Friday, June 3, 2011

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina


Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay


hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay

sanam pathar k ho jate hain akhir Khuda ik din


sanam pathar k ho jate hain akhir Khuda ik din
sitam gar sare payen gay kabhi akhir saza ik din

kabhi toh rang laye gi mere dil ki dua ik din
k bhar jaye gi taaron se meri khali rida ik din

hatheli pr likhay jati hon naam us ka musalsal main
woh aa kar dekh hi lay ga mera rang-e-hina ik din

buhat dinon say meri hasti koi weran khandar hai
kabi ankhon mai aa bas ja mere dil main sama ik din

teri yeh barhami jana'n hai pegham e ajal mujh ko
yehi tujh ko gawara hay toh ja! ho ja khafa ik din

shab-e-hijran!meri by-khuwab ankhon pr tu ehsaan kr
mere mathay pay bosa day' mujhe aa kar sula ik din

Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly


Aziat apni qismat thi aziat se nahi nikly
juda ho kr b hm dono mohbt sy nhi nikly,

Aana k daaeron mn thy so ek dojy ko dhutkara
mgr phr umr bhr dono mulamat sy nhi nikly

Qadam chokat py rakhty he ye bazoo phael jaty han
Mohbt sy Nikl Aay han aadat sy n hi nikly,

Boht mumkin tha ruk jaty pukara hi nhi tm ny
tyry koochy sy hm itni b ujlat mn nhi nikly

mere jazbat ab myry bas mn nhi rhty
k aanso ab tyri khatr ejazt sy nhi nikly,

Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha


Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha
hay meray liyay bada benaam ka nasha

Aankhon say chhalaktay howay irfan kay taranay
zulfon say barasta hoa ilhaam ka nasha

Har gaam laraztay howay tadbeer kay paikar
taqdeer ki aankhon mein hay aalam ka nasha

Har dil mein tardaptay howay arman ki kahani
har aankh mein khon e dil nakaam ka nasha

Phir doob gaya gaisoo e janaan ki mehek mein
do din to raha gardish e ayyaam ka nasha

Hen shisha o Saghar kay yahan rang anokhay
hay aek yahan bada e gulfam ka nasha

Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin


Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin
lams mehsoos hoa meray balon mein kahin

Ab mera saath nahi deta piyada dil ka
haar jaon na mein aakar teri chaalon mein kahin

Is tashakhkhus pe bhi rehta hay ye dhardka dil ko
kho na jaon mein teray chahnay walon mein kahin

Aek sooraj nay mujhay chaand ka rutba bakhsha
warna hoti mein kitabon kay hawalon mein kahin

mujh ko lagta to nahi woh mutzalzal lekin
Us ko wehshat hi na lay jaaen ghazalon mein kahin

Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal


Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal
khud nigahen dard e dil ki tarjuman hen aaj kal

Dil say umday aa rahay hen hasraton kay karwan
aur aankhen karwan dar karwan he aaj kal

Wo rukh e rangeen, wo chashm e naaz, wo zulf e daraz
arghuwan o nargis o sumbal jawan hen aaj kal

kheench laya unko mera jazb e dil bala e baam
meri khatir husn ki ruswaiyan hen aaj kal

Allah Allah tabish e rukhsar e rangeen ki bahar
muztarib, abr e shufq mein bijliyan hen aaj kal

Haay aaghaz e muhabbat ki tarb angezyan
hasrat o hirman, gham ki dastan hen aaj kal

Sabza o shabnam, naseem o bo e gul hen ham kinar
aur woh mujh say Qamar, daman kushan hen aaj kal

Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka


Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka
har ek goshay mein poncha payam urdu ka

Mafar nahi hay harifon kay wastay koi
bichha howa hay har samt daam urdu ka

Hay jin ko madd e nazar ahtram e Pakistan
zaroor kartay hen woh ahtram urdu ka

Is zuban say hay irtibat e ahl e watan
kafeel nazm e watan hay nizam urdu ka

Arab mila hay ajam sy, ajam say Pakistan
kuch is tarah say howa hay qawam urdu ka

Kushan kushan idhar aa jaengay sabhi Wehshat
hay meray hath mein pur kaif jaam urdu ka

Log letay hain yonhi shama aur parwanay ka naam


Log letay hain yonhi shama aur parwanay ka naam
kuch nahi hai is jahan mein gham kay afsanay ka naam

Mitt gai brbdi e dil ki shikayat dosto
ab gulistan rakh lia hay main nay wiranay ka naam

Shaokhi e qadr e nigaran meri sehba ka wujood
masti chashm e ghizalan meray paimanay ka naam

Is ko kehtay hen gham e taqdeer ki nilam gah
hay zuban e tashnagi aur maikhanay ka naam

Dekhyay ! Saghar ki aashufta nigahi ka kamaal
mastiyan chhalka raha hay aek diwanay ka naam

Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain


Ye dekhnay kay liyay sab theher kay dekhtay hain
woh khush khiram kisay aankh bhar kay dekhtay hain

Idhar udhar parday tukrday jigar kay dekhtay hain
karishmay ham teray teer e nazar kay dekhtay hain

Woh yon bhi kartay hen tasdeeq meray marnay ki
keh apna hath meray monh pe dhar kay dekhtay hain

Suna hay aatay hen qabroon pe woh dua kay liyay
agar ye sach hay to ham bhi mar kay dekhtay hain

Suna hay rotay howay log hen pasand unko
ham apni aankhon mein kuch ashk bhar kay dekhtay hain

Suna hay ashk rawan maojzan hen har janib
wafa kay shehr say ham bhi guzar kay dekhtay hain

Suna hay baten thirakti hen un kay honton par
ye baat hay to chalo baat karkay dekhtay hain

Hum to bethay thay rah guzar mein gum


Hum to bethay thay rah guzar mein gum
qaflay ho gayay ghubar mein gum

Aek paiman shikan say kia shikwa
ham rahay apnay atbar mein gum

Jab talak aayna muqabil tha
uski aankhen rahin khumar mein gum

Ham say mat pooch kab ruten badlin
ham rahay uskay intizar mein gum

Phir tray pairhan ki yaad aai
phir howay ham bhari bahar mein gum

Kia khabar kab hoi hay yaad us ki
dil kay ujrday howay dayar mein gum

Kinay yaaron kay karwan Mohsin
ho gayay gard e rozgar mein gum

Waqt ki gardish-e-ayyam mein beh janay do


Waqt ki gardish-e-ayyam mein beh janay do
zindagi jaisay guzarti hay guzar janay do

Meray dil nay kabhi phoolon ki tamanna ki thi
aaj kanton hi ko daman say lipat janay do

Roshni jag mein hay aur dil mein andhera meray
in andheron say bohat door nikal janay do

doston nay poocha, kahan hen us kay qasmen waday
main nein kaha, chordo usay nai dunya basanay do

Woh chaand tha woh chand hay usay chamaknay do falak pe
main khak tha main khak hon mujhay khaak mein mil janay do

Sheher mein teri paziraai na honay dongi


Sheher mein teri paziraai na honay dongi
too mera hay tujhay harjaai na honay dongi

Chup rahon gi jo kahay ga koi tujh ko majnoon
is sy bardh kar teri ruswaai na honay dongi

Yaad aaon gi tujhay achhay dinon ki soorat
main mukammal teri tanhaai na honay dongi

Janti hon keh mera hona hay us say mashroot
apnay dushman ki main paspaai na honay dongi

Achhay lagtay hen Qamar mujh ko parinday lekin
us ko unka bhi tamannaai na honay dongi

Kabhi azeez thay ham jinko zindagi ki tarah


Kabhi azeez thay ham jinko zindagi ki tarah
abhi qareeb say guzray hen ajnabi ki tarah

Khuda karay too gham e zeest say rahay mehfooz
keh too hay gulshan e hasti mein kali ki tarah

Hamen hi zabt ki talqeen kiun ho mehfil mein
hamen bhi izn e takallum milay sabhi ki tarah

Hamaray dil mein ziaraiz hay kisi ki yaad
kanwal kay phool mein khowabida chandni ki tarah

Hamen mila hay QAMAR gham badal badal kar bhais
kabhi basoorat e girya, kabhi hansi ki tarah

Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya


Takhleeq-e-kaainat ka matlab samajh gaya
teray takallufat ka matlab samajh gaya

Ahbaab kar rahay hen bardi charasazian
shayed taweel raat ka matlab samajh gaya

Ham chal rahay hen teray iradon kay saath saath
majboori e hayat ka matlab samajh gaya

shayed keh ham nibah kay la,iq nahi rahay
tark e talluqaat ka matlab samajh gaya

Aey dost niyaton kay taqazay kuch aur hen
is rang e iltifat ka matlab samajh gaya

Deewana koi chaak garibaan na milay ga


Deewana koi chaak garibaan na milay ga
ab koi shanasa e baharan na milay ga

Guzren gay bohat log teri rahguzar say
par ham sa koi sookhta saman na milay ga

kab yaad na aay gi teray ahd e wafa ki
kab ashk sar daaman e miszgaan na milay ga

Ab umr isi haal mein kat jayay gi shayed
taskeen ka pehloo kisi unwaan na milay ga

Jaltay hen keh ab aatish e gham sard na hogi
kurdhtay henkeh is dard ka samaan na milay ga

Is jashn gulo lala kay amboh mein koi
ghamkhoar tujhay shabnam giryan na milay ga

Ahsaan uthatay ho abas chara garon kay
ye gham to aey sina e figaran na milay ga

Ara,esh gaisoo ka khayal aay ga tum ko
jab koi bhi sargashta o hairaan na milay ga

Kantay hen kahin aur kahin sang giran hen
KAIFI meri rahon mein gulistaan na milay ga

Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hain


Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hen
bohat aagay gayay, baqi jo hen tayyar bethay hen

Na chhaird aay nihat e baad e bahari rah lag apni
tujhay ithkalyan soojhi hen, ham bbaizaar bethay hen

Tasawwur arsh par hay aur sar hay paayay saqi par
gharz kuch aur hi dhun mein is ghardi maikhuwar bethay hen

ye apni chaal hay uftadgi say ab keh pehron tak
nazar aaya jahan par saaya e deewar bethay hen

Kahan sabr o tahammul aah nang o naam kia shay hay
yahan ro peet kar in sab ko ham yakbaar bethay hen

Bhala gardish falak ki chain deti hay kisay INSHA
ghanimat hay keh ham soorat yahan do chaar bethay hen

Rahzan aadmi rahnuma aadmi


Rahzan aadmi rahnuma aadmi
barha ban chuka ha khuda aadmi

Haey takhliq ki karpardaziyan
khak si cheez ko keh dia aadmi

Zidagi khanqag shuhood o baqa
aur loh mazaar fana aadmi

Gojti rahay gi falak dar falak
hay mashiyat ki aesi sadaa aadmi

us ki morten pojtay pojtay
aek tasweer si ban gaya aadmi

jo hai wajood mein us ko gumaan ki nazar na kar


jo hai wajood mein us ko gumaan ki nazar na kar
ye maan le ke haqeeqat hi jism-o-jaaN hai yahan

nahiN hai jo, wohi maujood-o-beykaraN hai yahan
ajab yaqeen pas-e-parda-e-gumaaN hai yahan

na ho udaas, zameeN shaq nahiN huyi hai abhi
khushi sey jhoom, abhi sar pe aasmaN hai yahan

yahaN sukhan jo fasana-taraaz ho wo karey
jo baat sach hay wo naqabil-e-bayaaN hai yahan

kahaN se kab ye chali baat, kia haqeeqat hai?
azal se aik hi be-rabt dastaaN hai yahan

na ranj kar, ke yahaN raftani haiN saarey malaal
na kar malaal, ke har ranj rayigaaN hai yahan

Jis ko aksar socha tha tanhaai mein


Jis ko aksar socha tha tanhaai mein
shamil hay woh shakhs meri ruswaai mein

Mujh say mat poocho woh chehra kaisa tha
doob gaya main aankhon ki gehraai mein

Jagtay rehnay ki kitni targhiben thin
us ki bojhal thaki hoi angrdaai mein

Piyar bhi karta hay woh be parwaai say
nadani ka rang bhi hay danaai mein

Woh ek pal ko rootha to mehsoos hoa
jaisay beet gaya ek saal judaai mein

Jaao apnay jaisay log talash karo
kia paao gay Mohsin say harjaai mein

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon


Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon
ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon

Dil ka sahar o shaam tardapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon

ALLAH karay soz e daron aur ziyada
kuch aur nayay zakhm e jigar dekh rahi hon

Ghabra kay palat jaaon meray bus mein nahi hay
go samnay anjam e safar dekh rahi hon

aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon

Afsurda si lagti hay mujhay bazm e sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo QAMAR dekh rahi hon

Dasht-e-wafaa mein shma-e-muhabbat jalayay kaon


Dasht-e-wafaa mein shma-e-muhabbat jalayay kaon?
naqsh e wafaa bana kay zameen par dikhayay kaon?

Baad e sabaa main janti hon teri shokhiyan
aesay mein naghma haay wafaa gungunayay kaon?

Ahl e wafaa ko kia hay gharz sangdil bata
teray dar e naaz pe sar ko jhukayay kaon?

Dil zakhm zakhm aur jigar paash paash hay
sheher e wafaa mein apna lahoo aazmayay kaon?

Roothi hoi hon aur Qamar main udaas hon
aesay mein aa kay piyar say mujh ko manaae kaon?

Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din



Hum sar khul jawo bawaqt e maey parasti ek din
warna ham chherden gay rakh kar uzr e masti ek din

Ghazza e aawij binayay aalam imkan na ho
is bulandi kay nasibon me hay pasti ek din

Qarz ki pitay thay maey lekin samajhtay thay keh hain
rang laaway gi hamari faqa masti ek din

Naghma haay gham ko bhi aey dil ghanimat janyay
be sadaa ho jayay ga ye saaz e hasti ek din

dhool dhappa us sarapa naaz ka shewa nahi
ham hi kar bethay thay Ghalib paish dasti ek din

suno wo jab satata hai kaha dil doob jata hai


suno wo jab satata hai
kaha dil doob jata hai

kaha dill dobta kab hai
btaya jab satata hai

kaho kab phol khiltay hein
kaha jab muskurata hai

dharakta hay kaho dill kab
kaha jab pass ata hai

kaho dill mein hay kia uss kay
kaha wo kab batata hai

suno barham sa hay shayed ?
kahan younhi banata hai

kaha kuch tu hawa ho ga ?
kaha wo aazmata hai

buri shay ishq hay kiion kar ?
kaha shab bhar jagata hai

kaho wo bazm kesi thee?
kaha wo kab bulata hai

kaho uss ay bicharnay ki ?
bicharna kiss ko bhata hai

kaho milnay ki khhuwahish hai ?
kaha bedard naata hai

batao raakh mein kia hai
sitara jhilmilata hai

laraz jati hein kab palkein ?
nazar jab wo jamata hai

thehar jati hay dharkan kab?
nazar say jab girata hai

wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay



wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay

zakhm per sabt kar na lab apnay
zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay

hijr ki shab say haoslay apnay
bach gayay to sahar bhi daikhain gay

raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay

ik dua dil say chup kay maangi thi
us dua ka assar bhi daikhain gay

ik puraana safar to khatm howa
ik nayi rahguzar bhi daikhain gay

gin to lainay do baykafan lashein
bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay

chairr kar dil ki rakh ko mohsin*
ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay

Dastoor yahan bhi andhay henfarman yahan bhi andhay hain


Dastoor yahan bhi andhay henfarman yahan bhi andhay hain
aey dost khuda ka naam na lay emaan yahan bhi andhay hain

Taqdeer kay kalay kambal me azmat kay fasanay liptay hain
mazmoon yahan bhi behray hen unwan yahan bhi andhay hain

Zardaar tawaqqo rakhta hay nadaar ki gardhi mehnat par
mazdoor yahan bhi dewanay hen zishan yahan bhi andhay hain

kuch log bharosa kartay hen tasbih chaltay dano par
bechain yahan yazdan ka junoon,insaan yahan bhi andhay hain

Benaam jafa ki rahon par kuch khak si urdti dekhi hai
heran hen dilon kay aaynay nadan yahan bhi andhay hain

Berang shafaq si dhalti hay benoor sawairay hotay hain
sha,air ka tasawwur bhooka hay sultaan yahan bhi andhay hain

Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye


Aahan ki surkh taal pe hum raqs kar gaye
taqdeer teri chaal pe hum raqs kar gaye

Panchhi banay to rafat e aflaak pe ham urday
ahl e zameen kay haal pe hum raqs kar gaye

Kanton say ahtijaaj kia hay kuch is tarah
gulshan ki daal daal pe ham raqs kar gaye

Waa,iz! faraib e shaoq nay hum ko lubhaya
firdaos kay khayal pe ham raqs kar gayay

Har atbaar husn e nazar say guzar gaye
har halqa haay jaal pe hum raqs kar gaye

Manga bhi kia to qatra e chashm tarfaat
Saghar teray sawaal pe hum raqs kar gaye

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai


Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisika Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur BeQabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai...

Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh


Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh
karam ko dekh, sitam haay daastan ko na dekh

Ye bekali, ye azyat, ye gham ye mehroomi
nigah kar dil e betaab par, jahan ko na dekh

Faraib kha, meray bujhtay howay tabassum ka
nigah e lutf say meray dil e tapaan ko na dekh

Bujhay charagh ki kam maaigi pe ashk bahaa
palat palat kay sitaron kay karwan ko na dekh

Elaaj jor o jafa tark e rasm o rah nahi
jo ho sakay to nibha, kho e dostan ko na dekh

Tera maqaam sitaron say hay paray SHEZAAD
bujhay bujhay say iradon say aasman ko na dekh

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain


Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain
khayaban khayaban iram dekhtay hain

Dil aashuftagan khal e kunj dehen kay
sawaida me sair e adam dekhtay hain

Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhtay hain

Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamanna say ham dekhtay hain

Bana kay faqeeron ka ham bhais Ghalib
tamasha e ahl e karam dekhtay hain

Aaj roothay howay sajan ko bohat yaad kia


Aaj roothay howay sajan ko bohat yaad kia
apnay ujrday howay gulshan ko bohat yaad kia

Jab kabhi gardish e taqdeer ne ghera hay hamen
gesoo e yaar ki uljhan ko bohat yaad kia

Shama ki joot par jaltay howay parwano nay
ek tray shola daman ko bohat yaad kia

Jis kay mathay par nayi subh ka sooraj ho ga
ham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kia

Aaj tootay howay sapnon ki bohat yaad aayi
aaj bitay howay sawan ko bohat yaad kia

Ham sar e toor bhi mayoos tajalli hi rahay
us dar e yaar ki chilman ko bohat yaad kia

Mutmien ho hi gayay daam e qafas me sahgar
ham aseeron nay nasheman ko bohat yaad kia

Sab wa hain darichay to hawa kiun nahi aati


Sab wa hain darichay to hawa kiun nahi aati
chupp kiun hay,parindon ki sadaa kiun nahi aati

Gul khilnay ka maosam hay to phir kiun nahi khiltay
khamosh hen kiun perde, sabaa kiun nahi aati

Bekhowab kiwardon pe hawa deti hay dastak
soye howay logon ko jaga. kiun nahi deti

Suntay hain keh manzar hay badalnay ko chaman ka
phir uski gawahi ki nidaa, kiun nahi aati

Kiun aek say lagtay hen yahan sab hi maosam
khushboo kisi maosam say juda,kiun nahi aati

sona hay mujhay ab to wohi oordh kay Shabnam
meray liyay pholon ki rida, kiun nahi aati

Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi


Mujh ko hairat ki salibon say utaray koi
be sadaa sheher mein ro kar hi pukaray koi

Kal tujhay dekhna chaha to ajab baat hoi
aankh par tank gaya chaand sitaray koi

Main teri zaat say bahir bhi teri zaat mein hon
kaisay dikhayay mujhay meray kinaray koi

Is nayay daor mein bachchon pe ye kia waqt parda
aag mein jhonk gaya un kay ghubaray koi

kis tarah nawo chalay itnay chardhay pani mein
teri yaadon ka sumandar to utaray koi

sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon


sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa hoon

tere Gham ko bhi kuch behlaa rahaa hoon
jahaN ko bhi samjhaa rahaa hoon

yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai
gumaaN ye hai k dhokhay kha rahaa hoon

agar mumkin ho lay lo apni ahaT
Khabar do husn ko main aa rahaa hoon

haden husn-o-ishq kii milaakar
qayamat par qayamat Dhaa rahaa hoon

Khabar hai tujhko aye zabt-e-muhabbat
tere haathon men lut ta ja rahaa hoon

asar bhi le raha huN teri chup kaa
tujhe khayal bhi kara jaa rahaa hoon

bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
main tujhse aaj kyon sharma rahaa hoon

tere pehlo men kyon hotaa hai mehsus
k tujhsay dur hota jaa rahaa hoon

muhabbat ab muhabbat ho chali hai
tujhe kuchh bhultaa sa jaa rahaa hoon

Dil ishq mein be payan, soda ho to aisa ho


Dil ishq mein be payan, soda ho to aisa ho
darya ho to aesa ho, sehra ho to aisa ho

Aey qais e junoon paisha, pinhaai e do aalam
wehshi ho to aesa ho, ruswa ho to aisa ho

Ham say nahi rishta bhi, ham say nahi milta bhi
hay paas woh betha bhi, dhoka ho to aisa ho

woh bho raha begana, ham nay bhi na pehchana
han aey dol e diwana, apna ho to aisa ho

Is dard mein kia kia hay, ruswaai bhi lazzat bhi
kanta ho to aesa ho, chbhta ho to aisa ho

Ham nay yehi manga tha, us nay yehi bakhsha hay
banda ho to aesa ho, data ho to aisa ho

Hay justajoo keh khoob say hay khoob tar kahan


Hay justajoo keh khoob say hay khoob tar kahan
ab therti hay dekhyay jakar nazar kahan

Ya RUB is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha usko ham say rabt magar is qadar kahan

Aek umr chahyay keh gawara ho nesh e umr
rakhti hay aaj lazzat zakh e jigar kahan

Ham jis pe mar rahay hen woh hay baat hi kuch aur
aalam mein tujh say lakh sahi too magar kahan

Hoti nahi qubool duaa tark e ishq ki
dil chahta na ho to zuban mein asar kahan

HALI nishat e naghma o may dhodhtay raho ab
aayay ho waqt e subh, rahay raat bhar kahan

bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein


bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein
elaahi tark e ulfat par woh kiun kar yaad aatay hen

Na chherd aey hamnasheen! kaifiyat e sehba kay afsanay
sharab e bekhodi kay mujh ko saghar yaad aatay hen

Raha kartay hen qaid e hosh mein aey waay nakami
woh dasht e khud framoshi kay chakkar yaad aatay hen

Nahi aati to un ki yaad maheenon tak nahi aati
magar jab yaad aatay hen to aksar yaad aatay hen

Haqiqat khul gai HASRAT teray tark e muhabbat ki
tujhay to ab woh pehlay say bhi bardh kar yaad aatay hen

Ye aalam shaoq ka dekha na jaye


Ye aalam shaoq ka dekha na jaye
woh butt hay ya khuda dekha na jayay

Ye kin nazroon say too nay aaj dekha
keh tera dekhna dekha na jayay

Hamesha kay liyay mujh say bichhard ja
ye manzar barha dekha na jayay

Ghalat hay josh, par aazma kar
tujhay aey be wafa dekha na jayay

Ye mehroomi nahi paas e wafa hay
koi teray siwa dekha na jayay

Yehi to aashna bantay hen aakhir
koi na aashna dekha na jayay

Ye meray sath kesi roshni hay
keh mujh say rasta dekha na jayay

Faraz apnay siwa kaon hay tera
tujhay mujh say juda dekha na jayay

Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein


Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein
laila to aey qais milay gi dil kay daolat khanay mein

Janam janam kay saton dukh hen us kay mathay par tehreer
apna aap mitana ho ga, ye tehreer mitanay mein

Mehfil mein us shakhs kay hotay, kaif kahan say aata hay
paimanay say aankhon mein ya aankhon say paimanay mein

Kis ka kis ko haal sunaya, too nay aey afsana go
ham nay aek tujhi ko dhoondha, is saaray afsanay me

Is basti mein itnay ghar thay, itnay chehray, itnay log
aur kisi kay dar par ponhcha? aesa hosh diwanay mein?

Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye


Tere Firaaq k lamhe shumar karte hoye
Bikhar gaye hain Tera Intizaar karte hoye


To Mai b Khush hoon koi us se ja k keh de,
Agar wo Khush hai Mujhe Be-Qarar karte hoye


Main Muskurata hua Aaine mai ubhrunga,
Wo Ro parega Achanak Singhaar karte hoye


Tujhe Khabar hi nahi Toot gaya hai koi,
Mohabbat ko boht Paaidar karte hoye

Wo Keh rahi thi Samandar nahin hai Aankhon mein,
Main un mai Doob gaya Aitbaar karte hoye

Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo


Her Ik Chahray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kahoo
Ye Zindagi To Hai Rehmat Isay Saza Na Kahoo

Na Janay Wo Kon C Majboriyon Ka Qaidi Ho
Wo Sath Chor Gaya Hai To Bewafa Na Kahoo

Tamam Shehar Ne Nazroon Pe Kyun Uchala Muje
Yehi It'tfaq Tha Tum Isay Hadsa Na Kahoo

Ye Aur Baat Ke Dushman Hua Hai Wo Aaj Mager
Wo Mera Dost Tha Kal Ussay Bura Na Kahoo

Meray Aaib Mujhe Ungliyon Pe Ginwao
Meray Peechay Mujhe Bura Na Kahoo

Nazar jahan say bacha kay dekho jo faslay hain mita kay dekho


Nazar jahan say bacha kay dekho
jo faslay hain mita kay dekho

Ye zindagi muskura utthay gi
kisi ko apna bana kay dekho

Tumhari chahat mein mit chalay ham
kabhi to palken utha kay dekho

Bana day shaaer jo aadmi ko
woh chaot tum bhi to kha kay dekho

koi bhi apna nahi jahan mein
kisi ko bhi aazma kay dekho

jahan ho jhuknay say sarbulandi
wahan pe sar ko jhuka kay dekho

BATOOL niklay ga naam uska
jo taar dil kay hila kay dekho

Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho


Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho
aey logo khamosh raho han aey logo khamosh raho

Such acha, par us kay jaloo mein, zeher ka hay ek piyala bhi
pagal ho> kiun nahaq ko suqrat bano, khamosh raho

Haq acha, par us kay liyay koi aur maray to aur acha
tum bhi koi mansoor ho jo sooli pe chardho, khamosh raho

un ka ye kehna sooraj hi dharti kay pheray karta hay
sar aankhon par, sooraj hi ko ghoomnay do, khamosh raho

Majlis mein kuch habs hay aur zanjeer ka aahan chubhta hay
phir socho, han phir socho, han phir socho, khamosh raho

Garm aansoo aur thandi aahen, man mein kia kia maosam hen
is baghya kay bhaid na kholo, sair karo, khamosh raho

Aankhen moond kinaray betho, man kay rakho band kiward
INSHA JEE lo dhaga lo aur lub si lo, khamosh raho

Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay


Khat mein us ko kaisay likhon kia pana kia khona hay
doori mein to ho nahi sakta jo aapas me hona hay

woh aaya to saray maosam badlay badlay lagtay hen
ya kanton ki saij bichhi thi ya pholon ka bichhona hay

Abhi to khushk bohat hay maosam barish ho to sochen gay
ham nay apnay armanon ko kis mitti me bona hay

Kanch ki gurdyan taaq me kab tak aap sajaen gay
aaj nahi to kal tootay ga jis ka naam khilona hay

Barday barday daway hen lekin chotay chotay qad Shehzad
phankni hay kuch khaak in ko kuch pani inhen balona hay

Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath


Cahandni raat mein us paikar-e-seemaab k saath
main bhi urdta raha ek lamha be khwab k saath

Kis mein himmat hay keh badnam ho saay ki tarah
kaon aawara phiray jagtay mahtab k saath

Aaj kuch zakhm naya lehja badal kar aay
aaj kuch log nayay mil gayay ahbaab k saath

Sekrdon abr andheray ko bardhaen lekin
chand mansoob na ho gar ek shab taab k saath

Dil ko mehroom na kar aks e junoon say Mohsin
koi wirana bhi ho qarya shadaab k saath

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay


Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
sunnay walay raat katnay ki dua denay lagay

Kis nazar say aap ne dekha dil e majroh ko
zakhm jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagay

Juz zameen koo e janaan kuch nahi paishe nigah
jis ka darwaza nazar aaya sadaa denay lagay

Baghban nay aag di jab gulshan ko meray
jin pe takya tha wohi pattay hawa denay lagay

Mutthiyon me khak lekar dost aay waqt e dafn
zindagi bhar ki muhabbat ka sila denay lagay

aayna ho jayay mera ishq un kay husn ka
kia maza ho dard agar khud hi dawa denay lagay

Na tera qurb na baada hai kia kiya jaye


Na tera qurb,na baada hai,kia kiya jaye
Phir aaj dukh bhi ziyada hai,kia kiya jaye

Humain bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata
Mizaj-e-yaar bhi sada hai,kia kiya jaye

Kuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hain
Kuch apna dil bhi kushada hai,kia kiya jaye

Woh meherban hai magar dil kia hirs bhi kam ho
Talab,karam se ziyada hai,kia kiya jaye

Na us se tark-e-ta’alluq ki baat kar payain
Na humdami ka irada hai,kia kiya jaye

Sulook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz
Magar yeh mehfil-e-aada hai,kia kiya jaye

Sokhay hont sulagti aankhen sarson jesa rang


Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
barson bad woh dekh kay mujh ko reh jayay ga dang

Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulayay
ukhrdi ukhrdi baten uski gheron jaisa dhang

taara bankar door ufaq par kalay larzay dolay
kachchi daor say urdnay wali dekho aek patang

Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gai thi
rooh ko bhi ab khata jayay tanhaai ka zang

Un hi kay sadqay ya rub meri mushkil kar aasan
meray jaisay aur bhi hen jo dil kay haathon tang

Sub kuch day kar hans di aur phir kehnay lagi taqdeer
kabhi na poori hogi teray dil ki aek umang

SHABNAM koi jo tujh say haray, jeet pe maan na karna
jeet woh ho gi jab jito gi apnay aap say jang

Aayaat-e-mohbt ki tilawat nahi karty


Aayaat-e-mohbt ki tilawat nahi karty
lagta hai yahan log mohbt nahi karty,

Anjaam-e-wafa soch k aghaz kro tm
chupky sy niklny ki hamaqat nahi karty

ye qaid sikha dyti ha adaab-e-mohbt
pinjry mn parindy bi sharart nahi karty,

wo kon hain ks wasty es dr py pary han
deewany kbi dasht sy hijrat nahi karty

mit jaty han duniya sy wo log bi amir
jo log faqiroon sy mohbt nahi karty.

Muhabbat jin se hoti


Muhabbat jin se hoti

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi

Koi khadsha, koi shak, koi andesha

Buhat bechain rakhta hai

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kahin ye visal ke lamhe

Badal jayain na furqat mai

Kahin ye qurb ki ghairiyan

Judai main na dhal jayain

Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de

Kahin aisa na ho k

Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha

Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de

Kahin aisa na ho k

Wo meharbaan ankhain badal jayain

Kahin aisa na ho k

Ye garamjoshi sard par jaye

Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish

Yakh basta ho jaye

Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare

Aur dil ka dard ban jaye

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi

Agar nazrain churaye tou dil pe *** lagti hai

Ansoo’n ka mena barasta hai

Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai

Phone ki ghanti ka wo notice na le

Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye

Dharak uthta hai dil

Kya janea kya ho gaya us ko

Tawajja mai kami kyun agai…?

Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?

Jo apna is qadar apna tha

Akhir kyun paraya hai..?

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Chal Chalte Hain Us Paar Sanam


Chal Chalte Hain Us Paar Sanam

Jahan Lehron ki Khmoshi Ho

Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho

Jahan Jazbon Ki Behoshi Ho

Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho

Ik Nai Aas Lgany Ko

Ik Dil Ki Aag bujhane Ko

Ik Doje Me Kho Jane Ko

Ik Pal K Naam Ho jane ko Lubon py honton k taly hon

Chal Chalte Hain Us Paar SaNam

Jahan Aasan Sari Rahain Hon

Jahan Ik Doje ki Banhain Hon

Jahan Lab Pe Sard c Aahain Hon

Jahan pyar Ki kuch Pnahain Hon

Chal Chalte Hain Us paar Sanam.....!

Jisko Akser Socha Tha Tanhaye Mein


Jisko Akser Socha Tha Tanhaye Mein..!!
Shamil Hay Woh Shakhs Meri Ruswaye Mein..!!

Mujse Matt Pocho Woh Chehra kaisa Tha..??
Doobh Gaya Mein Aankhon Ki Gehrayee Mein ..!!

Jaagtey Rehnay Ki Kitni Tar'gheebain Thein ..!!
Uski Boojal Thakhi Howi Aangraiii Mein .!!

Tujse Aankh Milana Kitna Mushkil hay...!!
Warna Suraj Gull Jayein Beenayee Mein ...!!

Pyar Bhi Karta Hay Woh Be-Parwaee Say..!!
Nadani Ka Rangg Bhi Hay Da'nayee Mein..!!

Woh Ek Pal Ko Roota Toa Mehsoos Howa..!!
Jaisay Beet Gaya Eik Saal Judaii Mein..!!

Jaoo Apnay Jaisay Log Talash Karoo..!!
Kiaaa Paoo Gay Mohsin Say Harjayee Mein....!!!

Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut



Khuwaab Min Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Me Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Me Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din To Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Me Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga


Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga

Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom

Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi’shoon Ki Qataar

Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama’ton Kay Mazaar

Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta’luqaat Ka Soog

Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Loog

Tamam Log Wohi Loog Thay Kay Jin Say Kabhi

Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah

Tamam Sa’yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey

Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash’na Ki Tarah

Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga

Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar

Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj

Jabeen-e-Khaak Mein Pai’west Hein Firaaq Kay Daagh

Fazaa-e-Zard kay Sa’ye Mein Ehtiyaat Kay Saath

Ujaar Baam Mein Chalta Howa ……….. Udaas Chiragh

Hawa Say Pooch Raha Tha…… Ek Ajnabi Ki Tarah

Meray Safar Ka Sabab…..Tere Hamsafar Ka Suraag

Har Ek Sawal Mujhe Kitna Be-Sabab Sa Laga

Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga

Popular Posts