Tuesday, December 7, 2010

Main fana ho gaya wo badla phir bhi nahi



Main FANA ho gaya wo badla phir bhi nahi
Meri CHAHAT se bhi Sachi thi Nafrat us ki

Kon kehta hai k nafraton main Dard hai Mohsin


Kon kehta hai k nafraton main Dard hai Mohsin
Kuch Mohabtain bhi bari aziat-naq hoti hain

Mujhe es zindagi se qabl he nashaad kar detay


Mujhe es zindagi se qabl he nashaad kar detay
abhi tanha kia hai tu tabhi barbaad kar detay

kabhi teray dayaar-e-ishq main aabaad na hota
dil-e-mehtaab ko aisa dil-e-barbaad kar detay

har ek rabt khatam aur sari aas bhe totii
adhore khawaab se bhe aankhoun ko aazaad kar detay

mujhe tum kuch bhe kehte mujh se faqat piyaar na kartay
jala kar raakh karte zindagi barbaad kar detay

kae wade nibhatay aur mujhay aabaad kar detay
sabhi wade jo toray mujhay bhe barbaad kar detay

Utar choke ho samandar main housla rakhna


Utar choke ho samandar main housla rakhna
hawa chale na chale baadban khola rakhna

kabhi na jalte charaghoun ka silsila totay
jo eak bujhne lage saath dosra rakhna

ye he kamaal hai barish main beeghte rehna
aur apne jism ki mitti ko bhe bacha rakhna

hudood-e-zaat k andar na koe jhaank sake
ta'aluqaat main ek aisa faasla rakhna

kahen pe dono kinaray zaroor milte hain
bas apne aapko dariya main tum baha rakhna

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhii Samjhaney Ko


Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhii Samjhaney Ko
Is Se Kya Farq Pray Ga Teray Dewaney Ko

Jis Qadar Weham Hain Sab Us Key Atta Karda Hain
Liye Phirta Hon Kisi Aur Key Butt-Khaney Ko

Yeh Hunar Wo Hai Jo Dil Sey Kabhi Seekha Na Gya
Too Ne To Jorr Liya Torr Kay Paimaney Ko

Kya Koii Khail Hai Be-Naam O Nishan Ho Jana
Waisey Shama Bhii Tyaar Hai Jal Janey Ko

Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Sey Mulaqaat Hoii
Main Milla Hon Kisi Jaaney Hoye Anjany Ko

Aaj Ke Dukh Bhi Kisi Se Nahi Jhailay Jatey
Yaad Mat Kar Kisi Bhooley Hoye Afsaanay Ko

Door Tak Raat Kii Aankhon Mein Khien Neend Nahien
Itna Sanata Hai Ke Aaye Koii Tarpanay Ko

Zindgii Bhar Mein Koii Shai To Mukamil Kar Lien
Aao Labraiz Karien Sabr Ke Paimanay Ko

Yeh Alag Baat Ke Eik Boond Muqadar Mein Na Thi
Sar Pe So Baar Ghata Chaaii Rhii Chaaney Ko

Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Sham E Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahien Parwaney Ko

Hum jo kehtay thay zindagi kuch bhe nahi teray bina


Hum jo kehtay thay zindagi kuch bhe nahi teray bina
lekin ye kia k zindagi sub kuch hai teray bina

ab tu raat bhe kat jati hai din bhe gozar jata hai
sub waisa he hai kuch bhe tu nahi badla teray bina

teray janay pe jo rim-jhim se thi aankhoun main ab
thehar gaya hai wo aankhoun ka samandar teray bina

waqt ne bohat kuch sikhla diya hai mujhay
ab tu waqt bhe gozar jata hai teray bina

shayed muhabbat karnay k aadaab he na thay
ab zindagi ne wo bhe sikhla diya teray bina

jo gozar gaya hai waqt soo gozar gaya aay dost
jo reh gaya hai,gozar jaey ga teray bina

Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena


Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena,
Yaad karna bhi usay roz, bhula bhi dena

Kya kahoon meri chaahat hai ya nafrat uski,
Naam likhna bhi mera, likh ke mita bhi dena

Phir na milnay ko bicharta hoon tujhse lekin,
Mur ke dekhoon to palatnay ki dua bhi dena

Khat bhi likhna usay maayoos bhi rehna us se,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawaara lekin,
Jee main aaye to ye deewar gira bhi dena

Us se mansoob bhi kar lena puraanay Qissay,
Us ke baalon main naya phool saja bhi dena

Soorat-e-naqsh-e-qadam, Dasht main rehna Mohsin
Apnay honay se na honay ka pata bhi dena

Mere Khuda muja Itna THo Mautbar Kar Day


Mere Khuda muja Itna THo Mautbar Kar Day,
Main Jis Makan Mein rehta Hoon, Us Ko Ghar Kar Day!

Yeh Roshni K Taaqub Mein Bagtha Hoa Din,
Jo Thak Gaya Hai Tho Ab Is Ko Mukhtasar Kar Day.

Mein Zindagi Ki dUa Mangnay Laga Hoon Bohath,
Jo Ho Sakay Tho Dua’oon Ko BeAsar Kar Day.

Sitara-e-Sahari Dobnay Ko Aaya Hai,
Zara Koi Mere Sooraj Ko BaKahabr Kar Day.

Meri Zameen Mera Akhri Hawala Hai,
So Mein Rahoon Na Rahoon, Is Ko Barwar Kar Day.

Mein Apnay Khwab Sa Hat Kar Jeeyon Tho Mere Khuda,
Ujjar Day Meri Mitti Ko Dar Ba Dar Kar Day.

Kabhi teri rafaqat se nikalna hi nahi mumkin


Kabhi teri rafaqat se nikalna hi nahi mumkin
Kabhi daaman chura lena bohat asaan lagta hai

Kabhi tum roothay ho to ajab mushkil si parti hai
Kabhi tujh ko mana lena bohat asaan lagta hai

Kabhi samjha karo kuch faislay halaat karte hain
Kabhi waaday nibha lena bohat asaan lagta hai

Kabhi kuch din tumhare bin guzarte hi nahin lekin
Kabhi muddat bita dena bohat asaan lagta hai

Veraanay achay lagtay hain


Veraanay achay lagtay hain
Dewaanay achay lagtay hain

Yaad kay sahil per likhay
Afsaanay achay lagtay hain

Faqeer kay darr jaisay
Aastanay achay lagtay hain

Shamma ki lau per jalay
Parwanay achay lagtay hain

Sohail khuwaab main guzray
Zamanay achay lagtay hain

Teri haakim se agar yaari hai


Teri haakim se agar yaari hai
Jaan lay sher ki sawari hay

Surkhiyan zard nazar aati hain
badgumaanon ki ye beemaari hay

Besamar tan ke khade hain ashjaar
baasamar hi main inkisaari hai

Usko har qowm kahegi apnaa
hilm hai jismain burdubaari hay

Neki dushman se! kathin hai, lekin
eik isi kaam main sardaari hai

Talkh Sadiq ki sadaaqat hay magar
uski talkhi main hi bedaari hay

raat ko shammaa kii maanind pighal kar dekho


raat ko shammaa kii maanind pighal kar dekho
zindagii kyaa hai kisii taaq meN jal kar dekho

apne chehre ko badalnaa to bahut mushkil hai
jii bahel jaayegaa aaiinaa badal kar dekho

rang bikhreNge to fariyaad karegii Khushbuu
tum kisii phuul ko chuTkii se masal kar dekho

jab bhii dekhaa tumheN ek Khvaab kii suurat dekhaa
ek din paikar-e-taabiir meN Dhal kar dekho

zindagii maaN hai navaazegii tumheN bhii “Nikhat”
kisii bacche kii tarah tum bhii machal kar dekho

Naya Hai Shaher, Naai Assray Talaash Karoon


Naya Hai Shaher, Naai Assray Talaash Karoon
Tu Kho Gaya Hai, Kahan Ab Tujhay Talaash Karoon

Jo Dasht Mai Bhi Jalatay Thay Fasal-e-Gul Kay Chiragh
Mai Shaher Mai Wohi Abblay Talaash Karoon??

Tu Aks Hai Tu Kabhi Meri Chasham-e-Ter Mai Uter...!!
Teray Leye Kahan Mai Aainay Talaash Karoon.........!!

Tujhay Hawaas Ki Awaargi Ka Ilam Kahan...!!
Kabhi Mai Tujh Ko Teray Samnay Talaash Karoon..!!

Meray Wajood Se Shaied Milay Suraagh Tera
Kabhi Mai Khud Ko Teray Wastay Talaash Karoon

Ghazal Kahoon, Kabhi Sadda Se Khat Likhoon Us Ko
Udaas Dil Kay Leye Mashghalay Talaash Karoon...!!

Mai Chup Rahoon Kabhi Be-Wajjah Hans Paroon MOHSIN
Usay Ganwa Kay Ajjab Hoslay Talaash Karoon..

Ho raat aakeli pechlay pehar


Ho raat aakeli pechlay pehar
aur chaand gagan main aa jaey

tum chaand ki manind tanha ho
ye baat tumhain tarpa jaa'ey

kuch khawaab saja k palkon pe
tum chaand se batain kar lena

hum yaad tumhain tu kartay hain
tum yaad hamain bhe kar lena

kuch baat na ho jub aisay he
num aankh tumhari ho jaey

tum baat kahen pe kartay ho
dil aur kahen pe kho jaey

jazbaat k aisay aalam main
muskaan labon pe bhar lena

hum yaad tumhain tu kartay hain
tum yaad hamain bhi kar lena

na mohabbato'n ka hisab tha na adawato'n ka shumar tha


na mohabbato'n ka hisab tha na adawato'n ka shumar tha
kabhi zaat uski azaab thi, kabhi rooh ka wo qarar tha

usey mainey murh k sada na di k palat gaya tha wo raah se
mai khiza'n huwa to pata chala meri zaat ka wo nikhaar tha

meri pyas utni hee barh gayee, k saraab iteny miley mujhey
huwa jiss pe dhauka ghulab ka, wo sulagta jalta sharaar tha

tu bhi door hai, mai bhi door hoo'n kyu'n alag huwe hain ye raastey
meri chahato'n ka guraiz tha , ya teri anaa ka hisaar tha

wo kabhi kisi ko miley kahee'n, to koi bata de usey zara
meri funn e shair ki be_khudi, terey ishq ka hee kamal tha

Jo kuch dekha jo socha wohe tehreer kar jaen


Jo kuch dekha jo socha wohe tehreer kar jaen
jo kagaz apnay hissay ka hai wo kagaz tu bhar jaen!

nashay main neend k taray bhe ek dojay pe girtay hain
thakan rastoun ki kehti hai chalo ab apnay ghar jaen!

kuch aise behisi ki dhund se phayli hai aankhon main
hamari soratain dekhain tu aaenay bhe dar jaen

na himmat hai ganim-e-wqt se aankhain milanay ki
na dil main housla itna k mitti main utar jaen

gul-e-umeed ki sorat teray bagoun main rehtay hain
koe mousam hamain bhe de k apni baat kar jaen!

dayaar-e-dasht main reeg-e-rawan jin ko banati hai
bata aay manzil-e-hasti k wo rastay kidhar jaen!

tu kia aay qasim-e-ashya ye he aankhon ki qismat hai
agar khawabon se khali hon tu pachtawoun se bhar jaen!

agar bakhshish milay amjad tu us khushbo se behtar hai
k es be-faiz gulshan say bandhi muthii gozar jaen!

woh log mairy bohat piyar kerny waley thy


woh log mairy bohat piyar kerny waley thy
guzar gay hain jo mausam guzarny waley thy

nayi rutton mein dukhon k bhi silsiley naye
ky zakham taza hoye hain jo bharny waley thy

ye kis maqam py soojhi tujhy bichrny ki
ky ab toh ja ky kaheen din sanwerny waly thy


tamam raat nahaya tha sheher barish mein
wo rung utar hee gaye jo uterny waley thy

uss aik chooty sy qazby mein rail tehri hee nahee
wahan bhi chand musafir uterny waley thy

ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye


ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
ky zakham zakham mein khilta hon mein her khushi k liye

woh mujh ko chorr gaya toh mujhy yaqeen aaya
koi bhi shaqs zarori nahee kisi k liye

sawal ye hai k uss ny kabhi nahee pocha
ky aap sochty kaisy hain shairee k liye

usey khabar hai k uss ka koi nahee apna
aik aashnai bhi kafi hai ajnabie k liye

khata kisi ki ho lekin saza kisi ko mily
ye baat jabr ny choori hai her sadee k liye

ye saadgi thi mairi ya k Saad chahat thi
ky mainny khud ko paish kiya dil lagi k liye

Aina hairan hai aur asmaan ronay ko hai


Aina hairan hai aur asmaan ronay ko hai
is Tamsha ghah main ab aur kiya honay ko hai

kashtagaan-e-dard kojaan ki amaankaisay milay

zindagi ki her dua apana asar khonay ko hai

neend ke mare kisi sapanay ki Khawhish kiya karien
her ghardi mahsoos hota hai sahar honay ko hai

kis ke naqsh-e-paa ko samajhien apani manzil ka nishaan
jhaag uraty mauj aker her nishaan dhonay ko hai

kaash yeah koye sitara yaan koye jugnu kahay
her andhera keh raha hai roshani honay ko hai

aye hawa-e-be-yaqini gul na ker ghar ke chirag
chand lamhoon ko Thahar ja kuch na kuch honay ko hai

Udas kaghazi mausam mein rang-o-bu rakh de


Udas kaghazi mausam mein rang-o-bu rakh de
Har ek phool ke lab pe mera lahu rakh de

Zabaan-e-gul se chattanein taraashne vaaley
Sukuut-e-naqsh mein aaraaish-e-namuu rakh de

Giraan lage hai jo ehasaan dast-e-qaatil ka
Uth aur tegh ke lab pe rag-e-gulu rakh de

Chala hai jaanib-e-maikhaanaa aaj phir vaaiz
Kahein na jaam pe lab apne bevazuu rakh de

Khuda kare mera munsif sazaa sunaane mein
Mera he sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de

Samandaroun ne bulaya hai tujhko ai 'bekal'
Tu apni pyaas ki sehra mein aabru rakh de

Talash-e- manzil ke marhaloN meiN ye haadsa ik ajab dekha


Talash-e- manzil ke marhaloN meiN ye haadsa ik ajab dekha
faraib raahoN meiN beith jaata hey surat-e- aitabar ban kar

ye kyaa qayaamat hey baGhbaanoN ke jinki khaatir bahaar aai
wuhi shagoofey khaTak rahey heiN tumhaari aankhoN mein khaar ban kar

bahar ki badnaseeb raatein bula rahii heiN chaley bhi aao
kisi sitarey ka roop le kar kisi ke dil ka qarar ban kar

guroor-e hasti ne maar dala wagarna hum log jii hi letey
kisi ki ankh ka noor ho kar, kisi ke dil ka qarar ban kar

deyaar-e-peer-e-magan meiN aik haqeeqat khul gai Saagar
Khuda ki basti meiN rehney waaley looT letey heiN yaar ban kar

Baat kar tujh pe gumaaN hone lagaa tasveer kaa


Baat kar tujh pe gumaaN hone lagaa tasveer kaa
muntazir kab se hai zamaana teri taqreer kaa

raat kyaa soye ki baaqi um'r ki neend uRh gai
Khwaab kya dekha ki dhaRhka lag gaya t'abeer kaa

kaise paayaa tha tujhe kis tarah khoya tujhe
mujh saa munkir bhi to qaayal ho gaya taqdeer kaa

jaane kis aalam meN tuN bichhRaa hai ki tere baGair
aaj tak har naqsh fariyaadi hai meri tehrir kaa

jis ko bhi chaahaa baRhi shiddat se chaahaa hai Faraz
silsilaa TuuTaa naheeN hai dard ki zanjir kaa

KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN na kar sake


KhuddariyoN ke Khuun ko arzaaN na kar sake
ham apne jauharoN ko numaayaaN na kar sake

hokar Kharaab-e-mai tire gham to bhulaa diye
lekin gham-e-hayaat ka darmaaN na kar sake

TuuTaa talism-e-ahd-e-muhabbat kuchh is taraH
phir aarzoo ki shamaa farozaaN na kar sake

har shai qareeb aa ke kashish apnii kho gayii
vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaaN na kar sake

kis darjah dil shikan the muhabbat ke haadse
ham zindagii meiN phir koii armaaN na kar sake

maayuusiyoN ne chhiin liye dil ke valvale
vo bhii nashaat-rooH kaa saamaaN na kar sake

bujhaa diye haiN Khud apne haathon mohabbatoN ke diye jalaake


bujhaa diye haiN Khud apne haathon mohabbatoN ke diye jalaake
merii vafaa ne ujaaR dii haiN ummiid kii bastiyaaN basaa ke

tujhe bhulaa deNge apne dil se ye faisalaa to kiyaa hai lekin
na dil ko maaluum hai na hamko jiyeNge kaise tujhe bhulaa ke

kabhii mileNge jo raaste meN to muhN phiraakar palaT paReNge
kahiiN suneNge jo naam teraa to chup raheNge nazar jhukaa ke

na sochne par bhii sochatii huuN ke zindagaanii meN kyaa rahegaa
terii tamannaa ko dafn karke tere KhayaaloN se duur jaake

Adam Mein Rehtay tO Shaad Rehtay Isey Bhi Fikr e Sitam Na hOta


Adam Mein Rehtay tO Shaad Rehtay Isey Bhi Fikr e Sitam Na hOta
jO hUm Na hOtey tO Dil Na hOta jO Dil Na hOta tO Gham Na hOta


hOii Hajalat Sey Nafrat AfzOo'n Gillay Kiye KhOob Aakharien Dum
wO Kaash Eik Dum Thehar K Aatey K Meray Lab Par Bhi Dum Na hOta

Para hAi Marna Bus Ab tO hUm Ko jO Us Ney Khat Parh Key Nama-Bar Say
Kaha K Gar Such Yeh Haal hOta tO Daftar Itna Rqam Na hOta

jO Aap Dar Say Utha Na Daitey Khien Na Karta Mani Jib-hey-Saaii
Agar-Cha Yeh Sar nOshat Mein Tha tUmhaarey Sar Kii Qasam Na hOta

Visaal kO hUm Tras Rhay Thay jO Ab hUa tO Maza Na Paya
Addo Kay Marnay Kii jAb KhUshii Thi K Us Ko Ranj o Alam Na hOta

Whaan Traqii Jamal Ko hAi Yhaan mOhabbat hAi Roz AfzOo'n
Shareek e Zaiba Tha Boo-Al-Hawas Bhi jO Be-Wafaii Mein Kum Na hOta

Visaal tO hAi Khaan Myasar Magar Khyaal e Visaal Mein Hii
Mazay Uraatey Hawas Nikalti jO Saath Andaaz e Rimm Na hOta

hUa Musalmaa'n Main Aur Dar Sey Na Dars e Vaaizz Ko Sun Key "Momin"
Bani Thii Dozakh Bala Say Bantii Azaab e Hijjr O Sanam Na hOta

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko


har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar aik ajab khaf sa dil ko

woh khuaab k dekha na kabhi le ura neendain
woh dard k utha na kabhi kha gaya dil ko

yaan saans ka laina bhi guzar jana hai jee se
yaan marka e ishq bhi ik khel tha dil ko

woh aein to hairan woh jaein to pareshaan
yaa rab koi samjhaye yeh kya hogaya dil ko

Rat-Jagon K Sehra Mein Khawaab Jab Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona


Rat-Jagon K Sehra Mein Khawaab Jab Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona
Zindagi K Mailey Mein Hum Agar Bichar Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jin Pay Naam Likhey Hon Un Ujaar Shaakhon Par Kab Bahaar Aati Hai
Aarzoo Ki Tehni Say Jab Gulaab Jhar Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jaan Kya Zaroori Hai Dasht-E-Naarsaaii Mein Ek Dua Bhi Poori Ho
Hum Agar Rawaajon Ki Sooliyoun Pay Garr Jaien Tum Udaas Mat Hona

Waqt Ek Drinda Hai Aur Hum Sabhi Is Ki Dehshaton Ki Zad Mein Hai
Jab Yeh Bey-Sakoon Lamhey Apni Zid Pay Arr Jaien Tum Udaas Mat Hona

Jaber Ki Fizaoun Mein Muskura K Jee Laina Yeh Bhi Ek Ibadat Hai
Chahey Karb K Saaye Meray Qad Say Barh Jaien Tum Udaas Mat Hona

Kuch Bhi Ho Magar Apney Dilnasheen Tabasum Say Zabt Ka Bharam Rakhna
Chahey Hum Bichar Jaien Kiyo Na Hum Ujar Jaien Tum Udaas Mat Hona

mushkil hai ab shahar mein nikale koi ghar se


mushkil hai ab shahar mein nikale koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hai hotii hui sar se

barasaa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarase

is baar jo indhan ke liye kat ke giraa hai
chirriyon ko baraa pyaar thaa us burhay shajar se

mehanat meri aandhi se to manasuub nahin thii
rahanaa thaa koi rabt shajar kaa bhi samar se

Khud apane se milane kaa to yaaraa na thaa mujh mein
main bheer mein gum ho gai tanhaai ke dar se

benaam musaafat hi muqaddar hai to kyaa gam
manzil kaa ta'yyun kabhii hotaa hai safar se

pattharaayaa hai dil yun ki koi ism parha jaaye
ye shahar nikalataa nahin jaaduu ke asar se

nikale hain to raste me.n kahin shaam bhi hogi
suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se

saza ka haal sunaaye jaza ki baat karen


saza ka haal sunaaye jaza ki baat karen,
Khuda mila ho jinhein vo Khudaa ki baat karen,


unhein pata bhi chale aur vo Khafa bhi na ho,
is ehatiyaat se kya maza ki baat karen,

hamare ahad ki tahazib mein qabaa hi nahi,
agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,

har ek daur ka mazahab naya Khuda laata,
karen to ham bhi magar kis Khuda ki baat karen,

vafaa-shiyaar kayi hai koi hasin bhi to ho,
chalo phir aaj usi bevafaa ki baat karen…

Main Hoon Ya Tu Hai ,Khud Se Gureza Jaise,


Main Hoon Ya Tu Hai ,Khud Se Gureza Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai,Kharaman Jaise..


Tujhse Pehle Toh Baharon Ka ,Yeh Andaaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hai,Jalta Ho Gulistaan Jaise…

Yun Teri Yaad Se Hota Hai ,Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hai,Bayaabaan Jaise..

Dil Mein Roshan Hai,Abhi Tak Tere Wadon Ke Chiraag,
Toot-Ti Raat Ke Taare Ho, Farozan Jaise..


Waqt Badla Per,Na Badla Mere Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein ,Sar-E-Kohsaar Charagan Jaise..

Zakhm Badhta Hai Zamana,Magar Is Tarah,
Si Raha Ho Koi ,Phoolon Ke Girebaan Jaise…….

sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main


sakoon mahal hai Amjad wafa ke rastay main
kabhi charagh jalay hain hawa ke rastay main

najaney ab ke baras khaitiyoon pe kya guzray
kai pahar kharay hain hawa ke rastay main

qadam qadam pe qadam larkhray jatay hain
butoon ke dhair lagay hain Khuda ke rastay main

diar-e-ahle mohabbat main kis nay di awaz
hazar saaz bajay hain sada ke rastay main

siway dard-e-mohabbat, bajuz ghubar-e-safar
koi rafiq na paya wafa ke rastay main

dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein


dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein

paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain


paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain
chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain

aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain

rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain

phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai
pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain

yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain
apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain

Meray sabr ko aazma raha tha


Meray sabr ko aazma raha tha
Wo meray qareeb aa raha tha!

Usay dar tha ke mein bichadh na ja’on
Mujhay apna yaqi’n dila raha tha

Kisi aur ki mein samajh na pa’oon
Mujhay aisi zaba’n sikha raha tha!

Ye jaha’n gul aur qamr-o-saba
Mujhay sub se hasi’n batla raha tha

Ik din mujh se milnay youn aaya
Ke sara badan uska sharma raha tha!

Ye aadat bhi uski badi dilruba thi
Nigahain jhuka ker wo muska raha tha!

Kabhi youn na usko haseeno’n mein deikha
Jo deikha mera dil bhi ghabra raha tha

Juda hoke mujh se wo ik roz baad
Mila youn ke pal pal ginwa raha tha

Hoi barbaad yeh basti, chalo ab lout chaltey haen


Hoi barbaad yeh basti, chalo ab lout chaltey haen,
Gira ker aankhse mouti, chalo ab lout chaltey haen,

Ae kaash! aisa kabhi hota, woh bas jaata mere mann mein,
Dil apna bhi bana dashti, chalo ab lout chaltey haen,
...
Yeh meri badnaseebi hae, usey paaker ganwaaya hae,
Meri taqdeer hae roti, chalo ab lout chaltey haen,

Mita deta andheron ko, jala ker aaj ghar apna,
Nahi yeh jot bhi jalti, chalo ab lout chaltey haen,

Muyassar hi sukoon hota dar o deewaar se mujh ko,
Nahi ghar baar se banti, chalo ab lout chaltey haen,

Uttha ker haath, marney ki du'aaein maangloon lekin,
Kahaan hae mout bhi milti, chalo ab lout chaltey haen,

Chalo hamdam phir us par, aur wahan tak sath chalte haen,
Jahaan tak saans hae chalti, chalo ab lout chaltey haen.

jab sr-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga


jab sr-e-shaam us ne zulfon ko sanwara ho ga
hath main kangan ankh main kajal awara ho ga

us ke jooray main saja wo surkh gulaab
raat sote main kisi ne to utara ho ga
...
aalam-e-tanhai main shab bhar karwaten le kar
koi to ho ga jisay us ne pukara ho ga

haye! wo neend main doobi hovi makhmoor nigahain
jis ne dekha wahin dil apna wo hara ho ga

us k bay taab larazte huvay honton pe "wasi'
hay yaqeen ham ko machalta huva naam hamara ho ga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga


Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga

Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga

Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga

Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga

Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga


Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga

Kabhi uska chehra gulaab hua karta tha


Kabhi uska chehra gulaab hua karta tha
Sab ki nazron ka wo khawab hua karta tha
.

Chand sitare us ke saamney mand partey thy
Wo to khud mahtaab hua karta tha
.
Lehja bikhra aisa ke sambhal na paya
Wo jo apni misaal app hua karta tha
.
Ab tanhai ke andheron mein kahin gum hai
Wo ek shaks jo aftaab hua karta tha

APNI MOHABBAT KA HAR GAM, ME HAS HAS KAR UTAONGA


APNI MOHABBAT KA HAR GAM, ME HAS HAS KAR UTAONGA,

PAR GAM NA KAR,TU BEWAFA HE,YE ME KISI KO NAHI BATAONGA,

HE KURBAAN MERI ZINDAGI KI HAR KHUSI TUJH PAR,

DIL TO CHEEJ HE KYA, YE JAAN BHI TUJH PE LUTAONGA,

APNI MOHABBAT KA HAR GHAM



PAR HAMESHA TADPAYENGI MERI CHAHTE TUJHKO,

JIS TARAH RULAATI HE TERE ISHQ KI BAATE MUJHKO,

TADPEGI TU YAAD KARKE PYAAR KO MERE,

SAB KHAK HUE,BO TERI KASME OR VAADE TERE,

OR TERE BINA ME BHI TO KABHI CHEN NAHI PAAONGA

APNI MOHABBAT KA HAR GHAM



TU RAHE AABAD HAMESHA YE DUA HE MERI,

MUJH PAR TO HASTI HE YE TANHAAIYAA MERI,

ME TO SAYAD MARKAR BHI AB CHEN NAHI PAAONGA,

APNI MOHABBAT KA HAR GHAM ME HAS HAS KAR UTHAOONGA.

Mohabbaton me dikhaave ki dosti na milaa


Mohabbaton me dikhaave ki dosti na milaa,
Agar gale nahi milta to haath bhi na milaa.

Gharon pe naam the naam ke sath ohde the,
Bahut talash kiya koi aadmi na mila.

Tamaam rishton ko main ghar pe  aaya tha, 
phir iske baad mujhe koi ajnabi na mila.

Bahut ajeeb hai ye kurbaton ki doori bhi,
Woh mere saath raha aur mujhe kabhi na mila.

Khuda ki itni badi kaaynaat mein maine,
Bas ek shakhs maanga mujhe wo hi na mila.

Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara


Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay

Kabhi Kabhar K Tasawor Sy Mera g Nahi Bharta


Kabhi Kabhar K Tasawor Sy Mera g Nahi Bharta
Mery Khayal May Aao To Baar Baar Aao

Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai


Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhooN

faaslay itney bhi ho jaaiN gai sochha hi na tha
teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhooN

kaisey dorahey per kharee hooN ke aqal sakit hai
der hai pyaroN se judai ka, khud ko tarapta dekhooN

tera ehsase janoon mujh ko bhi pyara hai mager
ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhooN

dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
teri aankhoN mein wohi pyar mein phir se dekhooN

mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
mein teray pyar ka mausam sada hi dekhooN

Gali Mein Dard K Purzay Talaash Karti Thi


Gali Mein Dard K Purzay Talaash Karti Thi...
Meray Khutot K Tokrey Talaash Karti Thi...

Bhulaey Kon Azeeyat Pasandiyaan Uss Ki...
Khushi Ke Diyaar Mai Sadmay Thalash Karti Thi..

Ajeeb Hijr Parsati Thi Uss Ki Fitrat Mein...
Shajr Ke Tootay Hoey Pattay Talaash Karti Thi...

Tamaam Raat Woh Parda Hata Ke Chaand Ke Saath...
Jo Kho Gaaye Thay Woh Lamhay Thalaash Karti Thi...

Kuch Iss Liye Bhi Meray Ghar Say Usse Wehshat Thi...
Yahan Bhi Apnay Hee Piyaaray Thalaash Karti Thi....

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi...
Hamesha Hijr Ke Harbay Thalaash Karti Thi...

Duwain Karti Thi Ujrey Howay Mazaron Per...
Baray Ajeeb Sahaarey Thalaash Karti Thi...

Mujhay Tau Aaj Baadloon Nay Bataya Hai Wasi....
Woh Laut Aanay Ke Rastay Talaash Karti Thi...!!!

Kisi Be Wafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kab Tak


"Kisi Be Wafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kab Tak
Jo Tumhe Bhula Chuka Ho Usse Tum Bhi Bhool Jao"

Kisi Ko Na Paney Se Zindagi Khatam Nahi Ho Jati


Kisi Ko Na Paney Se Zindagi Khatam Nahi Ho Jati
Per Kisi Ko Pa K Khoo Deny Se Baki Kuch Nahi Rehta

Yeh Kia Howa Teri Dunya Ko Ay KHUDA -e- Kareem


Yeh Kia Howa Teri Dunya Ko Ay KHUDA -e- Kareem
Keh Zinda Log He Tarastay Hain Zindagi Kay Liye

Mein Tujey Dhoondne, Yaadon Ki Khuli Sarkoon Par


Mein Tujey Dhoondne, Yaadon Ki Khuli Sarkoon Par..!!
Khushk Path'oon Ki Tarah Rooz Bikar Jaata Hoon...!!

Fursat mile to yad kar liya karo


Fursat mile to yad kar liya karo hamain bhi kabhi kabhi
Bari pur-ronaq hoti hain Yadain ,,,Hum udas logon ki

Hum to Be-naam se Be-aasra Log hain Wasi


Hum to Be-naam se Be-aasra Log hain Wasi
Koi Agar yad rakhe ga to us ki enayat hogi

Popular Posts