Na tera qurb,na baada hai,kia kiya jaye
Phir aaj dukh bhi ziyada hai,kia kiya jaye
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhab nahin aata
Mizaj-e-yaar bhi sada hai,kia kiya jaye
Kuch apne dost bhi tarkash badosh phirte hain
Kuch apna dil bhi kushada hai,kia kiya jaye
Woh meherban hai magar dil kia hirs bhi kam ho
Talab,karam se ziyada hai,kia kiya jaye
Na us se tark-e-ta’alluq ki baat kar payain
Na humdami ka irada hai,kia kiya jaye
Sulook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz
Magar yeh mehfil-e-aada hai,kia kiya jaye
No comments:
Post a Comment