Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga
Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom
Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi’shoon Ki Qataar
Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama’ton Kay Mazaar
Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta’luqaat Ka Soog
Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Loog
Tamam Log Wohi Loog Thay Kay Jin Say Kabhi
Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah
Tamam Sa’yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey
Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash’na Ki Tarah
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga
Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar
Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj
Jabeen-e-Khaak Mein Pai’west Hein Firaaq Kay Daagh
Fazaa-e-Zard kay Sa’ye Mein Ehtiyaat Kay Saath
Ujaar Baam Mein Chalta Howa ……….. Udaas Chiragh
Hawa Say Pooch Raha Tha…… Ek Ajnabi Ki Tarah
Meray Safar Ka Sabab…..Tere Hamsafar Ka Suraag
Har Ek Sawal Mujhe Kitna Be-Sabab Sa Laga
Main Tere Shaher Se Guzra Tou Kuch Ajab Sa Laga
No comments:
Post a Comment