Kuch kehnay ka waqt nahi ye kuch na kaho khamosh raho
aey logo khamosh raho han aey logo khamosh raho
Such acha, par us kay jaloo mein, zeher ka hay ek piyala bhi
pagal ho> kiun nahaq ko suqrat bano, khamosh raho
Haq acha, par us kay liyay koi aur maray to aur acha
tum bhi koi mansoor ho jo sooli pe chardho, khamosh raho
un ka ye kehna sooraj hi dharti kay pheray karta hay
sar aankhon par, sooraj hi ko ghoomnay do, khamosh raho
Majlis mein kuch habs hay aur zanjeer ka aahan chubhta hay
phir socho, han phir socho, han phir socho, khamosh raho
Garm aansoo aur thandi aahen, man mein kia kia maosam hen
is baghya kay bhaid na kholo, sair karo, khamosh raho
Aankhen moond kinaray betho, man kay rakho band kiward
INSHA JEE lo dhaga lo aur lub si lo, khamosh raho
No comments:
Post a Comment