Friday, June 3, 2011

Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka


Har ek dayar mein raoshan hai naam urdu ka
har ek goshay mein poncha payam urdu ka

Mafar nahi hay harifon kay wastay koi
bichha howa hay har samt daam urdu ka

Hay jin ko madd e nazar ahtram e Pakistan
zaroor kartay hen woh ahtram urdu ka

Is zuban say hay irtibat e ahl e watan
kafeel nazm e watan hay nizam urdu ka

Arab mila hay ajam sy, ajam say Pakistan
kuch is tarah say howa hay qawam urdu ka

Kushan kushan idhar aa jaengay sabhi Wehshat
hay meray hath mein pur kaif jaam urdu ka

No comments:

Popular Posts