Aina hairan hai aur asmaan ronay ko hai
is Tamsha ghah main ab aur kiya honay ko hai
kashtagaan-e-dard kojaan ki amaankaisay milay
zindagi ki her dua apana asar khonay ko hai
neend ke mare kisi sapanay ki Khawhish kiya karien
her ghardi mahsoos hota hai sahar honay ko hai
kis ke naqsh-e-paa ko samajhien apani manzil ka nishaan
jhaag uraty mauj aker her nishaan dhonay ko hai
kaash yeah koye sitara yaan koye jugnu kahay
her andhera keh raha hai roshani honay ko hai
aye hawa-e-be-yaqini gul na ker ghar ke chirag
chand lamhoon ko Thahar ja kuch na kuch honay ko hai
No comments:
Post a Comment