Hum sarapa apnay gham ki dastan hain aaj kal
khud nigahen dard e dil ki tarjuman hen aaj kal
Dil say umday aa rahay hen hasraton kay karwan
aur aankhen karwan dar karwan he aaj kal
Wo rukh e rangeen, wo chashm e naaz, wo zulf e daraz
arghuwan o nargis o sumbal jawan hen aaj kal
kheench laya unko mera jazb e dil bala e baam
meri khatir husn ki ruswaiyan hen aaj kal
Allah Allah tabish e rukhsar e rangeen ki bahar
muztarib, abr e shufq mein bijliyan hen aaj kal
Haay aaghaz e muhabbat ki tarb angezyan
hasrat o hirman, gham ki dastan hen aaj kal
Sabza o shabnam, naseem o bo e gul hen ham kinar
aur woh mujh say Qamar, daman kushan hen aaj kal
No comments:
Post a Comment