Friday, June 3, 2011

Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein


Janay too kia dhoondh raha hai basti mein wiranay mein
laila to aey qais milay gi dil kay daolat khanay mein

Janam janam kay saton dukh hen us kay mathay par tehreer
apna aap mitana ho ga, ye tehreer mitanay mein

Mehfil mein us shakhs kay hotay, kaif kahan say aata hay
paimanay say aankhon mein ya aankhon say paimanay mein

Kis ka kis ko haal sunaya, too nay aey afsana go
ham nay aek tujhi ko dhoondha, is saaray afsanay me

Is basti mein itnay ghar thay, itnay chehray, itnay log
aur kisi kay dar par ponhcha? aesa hosh diwanay mein?

No comments:

Popular Posts