sitaaron se ulajhtaa jaa rahaa hoon
shab-e-furqat bahut ghabaraa rahaa hoon
tere Gham ko bhi kuch behlaa rahaa hoon
jahaN ko bhi samjhaa rahaa hoon
yaqeen ye hai haqeeqat khul rahi hai
gumaaN ye hai k dhokhay kha rahaa hoon
agar mumkin ho lay lo apni ahaT
Khabar do husn ko main aa rahaa hoon
haden husn-o-ishq kii milaakar
qayamat par qayamat Dhaa rahaa hoon
Khabar hai tujhko aye zabt-e-muhabbat
tere haathon men lut ta ja rahaa hoon
asar bhi le raha huN teri chup kaa
tujhe khayal bhi kara jaa rahaa hoon
bharam tere sitam kaa khul chukaa hai
main tujhse aaj kyon sharma rahaa hoon
tere pehlo men kyon hotaa hai mehsus
k tujhsay dur hota jaa rahaa hoon
muhabbat ab muhabbat ho chali hai
tujhe kuchh bhultaa sa jaa rahaa hoon
No comments:
Post a Comment