Friday, June 3, 2011

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay


hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay

No comments:

Popular Posts