Jis ko aksar socha tha tanhaai mein
shamil hay woh shakhs meri ruswaai mein
Mujh say mat poocho woh chehra kaisa tha
doob gaya main aankhon ki gehraai mein
Jagtay rehnay ki kitni targhiben thin
us ki bojhal thaki hoi angrdaai mein
Piyar bhi karta hay woh be parwaai say
nadani ka rang bhi hay danaai mein
Woh ek pal ko rootha to mehsoos hoa
jaisay beet gaya ek saal judaai mein
Jaao apnay jaisay log talash karo
kia paao gay Mohsin say harjaai mein
No comments:
Post a Comment