Friday, June 3, 2011

Deewana koi chaak garibaan na milay ga


Deewana koi chaak garibaan na milay ga
ab koi shanasa e baharan na milay ga

Guzren gay bohat log teri rahguzar say
par ham sa koi sookhta saman na milay ga

kab yaad na aay gi teray ahd e wafa ki
kab ashk sar daaman e miszgaan na milay ga

Ab umr isi haal mein kat jayay gi shayed
taskeen ka pehloo kisi unwaan na milay ga

Jaltay hen keh ab aatish e gham sard na hogi
kurdhtay henkeh is dard ka samaan na milay ga

Is jashn gulo lala kay amboh mein koi
ghamkhoar tujhay shabnam giryan na milay ga

Ahsaan uthatay ho abas chara garon kay
ye gham to aey sina e figaran na milay ga

Ara,esh gaisoo ka khayal aay ga tum ko
jab koi bhi sargashta o hairaan na milay ga

Kantay hen kahin aur kahin sang giran hen
KAIFI meri rahon mein gulistaan na milay ga

No comments:

Popular Posts