Udaas udaas na ho yon, gham-e-nihaan ko na dekh
karam ko dekh, sitam haay daastan ko na dekh
Ye bekali, ye azyat, ye gham ye mehroomi
nigah kar dil e betaab par, jahan ko na dekh
Faraib kha, meray bujhtay howay tabassum ka
nigah e lutf say meray dil e tapaan ko na dekh
Bujhay charagh ki kam maaigi pe ashk bahaa
palat palat kay sitaron kay karwan ko na dekh
Elaaj jor o jafa tark e rasm o rah nahi
jo ho sakay to nibha, kho e dostan ko na dekh
Tera maqaam sitaron say hay paray SHEZAAD
bujhay bujhay say iradon say aasman ko na dekh
No comments:
Post a Comment