz Roz Sehny ki Aadat Nahi Humain

Har Bar Tere Samne Sar Ko Jhoka Liya
Aur Phir Bhi Dekh Tujh se Shikayat Nahi Humain

Tu Aitebar kar k Tujhe Chahate Hain Hum
Tery Siwa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humain

Hum Jante Hain Tum Tanha Nahi Hamary Bin
Auron se Pochne ki Zarorat Nahi Humain

Kese Rahen Gay Bin Tere Ab Baat Maan lay
Tery Bagair Rahene ki ab Aadat Nahi Humain

Jissay Tum Zindagi Jaano

Jissay Tum Zindagi Jaano
Tumhain Woh Roog Kehta Ho
K Jis Nay Khud Hi Chahat Say Tumhara Haath Thama Ho
Woh Apnay Dil K Darwazay Tumhain Par Band Kar Day
Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Tumhain Sangsaar Karnay Ko
Jo Sang Baantay Logon Main
Sabah Ko Rooknay Ka Qafl Daalay Jo Dareechoon Main
Kar K Band Ghar K Darwazay
Saans Par Pehra Lagaye
Tu Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Yeh Kis Nay Keh Diya Tum Say
Mohabbat Mar Nahin Sakti
K Jab Koi Tumhain Jaan Say Ghuzar Jaanay Ko Kehta Ho
Aadhi Raah Main Khud Hi Mur Jaanay Ko Kehta Ho
Woh Apni Bay Wafai Ka Khud Hi Aetraaf Kar Lay Tu
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai
Mohabbat Mar Bhi Sakti Hai?..

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai
In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain
In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain
Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai
Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai
Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho
Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,

Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chand kahan se aaya,
Taaron ke jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

In khushk fizaon mein, ghangoor gatta chha jaati hai,
Chehre par mere jab bhi, zulfe lehrati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
? Tum mere HUMSAFAR ho?, jab keh kar jaati ho.

MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

DOSTiii Kya Haiii ???

DOSTiii Kya Haiii ???


Kya khabar tum ko dosti kya hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon se bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ek heera bhi hai

Dosti ek haseen khwab bhi hai
Pass se dekho to sarab bhi hai
Dukh milne pe yeh azaab bhi hai
Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai

Dosti yoon to maya jaal bhi hai
Ek haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai

Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jai to kassak bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai

Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kya hai wafa bhi dosti hai
Dil se nikli Dua bhi dosti hai
Bas itna samajh lo tum
Pyaar ki inteha bhi dosti hai

Junoon sey, Aur ishq sey, Milti hai...Azadi

Junoon sey,
Aur ishq sey,
Milti hai...Azadi

Tanzeem , itehad, eemaan,
Quid ka peghaam,
Tanzeem , itehad, eemaan,

Khawab key paak meharabaan,
Jaisay rooh, jissam o jaan.
Janta hai sara jahan

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hai...azadi

Qurbani ki bahoon mein..milta hai azadi

Junoon sey aur ishq sey milti hia azadi

Tauheed, ijtehad, nezaam...
Momin ki pehchaan,

Tauheed, ijtehad, neezam...
Jab sab imtehaan,
Zahir, ghaib ka neeeshaan...

Sar zameen-e-Pakistan...

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hai...azadi.
Kurbaani ki bahoon mein,
Milti hai azadi,
Junoon sey aur ishq sey milti hai azadi

Junoon !!!!

Junoon sey, aur ishq sey
Milti hia...azadi

Qurbani ki bahoon mein
Milti hia azadi

Junoon sey aur ishq sey,
Milti hai azadi
 
 

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai
Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Tu shaheen hai, Tu shaheen hai, Tu shaheen hai
Tu shaheen hai, Tu shaheen hai Parvaz hai kam tera kam tera
Tere samne Aasman aur bhi hai
Tu shaheen he Basera kar Paharon ki chatano per
Tu shaheen hai tu Shaheen hai tu shaheen hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai
bata teri raza kia hai

Popular Posts