na mohabbato'n ka hisab tha na adawato'n ka shumar tha
kabhi zaat uski azaab thi, kabhi rooh ka wo qarar tha
usey mainey murh k sada na di k palat gaya tha wo raah se
mai khiza'n huwa to pata chala meri zaat ka wo nikhaar tha
meri pyas utni hee barh gayee, k saraab iteny miley mujhey
huwa jiss pe dhauka ghulab ka, wo sulagta jalta sharaar tha
tu bhi door hai, mai bhi door hoo'n kyu'n alag huwe hain ye raastey
meri chahato'n ka guraiz tha , ya teri anaa ka hisaar tha
wo kabhi kisi ko miley kahee'n, to koi bata de usey zara
meri funn e shair ki be_khudi, terey ishq ka hee kamal tha
No comments:
Post a Comment