dil mein ik tasveer chupi thee, aan basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein
jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein
iss romaal ko kam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein
parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein
mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaga hono, neend bhari hai ankhoon mein
No comments:
Post a Comment