jo hai wajood mein us ko gumaan ki nazar na kar
ye maan le ke haqeeqat hi jism-o-jaaN hai yahan
nahiN hai jo, wohi maujood-o-beykaraN hai yahan
ajab yaqeen pas-e-parda-e-gumaaN hai yahan
na ho udaas, zameeN shaq nahiN huyi hai abhi
khushi sey jhoom, abhi sar pe aasmaN hai yahan
yahaN sukhan jo fasana-taraaz ho wo karey
jo baat sach hay wo naqabil-e-bayaaN hai yahan
kahaN se kab ye chali baat, kia haqeeqat hai?
azal se aik hi be-rabt dastaaN hai yahan
na ranj kar, ke yahaN raftani haiN saarey malaal
na kar malaal, ke har ranj rayigaaN hai yahan
No comments:
Post a Comment