raat ko shammaa kii maanind pighal kar dekho
zindagii kyaa hai kisii taaq meN jal kar dekho
apne chehre ko badalnaa to bahut mushkil hai
jii bahel jaayegaa aaiinaa badal kar dekho
rang bikhreNge to fariyaad karegii Khushbuu
tum kisii phuul ko chuTkii se masal kar dekho
jab bhii dekhaa tumheN ek Khvaab kii suurat dekhaa
ek din paikar-e-taabiir meN Dhal kar dekho
zindagii maaN hai navaazegii tumheN bhii “Nikhat”
kisii bacche kii tarah tum bhii machal kar dekho
No comments:
Post a Comment