Dastoor yahan bhi andhay henfarman yahan bhi andhay hain
aey dost khuda ka naam na lay emaan yahan bhi andhay hain
Taqdeer kay kalay kambal me azmat kay fasanay liptay hain
mazmoon yahan bhi behray hen unwan yahan bhi andhay hain
Zardaar tawaqqo rakhta hay nadaar ki gardhi mehnat par
mazdoor yahan bhi dewanay hen zishan yahan bhi andhay hain
kuch log bharosa kartay hen tasbih chaltay dano par
bechain yahan yazdan ka junoon,insaan yahan bhi andhay hain
Benaam jafa ki rahon par kuch khak si urdti dekhi hai
heran hen dilon kay aaynay nadan yahan bhi andhay hain
Berang shafaq si dhalti hay benoor sawairay hotay hain
sha,air ka tasawwur bhooka hay sultaan yahan bhi andhay hain
No comments:
Post a Comment