Tuesday, December 7, 2010

Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena


Ik diya dil main jalana bhi, bujha bhi dena,
Yaad karna bhi usay roz, bhula bhi dena

Kya kahoon meri chaahat hai ya nafrat uski,
Naam likhna bhi mera, likh ke mita bhi dena

Phir na milnay ko bicharta hoon tujhse lekin,
Mur ke dekhoon to palatnay ki dua bhi dena

Khat bhi likhna usay maayoos bhi rehna us se,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi dena

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawaara lekin,
Jee main aaye to ye deewar gira bhi dena

Us se mansoob bhi kar lena puraanay Qissay,
Us ke baalon main naya phool saja bhi dena

Soorat-e-naqsh-e-qadam, Dasht main rehna Mohsin
Apnay honay se na honay ka pata bhi dena

No comments:

Popular Posts