Udas kaghazi mausam mein rang-o-bu rakh de
Har ek phool ke lab pe mera lahu rakh de
Zabaan-e-gul se chattanein taraashne vaaley
Sukuut-e-naqsh mein aaraaish-e-namuu rakh de
Giraan lage hai jo ehasaan dast-e-qaatil ka
Uth aur tegh ke lab pe rag-e-gulu rakh de
Chala hai jaanib-e-maikhaanaa aaj phir vaaiz
Kahein na jaam pe lab apne bevazuu rakh de
Khuda kare mera munsif sazaa sunaane mein
Mera he sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de
Samandaroun ne bulaya hai tujhko ai 'bekal'
Tu apni pyaas ki sehra mein aabru rakh de
No comments:
Post a Comment