Friday, June 3, 2011

Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha


Kuch kaif-e-sahar na mujhay shaam ka nasha
hay meray liyay bada benaam ka nasha

Aankhon say chhalaktay howay irfan kay taranay
zulfon say barasta hoa ilhaam ka nasha

Har gaam laraztay howay tadbeer kay paikar
taqdeer ki aankhon mein hay aalam ka nasha

Har dil mein tardaptay howay arman ki kahani
har aankh mein khon e dil nakaam ka nasha

Phir doob gaya gaisoo e janaan ki mehek mein
do din to raha gardish e ayyaam ka nasha

Hen shisha o Saghar kay yahan rang anokhay
hay aek yahan bada e gulfam ka nasha

No comments:

Popular Posts