Friday, June 3, 2011

Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hain


Kamar bandhay chalnay ko yan sab yaar bethay hen
bohat aagay gayay, baqi jo hen tayyar bethay hen

Na chhaird aay nihat e baad e bahari rah lag apni
tujhay ithkalyan soojhi hen, ham bbaizaar bethay hen

Tasawwur arsh par hay aur sar hay paayay saqi par
gharz kuch aur hi dhun mein is ghardi maikhuwar bethay hen

ye apni chaal hay uftadgi say ab keh pehron tak
nazar aaya jahan par saaya e deewar bethay hen

Kahan sabr o tahammul aah nang o naam kia shay hay
yahan ro peet kar in sab ko ham yakbaar bethay hen

Bhala gardish falak ki chain deti hay kisay INSHA
ghanimat hay keh ham soorat yahan do chaar bethay hen

No comments:

Popular Posts