Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
barson bad woh dekh kay mujh ko reh jayay ga dang
Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulayay
ukhrdi ukhrdi baten uski gheron jaisa dhang
taara bankar door ufaq par kalay larzay dolay
kachchi daor say urdnay wali dekho aek patang
Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gai thi
rooh ko bhi ab khata jayay tanhaai ka zang
Un hi kay sadqay ya rub meri mushkil kar aasan
meray jaisay aur bhi hen jo dil kay haathon tang
Sub kuch day kar hans di aur phir kehnay lagi taqdeer
kabhi na poori hogi teray dil ki aek umang
SHABNAM koi jo tujh say haray, jeet pe maan na karna
jeet woh ho gi jab jito gi apnay aap say jang
No comments:
Post a Comment