Tuesday, December 7, 2010

Jo kuch dekha jo socha wohe tehreer kar jaen


Jo kuch dekha jo socha wohe tehreer kar jaen
jo kagaz apnay hissay ka hai wo kagaz tu bhar jaen!

nashay main neend k taray bhe ek dojay pe girtay hain
thakan rastoun ki kehti hai chalo ab apnay ghar jaen!

kuch aise behisi ki dhund se phayli hai aankhon main
hamari soratain dekhain tu aaenay bhe dar jaen

na himmat hai ganim-e-wqt se aankhain milanay ki
na dil main housla itna k mitti main utar jaen

gul-e-umeed ki sorat teray bagoun main rehtay hain
koe mousam hamain bhe de k apni baat kar jaen!

dayaar-e-dasht main reeg-e-rawan jin ko banati hai
bata aay manzil-e-hasti k wo rastay kidhar jaen!

tu kia aay qasim-e-ashya ye he aankhon ki qismat hai
agar khawabon se khali hon tu pachtawoun se bhar jaen!

agar bakhshish milay amjad tu us khushbo se behtar hai
k es be-faiz gulshan say bandhi muthii gozar jaen!

No comments:

Popular Posts