Friday, June 3, 2011

Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay


Hijr ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
sunnay walay raat katnay ki dua denay lagay

Kis nazar say aap ne dekha dil e majroh ko
zakhm jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagay

Juz zameen koo e janaan kuch nahi paishe nigah
jis ka darwaza nazar aaya sadaa denay lagay

Baghban nay aag di jab gulshan ko meray
jin pe takya tha wohi pattay hawa denay lagay

Mutthiyon me khak lekar dost aay waqt e dafn
zindagi bhar ki muhabbat ka sila denay lagay

aayna ho jayay mera ishq un kay husn ka
kia maza ho dard agar khud hi dawa denay lagay

No comments:

Popular Posts