Friday, April 16, 2010

Main Kitna Khush Tha

Main Kitna Khush Tha Ke Us Bewafa Ko Bhula Chuka Hoon,
Uske Bheje Tamaam Naam Jala Chuka Hoon,
Uski Yaadon Ke Naqsh Mita Chuka Hoon,
Magar Mujhe Ye Khabar Na Thi Ke,
Aaj Barish Baras Padegi,
Uski Yaadonke Saare Manzar Nikharenge
Aur Main Jo Simat Chuka Tha Phir Se Mujhe Bikherenge...

Wafa Ki Aag Mein Jal Rahe The

Wafa Ki Aag Mein Jal Rahe The,
Unhe Kya Pata Hum Mar Rahe The,
Guzre Jo Unke Paas Se,
Tapish Lekar Unke Sath Se,
Pathar Jo Mom Ho Gaye,
Parinde Bhi Soch Mein Kho Gaye,
Hawayein Toofan Hogayi,
Irade Buland Ho Gaye,
Har Chiz Bhi Sakin Ho Gayi
Chehra Khamosh Ho Gaya,
Aankhein Bhi Nam Si Ho Gayi,
Hothon Pe Aah Si Aa Gayi,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Hum Bewafa Se Ho Gaye,
Wo Bhi Lachaar Ho Gaye,
Pyar Mein Hi Kho Gaye,
Naseeb Mein Likha Tha Kafan,
Mitti Mein Kardiya Phir Dafan,
Wo Bhi Naraz Ho Gaye,
Saath Mein Hi So Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye,
Hum Bewafa Ho Gaye...



Tum Jahan Bhi Jao

Suno!
Tum Jahan Bhi Jao
Jahan Bhi Thehro
Chahe Zameen Kisi Aakhri Kone Ki Jaanib Nikal Jao,
Beshak Hamein Tum Bhul Jao,
Magar Itna Yaad Rakhna
Tumhare Saare Hawalon Ko
Hum Zameen Ki Panahgahon Mein Mehfooz Rakhenge,
Tumhari Saari Baaton Ko
Tumhare Sang Beete Saare Lamho Saari Yaadon Ko,
Dilke Paas Rakhenge
Suno!
Tumhe Hum Yaad Rakhenge...

Shayad Kuch Rishton Ka Haasil Dukh Hua Karta Hai

Shayad
Kuch Rishton Ka Haasil Dukh Hua Karta Hai,
To Phir
Kyon Tum Unko Ilzaam Dete Ho,
Jinhone Zindagi Se,
Kabhi Mohabbat Karna Nahi Sikha
Haan!!!!
Unka Kya Kasoor Is Mein,
Jab Wo Is Jazbe Ko Mehsoos Karne Ka Hunar Nahi Rakhte,
Kyon Karte Ho Aise Logon Se Tum Pyaar
Jinko Zindagi Mohabbat Ka
Rukh Nahi Dikhati,
To Phir
Kyon Nahi Chhod Dete
Kyon Nahi Azad Karte Tum Unko
In Andekhi Bandishon Se,
Shayad Ye Bhi
Tumhare Pyaar Karne Ka Ek Tareeqa Hai,
Ek Andaaz Hai.....
Shayad!!!!!



_________________

Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi

Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Sheher Se Door Safar Karte Hue,
Raah Chalte Ya Kahin Baith Ke Sastaate Hue,
Aate Jaate Hue, Bewajah Kahin Rukte Hue,
Seediyan Chadte Hue, Zulf Ko Suljhate Hue,
Ghar Mein Aaye Kisi Mehmaan Ki Tawaazoh Karte,
Chaay Dete Hue, Haathon Se Pyaali Girte Hue,
Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Ghumte Phirte Hue, Long Drive Karte,
Choodiyan Lete Hue, Eid Ki Shopping Karte,
Ghar Se Jaate Hue, Ya Shaam Ko Ghar Aate Hue,
Bekhayali Mein Kisi Khayal Mein Kho Jaate Hue,
Duniya Daari Se Bahut Door Nikal Jaate Hue,
Main Tumhe Yaad Bhi Aaya Ke Nahi,
Pichhle Do Chaar Jo Din Guzre Hai,
Kya Kahoon Kitne Kathin Guzre Hai,
Intezar Itna Kiya Hai Ke Sadiya Ho Jaise,
Bebasi Apne Muqaddar Mein Likhi Ho Jaise...



_________________

Mera Wajood Hai

Mera Wajood Hai,
Azeeyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehan Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi,
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam,
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Bad Masti Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala,
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phatta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehad" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baghbaan Uski Rooh Ko,
Baksh De Har Khata Uski,
Razi Ho Jaa Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Mein De Jaga,
Apne Reham Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunahgaar Ki Ye Iltija "Gar Manzoor" Ho...



_________________

Thake Maande Bahut Ho

Thake Maande Bahut Ho,
Safar Ki Dhool Se Palkein Aati Hai,
Thakan Se Choor Khamoshi Mein Sehra Gunjte Hai,
Tum Ab Ki Baar Kitni Derse Palte,
Gaye The Jab To Kaliyan Jagne Ko Thi,
Kabhi Shaakhon Pe Halka Sa Boor Aaya Tha,
Phir Uske Baad Patjhad Thi,
Bahut Se Chaand Bujhne Tak Swad-E-Hijr Phaila Tha,
Mujhe Malum Hai Pindaar Ke Qaid Khane Mein,
Tumhara Dam Ulajhta Hai,
Tumhari Khoj Ka Sarkash Samundar,
Roz-O-Shab Ke Tinginaye Mein Atakta Hai,
To Tum To Rusta-E-Sahil Dhoondne Bahar Nikalte Ho,
Main Aisi Hijraton Ke Qarb Se Waqif Rahi Hoon,
Jazeerah Dar Jazeerah Phailti La Hasile Mere Bhi Qadmon Mein Rachi Hai,
Har Ek Saahil Pe Bhi Kal Justuju Ka Ek Naya Sahil Bulata Hai,
Magar Phir Nazar Aati Haqeeqat Se Haqeeqat Tak,
Badan Ke Wehmon Se Ek Na Deedah Khuda Tak,
Zindagi Ki Asal Ko Kisne Chhua Hai,
Koi Kab Naap Paya Fasla Jismon Se Jismon Ka,
Azal Se Oonghti Roohon Se Roohon Ka,
Khabar Tak Ho Nahi Paati,
Kahan? Kaise?
Hamari Jagti Aankhon Ki Duniya Se Khayalon Tak,
Phisalte Manzaron Ki Bastiya Basti Ujadti Hai,
Har Ek Manzar Shinasayi Mein Dhalne Se Bahut Pehle,
Fana Ki Ghataiyon Mein Jaa Utarta Hai,
Yahan Har Shay Gurezan Hai,
Takhayyul 'Aankh' 'Khushbu'
Lims Ki Gul Rang Sa'at Tak Guzarein Hai,
Khala Jaise Jazeeron Se Safar Wapis Palatne Ka,
Teh Gerdaab Hote Hai,
So Main Chokhat Pe Aankhon Ke Diye Rakhe,
Tumhari Raah Takti Hoon,
Ke Tum Lambe Safar Se Khasta Jaan Aao,
To Dastak Ki Aziyat Se To Bach Jao,
Idhar Baitho,
Yahan Aangan Mein Phaili Bel Ke Saye Mein Dam Le Lo,
Yahan Se Aasman Dekho,
Khuda-E-Lam Yazal Ki Is Zameen Par,
Hum Kisi Bhi Ant Ko Chhu Lein,
Ye Do Qadmon Tale Phaili Zameen,
Aankh Bhar Ka Aasman Hi Apna Wirsah Hai,
Hamari Zindagi Sab Ibadaton Ki Intihaaon Mein
Unhi Do Mantaqon Mein Qaid Rehti Hai,
So Tum Agli Musafet Tak,
Yahin Par
Apne Hisse Ki Zameen Mein Phool Bo Dekho...



_________________

Seene Mein Dil Hai

Seene Mein Dil Hai,
Dil Mein Dard Hai,
Dard Mein Nasha Hai,
Nashe Mein Mithas Hai,
Mithas Mein Maza Hai,
Maze Mein Aarzoo Hai,
Aarzu Mein Masarrat Hai,
Masarrat Mein Ummid Hai,
Ummid Mein Yaqeen Hai,
Yaqeen Mein Khayal Hai,
Khayal Mein Tasavvur Hai,
Tasavvur Mein Tu Hai,
Tujh Mein Ada Hai,
Ada Mein Haya Hai,
Haya Mein Nazakat Hai,
Nazakat Mein Shokhi Hai,
Shokhi Mein Tohfa Hai,
Tohfe Mein Banawat Hai,
Banawat Mein Apnayat Hai,
Apnayat Mein Chahat Hai,
Chahat Mein Khaloos Hai,
Khaloos Mein Pyaar Hai,
Pyaar Mein Ibaadat Hai,
Ibaadat Mein Khuda Hai...



Suni Suni Zindagi Meri


Suni Suni Zindagi Meri,

Mujhse Roothi Hai Har Khushi Meri,

Shukriya Apki Jafaon Ka,

Jinse Zinda Hai Shayri Meri,

Dediya Dilko Ek Gam Taaza,

Chhen Ke Mujhse Har Khushi Meri,

Wo Honge Mere Zaroor Ek Roz,

Rang Laayegi Aashiqui Meri...

Aayina Toot Jaye

Aayina Toot Jaye,

Bikhar Jata Hai Har Chehra,

Magar Jab Tootta Hai Dil,

To Hoti Hai Badi Mushkil,

Na Milta Hai Majhdhaar Usko,

Na Milta Hai Use Saahil,

Zindagi Darbadar Ki,

Kasauti Zindagi Ki...



Mohabbat Mein Humko Na Itna Satao

Mohabbat Mein Humko Na Itna Satao,
Agar Ho Sake To Hamein Bhool Jao,
Jo Hamara Guzre The Din Aur Raatein,
Jo Ki Thi Pyaar Ki Baatein,
Bhool Jao Wo Kissa Na Khud Ko Yaad Dilao,
Agar Ho Saka To Hamein Bhool Jao,
Ye Duniya Hamein Kabhi Na Milne Degi,
Jo Hum Chahte Hai Wo Karne Na Dege,
Na Apna Apna Tum Puchho
Agar Hosake To Hame Bhul Jao,
Khuda Ke Liye Hamein Aazmao,
Agar Ho Sake To Hamein Bhul Jao...

Usne Mere Seene Pe Sar Rakhke Puchha

Usne Mere Seene Pe Sar Rakhke Puchha,
Jaana! Apne Jeevanka Wo Lamha To Batao,
Jiske Badle Mil Sakte Hai Sabhi Taare,
Dariyaon Ke Saare Moti,
Sawan Ki Pehli Barish Ke Saare Qatre,
Ujle Chand Ki Sari Kirnein,
Dharti Ke Seene Se Lipte Sabhi Khazane,
Saare Mausam Sabhi Duwayien,
Phoolon Ki Rangeen Qabayein,
Patti Patti Padne Wali Bheni Khushbu,
Ism-E-Azam,
Usne Mere Seene Pe Sar Rakhkar Mujhse Puchha,
Jaana! Apne Jeevan Ka Wo Lamha To Batao Mujhko,
Jiske Badle Sab Kuch Apna, Sab Kuch, Sab Kuch...

Apna Sab Kuch De Sakte Ho...
Maine Uska Matha Chuma Aur Kaha CHUP
Aaj Pehli Baar Tumne Apna Sar Mere Seene Par Rakha Hai...



_________________

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Band Tha Wo Khamoshi Ki Zindaan Mein
Jis Mein Dar Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Mein Aaya Ke Uski Ye Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Dun Use,

Usse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Wo Meri Baat Par Soch Mein Pad Gaya,
Apne Maazi Ka Dar Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Wo Ye Samjha Ke Uske Andheron Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Irade Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Maine Usse Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Wo Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Mein Is Qadar Kho Gaya,

Uski Khamoshiyion Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyon Ka Nagar,
Aur Main Apni Majbooriyon Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Main, "Har Pari
Umar Bhar Yun Pari Banke Reh Jaye To
Dolti Hai Nazar Uspe Har Dev Ki,
Aur Nazar Wo Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan Pari Ka Jala Kar Tale,
Uski Khushiyon Ki Aur Raahaton Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le L'oon, Tum Hi Ab Kaho?

Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chunna Pada
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har Pari Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke Ladki Piya Sang Jaana Pada,

Maine Usse Phir Us Din Kuch Aise Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Usnep Uchha, "Wo IQraar-O-Ehd-E-Wafa,
Kya Hue, Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhuth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Kitna Hairan Hua Hoga Wo Sunkar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karungi Khuda Se Dua,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gam Kabhi,

Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke Mile Aur Mil Kar Bichhad Jaye Hum...



_________________

Maahol Sogwar Lagta Hai

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Jeena Bahut Dushwar Lagta Hai,
Maahol Sogwar Lagta Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ek Pal Chain Se Nahi Guzarta
Dil-E-Wehshi
Teri Aas Lagaye Baithe Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ye Duniya Veeran Lagti Hai
Har Pal Har Ghadi
Bejaan Lagti Hai

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ab Zindagi Zindagi Nahi Lagti
Ek Dard Ka Toofan Lagti Hai...



_________________

Kayi TareeQ Chehre Hai

Kayi TareeQ Chehre Hai,
Jinhe Main Bhool Sakta Tha,
Unhe Main Bhool Bhi Jaata,
Agar
Mere Zehen Ka Ye Khala Pur Ho Chuka Hota,
Meri Kuchli Hui Khudariyon Ke Nakhl,
Phir Se Sabz Ho Jaate,
Agar
Main Aap Hi Apni Shikaston Ka
Sabab Bankar Na Reh Jaata,
Agar
Sabke Ravaiyon Se,
Mujhe Ye Baar Baar,
Ehsaas Na Hota,
Ke Meri Shakhsiyat Hi Namukammal Hai,
Adhuri Shakhsiyat Meri
Adhuri, Zindagi Ki Har Kahani Hai,
Wo Chahe Daastan-E-IshQ Ho,
Ya Daastan-E-Gam,
Wo Gam Chahe Judayi Ka Ho,
Ya Chahe Gam-E-Dauraan,
Gam-E-Dauran Ho Ya Chahe Gam-E-Deen Ho,
Sabhi Kuch Namukammal Hai,
Main Kya Tha
Aur Na Jane Main Kya Banta
Magar Tareek Se Chehron Ki Zehreeli
Adaon,
Kaavishon Ne,
Haif! Mujhko Kya Bana Dala,
Main Un Tareek Chehron Ko,
Bhula Sakta Tha Yaaron
Aur Main Ab Tak To Unko Bhool Bhi Jaata
Magar...



_________________

Aise Chup Chap Hi Mar Jaate Hai

Aise Chup Chap Hi Mar Jaate Hai,
Kuch Log Yahan,
Jism Ki Thandi Si Tareek Syaah Qabr Ke Andar,
Na Kisi Saans Ki Awaz,
Aur Na Siski Koi,
Na Koi Aah Na Jumbish,
Na Hi Aahat Koi,
Aise Chup Chaap Hi Mar Jaate Hai,
Kuch Log Yahan,
Inko Dafnane Ki Zehmat Bhi Uthani Nahi Padti...

Aankhon Se Kaho Khamosh Rahe

Aankhon Se Kaho Khamosh Rahe,
Ek Dooje Se Hum Bichhad Chale,
Jo Aajse Bilkul Bichhad Gaye,
Ab Jeevan Hoga Zindaan Sa,
Ab Yaadein Roz Satayengi,
Ab Saansein Ruk Ruk Aayegi,
Ab Raatko Der Se Soyenge,
Ab Neend Se Uth Uth Royenge,
Par Zabt Hai Ab Laazim Chanda,
Is Lamhe AshQ Bahao Mat,
Tum Dilko Aur Jalao Mat,
Ye Zakhm-E-Wafa Chup Chap Sahein,
Aankhon Se Kaho Khamosh Rahein...

Chandni Raaton Mein

Chandni Raaton Mein,
Tanhaiyon Ke Aalam Mein
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,

Ye Mausam Ka Takaza Hai,
Ya Nasha Hai Uske Pyaar Ka,
Wo Hawa Banke Badan Ko Chuke
Rooh Mein Utar Jata Hai,

Chand Ko Dekhti Hoon Jab Jab,
Sharm Si Mujhko Aati Hai,
Ye Chaand Bhi Ab To Mujhe,
Usika Chehra Dikhata Hai,

Ye Taaron Se Bhara Aasman,
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai,
Chanchal Si Dilki Aarzuon Ko
Andekha Paigam De Jaata Hai,

Barish Ki Boondein Jab Mere
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai,
Ek Shararat Bhari Nazronse
Wo Mujhe Chhed Jaata Hai,

Sardi Ki Raaton Mein Jab Jab,
Neend Se Bezaar Hoti Hoon,
Wo Chupke Se Aake Mujhe,
Apne Seene Pe Sula Jaata Hai,

Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jaati Hai,
Tu Jiski Deewani Hai,
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai,

Chandni Raaton Mein,
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,
Chaand Banke Wo
Mere Dil Mein Samata Hai...



Kabhi Main Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon

Kabhi Main Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon,
Aur Kabhi Jism Ki Daldal Mein Utar Jata Hoon,

Ye Bhara Shaher Kabhi Mujh Mein Simat Ata Hai,
Kabhi Main Sheher Mein Har Gaam Bikhar Jata Hoon,

Sheher Se Rehti Hai Ek Jang Musalsil Din Bhar,
Sheher Jab Haanpne Lagta Hai To Ghar Jaata Hoon,

Is Kashaakash Mein Hi Milta Hai Nishaan Hone Ka,
Jab Bhi Takmeel Ka Ehsaas Ho, Mar Jata Hoon,

Le Udi Roshni Hi Jurrat-E-Beenaayi Meri,
Ab To Main Dinke Ujale Se Bhi Dar Jaata Hoon,

Apne Zarre Se Hi Nazar Ate Hai Tahad-E-Nazar
Ek Zara Sar To Jhukaun To Bikhar Jata Hoon,

Ek Hi Aankh Mein Apni Hi Kahani Dekhun,
Apna Chehra Nazar Ata Hai Jidhar Jata Hoon,

Sheher Sajate Hai Guzrgahein Chamak Utthti Hia,
Apne Hi Khoon Mein Doobun To Sanwar Jata Hoon,

Khulta Hi Nahi Maut Ka Hangaam Hai Kya,
Waqt Ruk Jata Hai Ya Main Hi Theher Jata Hoon...



_________________

Koi Wada Nahi Hum Mein

Koi Wada Nahi Hum Mein,
Na Aapas Mein Bahut Baatein,
Na Milne Mein Bahut Shokhi,
Na Aakhir-E-Shab Manajatein,
Magar Ek Ankahi Si Hai,
Jo Hum Dono Samajhte Hai,
Ajab Ek Sarkhushi Si Hai,
Jo Hum Dono Samajhte Hai,
Ye Sare Dilruba Manzar,
Talismi Chandni Raatein,
Sunehri Dhoop Ke Mausam,
Ye Sukh Ki Barsatein,
Sabhi Ek Zidd Mein Rehte Hai,
Mujhe Peham Ye Kehte Hai,
Mohabbat Yun Nahi Achhi,
Mohabbat Yun Nahi Achhi...



Is Baar Meri Saalgirah Pe Kaash

Is Baar Meri Saalgirah Pe Kaash,
Mujhe Tohfa Mile FaQt Kuch Shaamon Ka,
Kuch Aisi Bemisaal Shaamein Aur Lazawal Shaamein,
Jo Sada Rahein Roshan Aur Kabhi Na Pighalne Paye,
Kabhi Na Jo Bujhe Aur Kabhi Na Mitne Paayein,
Jo Meri Sehra Sehra Zindagi Ke
Be-Chirag Raaston Ko
Ujala Aisa Bakshe Jo Lazawal Ho,
Jo Aap Apni Misaal Ho,
Kuch Aisa In Mein Kamaal Ho...

Kuch Is Tarah Likhun Nazm

Kuch Is Tarah Likhun Nazm,
Bayan Mein Ho Tera Tazkara,
Ho Zikr Tere Shabab Ka,
Us Chaudveen Ke Chand Ka,
Jise Palkon Pe Tumne Saja Liya,
Rukh-E-Yaar Par Wo Jamal Tha,
Ke Jaise Eid Ka Hilaal Tha,
Aankhein Thi Wo Madbhari,
Ke Jaise Koi Kanwal Khila,
Haan Sanwar Gayi Kismat Meri,
Jo NaQaab Tumne Utha Liya,
Honthon Pe Tabassum Liye,
Baithi Ho Kyon Dil Thaam Ke,
Kise Dekhti Ho Jhaank Kar,
Wo Kaun Hai Mera Humshakal,
Jise Dil Mein Tumne Basa Liya,
Kahin Mujhse Na Log Puchh Le,
Aankhon Mein Tujhe Na Dhund Lein,
Dar Hai Ke Badan Se Mere
Khushboo Na Teri Soongh Le,
Kahin Ho Jaye Na Ruswaiyan,
Tere Lams Ka Jo Nishaan Tha,
Wo Labon Se Apne Mita Liya,
Raaton Ko Jaag Jaag Kar
Yaadon Mein Apni Jhaank Kar,
Likhi Hai Maine Ye Nazm,
Jo Pade Yahan Nazar-E-Karam,
Ye Arz Hai Tujhse Sanam,
Mujhse Kyon Ye Berukhi?
Tera Dard Maine Hansi Khushi,
Hai Ragon Mein Apni Racha Liya...



_________________

Jiske Sapne Har Pal Mere Dilko Churaye

Jiske Sapne Har Pal Mere Dilko Churaye,
Wohi Aaj Mere Dilko Kyon Chont Pahuchaye,
Main To FaQt Ek Aansu Hoon Kabhi Khushi Mein
To Kabhi Gam Mein Har Pal Tere Saath Hoon,
Tu Kyon Bhagta Hai Jab Main Tere Paas Hoon,
Hai Agar Shikayat To Kaho Humse,
Magar Karte Ho Baatein Kyon Gairon Se,
Main To Phir Bhi Jee Lungi,
Har Dukh Seh Lungi,
Tumhe To Aadat Hai Muskurane Ki,
Ye Dard Main Kis Tarah Se Seh Lungi,
Ab Aao To Najane Ke Liye Aana,
Phir Mera Dil Dukhaneke Liye Mat Aana...

Tu Mere Sath Chal Na Payegi

Tu Mere Sath Chal Na Payegi,
Jab Teri Raah Meri Raah Se Milti Hi Nahi,
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Bana,
Khwaab Phir Khwaab Hai Labon Ki HaQeeQat Hai Kya,
Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Aayegi,

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi,
Apni Mehroomi-E-Kismat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi AshQ-E-Nadamat Ke Siwa Kya Degi,
WaQt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...



Aye IshQ Na Chhed Aa Aa Ke Hamein

Aye IshQ Na Chhed Aa Aa Ke Hamein,
Hum Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai Hum,
Tu Aur Hamein Nashaad Na Kar,
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch,
Ye Taaza Sitam Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jis Dinse Mile Hai Dono Ka
Sab Chain Gaya Aaram Gaya,
Chehron Se Bahar-E-Subah Gayi,
Aankhon Se Farog-E-Shaam Gaya,
Hathonse Khushi Ka Jaam Chhuta,
Hothonse Hansi Ka Naam Gaya,
Gamgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Raaton Ko Uth Uth Rote Hai,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hai,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye IshQ Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hai Na Zaalim Marte Hai,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ye Rog Laga Hai Jab Se Hamein,
Ranjeeda Hun Main Beemar Hai Wo,
Har WaQt Tapish Har WaQt Khalish,
Be-Khwaab Hun Main Bedaar Hai Wo,
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main,
Maranbe Pe Udhar Taiyar Hai Wo,
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Bedard Zara Insaaf To Kar,
Is Umr Mein Aur Magmoon Hai Wo,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah Masoom Hai Wo,
Ye Husn Sitam Ye Ranj Gazab,
Majboor Hoon Main Mazlum Hai Wo,
Mazlum Pe Yun Bedaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aye IshQ Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen Badnaam Na Ho,
Wo Maah-E-LaQaa Badnaam Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho,
Naamuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen Badnaam Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ummid Ki Jhuthi Jannat Ki,
Reh Reh Ke Na Dikha Khwab Hamein,
Aayinda Ke Farzi Ishrat Ke,
Waade Se Na Kar Betaab Hamein,
Kehata Hai Zamana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar Kaamyab Hamein,
Chhod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Do Din Hi Mein Ahad-E-Tifali Ke
Masoom Zamane Bhul Gaye,
Aankhon Se Wo Khushiyaan Mit Si Gayi,
Lab Ke Wo Tarane Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon Ke,
Dilchasp Fasane Bhool Gaye,
Un Khwabon Se Yun Azaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aankhon Ko Ye Kya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pe Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fugaan Par Ro Dena,
Parbat Ki Sada Par Ro Dena,
Mutrib Ke Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko Gam Buniyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jee Chahta Hai Ek Dusre Ko
Yun Aath Peher Hum Karein,
Aankhon Mein Basaye Khwabon Ko,
Aur Dilko Khayal Abaad Karein,
Khilvat Mein Bhi Jo Jalvat Ka Samaan,
Wahadat Ko Dui Se Shaad Karein,
Ye Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Wo Raaz Hai Ye Gam Aah Jise,
Paa Jaye Koi To Khair Nahi,
Aankhonse Jab Aansu Behte Hai,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
Zaalim Hai Ye Duniya Dilko
Yahan Bhaa Jaye Koi Khair Nahi,
Hai Zulm Magar Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Duniya Ka Tamasha Dekh Liya,
Gamgeen Si Hai Betaab Si Hai,
Ummid Yahan Ek Waham Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka Naam Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar...



_________________

Tumse Kabhi Kuchh Kehne Ki Himmat Na Hui

Tumse Kabhi Kuchh Kehne Ki Himmat Na Hui,
Tum Ko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui,
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi,
Hamesha,
Par Tumse Izhaar Karneki Kabhi Ulfat Na Hui,
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai,
Par Tumko Kabhi Meri Aankhon Mein Dekhneki Fursat Na Hui,
Mere Pyaar Ka Mazaak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya,
Par Mere Aansuon Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...

Har Kisika Dil Dukhana Achha Nahi Lagta

Har Kisika Dil Dukhana Achha Nahi Lagta,
Har Kisi Se IshQ Jatana Achha Nahi Lagta,
Khaas Insaan Ko Diya Jaata Hai Dil,
Har Kisise Dil Lagana Achha Nahi Lagta,
Humne Bhi Mohabbat Ki Hai,
Magar Usko Dil Ka Haal Batane Ka Mauka Nahi Milta,
Kya Pata Wo Humse Mohabbat Karte Hai,
Iska Mujhe Andaza Nahi Hota,
Iski Baaton Se?
Iske Isharo Se Mohabbat Tapakti Hai,
Lekin Isko Zuban Se Izhar Karne Ka Mauka Nahi Milta,
Kash Wo Din Bhi Aaye,
Wo Izhaar Kare IQraar Kare,
Isse Achha Din Koi Aur Ho Nahi Sakta...

Yeh Adhoorapan

Yeh Adhoorapan,
Jaise Aadhi Kaali Raat,
Jaise Aadha Chand,
Jaise Bin Sooraj Kiran,
Jaise Bin Badal Barsaat,
Jaise Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaise Beawaz Koyal,
Jaise Sookhi Kali,
Jaise Thehra Hua Paani,
Jaise Bin Paani Machhli,
Jaise Andha Raahi,
Jasie Bikhri Zulfein,
Jasie Dulhe Bin Baraat,
Aise Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Ye Adhurapan...

Tum Jab Aaogi To Khoya Hua Paaogi Mujhe

Tum Jab Aaogi To Khoya Hua Paaogi Mujhe,
Meri Duniya Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Mere Kamre Ko Sajaneki Tamanna Bhi Tumhein,
Mere Kamre Mein Kitaabon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahi,

In Kitabone Bahut Zulm Kiya Hai Mujh Par,
In Mein Ek Ramz Hai Jis Ramz Ka Maara Hua Zehen,
Muzhdah-E-Ishrat-E-Anjaam Nahi Paa Sakta,
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta...

jab meri yaad sataye to mujhe khat likhna

jab meri yaad sataye to mujhe khat likhna
tum ko jab neend na aaye to mujhe khat likhna

neele pedon ki ghani chaanv mein hansta saavan
pyasi dharti mein samane ko tarasta saavan
raat bhar chhat pe lagataar barasta saavan
dil mein jab aag lagaye to mujhe khat likhna

jab phadak uthe kisi shaakh pe patta koi
gudgudaye tumhein beeta hua lamha koi
jab meri yaad ka bechain safinaa koi
ji ko reh reh ke jalaye to mujhe khat likhna

jab nigahon ke liye koi nazara na rahe
chaand chhip jaye gagan par koi tara na rahe
log ho jaayein paraye to mujhe khat likhna

Khwaab Posh Aankhon Main

Khwaab Posh Aankhon Main..
Aansuon Ka Bhr Jana...

Hasraton Ke Sahil Per...
Titliyon Ka Mar Jaana...

Habs Ki Hawaon Main..
Khushbuon Ka Darr Jana...
Dil Ke Garm Sehra Ma...
Hashr Hii Bapa Hona...
Dard La-Dawa Hona...

Kya Boht Zaruuri Hai...
Ab Tera Juda Hona..!!

Ager Tu Badshah Hota Tu

Ager Tu Badshah Hota Tu,

Koi Baat Bhi Hoti,

Suna Hai K Badshah'on Ko,
Dain Koi Aisa Nazrana,

Jo,

Sab Cheezon Say Barh Kar Ho,
Tu Wo Apni Badshahi Tak Luta Dete Hain,

"Mohabbat"
Hai Hamaray Pass,

Mager,

Tu Badshah Kab Hai..?

Maut ki hqeeqat aur zindagi

Maut ki hqeeqat aur zindagi sehney k
behas go purani hay
phir bhi aik kahani hay,
aur kahaniyaan bhi to
wqt sey ebarat hain
laakh rokna chahen
wqt ko guzarna hay
hnstey bstey shehron ko
aik dn ujarna hay
rahaten hawaen hain
chahten sdaaen hain
kia kbhi hwaen bhi
dstaras main rehtin hain
kia kbhi sdaen bhi
palat k kuch kehti hain
pyar bhi nhi rehta
aur
pyar ka dukh bhi
aansuon k drya ko
aik din utarna hay
khwahishon ko mrna hay
waqt ko guzarna hay...!!!


**************

Wo mujhko likhta tha

Wo mujhko likhta tha

ay meri jan...!!!

judaiyo ki udas rut me,

khafa na hona..

mai laot aya to qurbtoon k

haseen mosum se,

dil ka aangan sanwaar donga,

bahar us me utar donga,

mai le k aon ga sath apne

mohbton k gulab mosum,

wafa me dobey seemab lmhy,

tmhari khatir, tmhari khatir...


magar....!

wo aya

to uzar laya,

jawaz laya,

wazahaton ka mahaz laya..

mai jin dukhoon ki tha inteha per,

wo phir se unka aghaaz laya...!!!



******************

Ek din Barish k baad


Ek din
Barish k baad
Mein sidhiyon pe ja baithi
Jane kis khyaal mein gum
Dekh rahi thi
Din ka raat ki tasht mein qadam rakhna
Barish ki bundon ka
Pattiyon se ulajh ker zameen per girna
Aur apna wujood kho dena
Her cheez mit'ti hui
Mein soach rahi thi
Akhbaron ki satrein
Jinme laashe hi lashen thi
Zahen ki saleeb per latak rahin thi
Tasallut ki jang mein ghiri insaniyat
"Humein bacha lo "cheekh rahi thi
Heer- ranjha ,laila- majnoo ki daastan
Apni fana ki kahani dohrane lagi thi
Tabhi sukraat k zaher ka pyala
Paon se takraaya
To mein chaunk gayi
Aur mein ne dekha ek" jugnu "
Meri tamaam manfi socha ka azala liye
Zulmat mein roshi ka paigham liye
Ek nayi simt dikha raha hai................. !!!!


************

Main mareez-e-wafa

Main mareez-e-wafa
Zindagi ke bister per
La ilaaj laita hoon
Mera jo maseeha hay
Us ko kya fiker meri
Us ko kya khaber meri
Zindagi se dar jaaoon
Toot ke bikher jaaoon
Zinda rahoon ke mer jaaoon
Mera jo maseeha hay
Us ko kya fiker meri
Us ko kya khaber meri
Aisa jab maseeha ho
Zindagi ki khwaahish bhi
Ik azaab lagti hay
Aur azaabon ki khwaahish koun kerta hay?
Ab ye hum ne jaana hay
Jo ke talkh haqeeqat hay
Aaj hum ne maana hayi
Mera jo maseeha hay
Mera as'l qaatil hay


****************

Dil-e-wehshi bta bhi dey

Dil-e-wehshi bta bhi dey
keh jab izhaar
Lafzon ki pitaari khol betha ho
mgr ilfaaz
kuch kehney sey qasir hon
Labon pe sarey nghmey a k thehr jaen
to honton ko muqafil kr k
Tanha main kidher jaon?

Badan ki chkkiyan jb
Wehshaton key geihoun peicein
Aur
Ragon main khoon thm jae
mgr dhrkn key dheemay sur p
Yadon ka
Barhana rqs jari ho
To aey dil-e-wehshi bta dey
Tanha main kidher jaon?

Jab kbhi nighaen
Reza reza
kaanch ki maanind
Aankhon ko
koi spna na dikhlaen
Sama'at baanjh ho jae
Bina chahey
Zehn ki upsara
khwabon ki chokhat p
Aanokhey bain jnti ho
To aey dil-e-weshi bta dey
Tnha main kidher jaon?

kia dsht-e-hijr key pehlu main
Tmam umr rehna hay?
Aey dil-e-wehshi bta bhi dey...!!!


*******************

Judai ke Mosam mein

Judai ke Mosam mein

Utarti Sham se Pehlay

Meri Yak-Basta Aankho'n mein

Khamoshi Raqs krti hai

To Os ki Yad ki PayiL

Youn mere Kaam mein aa ker

Musal-sal Chan-chana-tti hai

To phir Yak-Dam Khamoshi ka

Tasal-sul Toot jata hai

Phir.... Aisey mein koi Koyal

Barey hee Qarb se KooKay

To Youn Mehsoos hota hai

Keh...

Jaisey Be-sabab koi

Kisi ko Yad krta hai......!!!


!!!!! ............. !!!!!

Sapna aagay jata kaisay

Sapna aagay jata kaisay
Chota sa ik gaaon tha jis main
Diay thay kam aur bohat andhera
Bohat shajar thay thorray ghar thay
Jin koa tha dooree nay ghaira
bohat qadeem firaq tha jis main
Aik muqarrar had say aagay
Soach na sakta tha dil mera
Aisee soorat main phir dil koa
Dhiyan aata kisi khuwab main tera
Raaz jo had say bahar main tha
Apna aap dikhata kaisay
Sapnay ki bhi had thee aakhir
Sapna aagay jata kaisay

QADAR MAA BAAP KI

Tu
Paida
Huwa Kitna
Majboor
Tha
Yeh Jahan Teri Soch
Se
Bhi Dour Tha...

Haath Paaon Bhi Tab
Tere
Apne Na Thay
Teri Ankhon Main
Duniya
Ke Sapne Na Thay...

Tujh Ko Aata Sirf
Rona
Hi Tha
Doodh Pi Ke Kaam Tera Sona He Tha...

Tujh Ko Chalna
Sikhaya
Tha Maa Ne Teri
Tujh Ko Dil Main
Basaya
Tha Maa Ne Teri...

Maan Ke Saye Main
Parwan
Chadne Laga
Waqt Ke Sath Qad
Tera
Badne Laga...

Ahista Ahista Tu
Kariyal
Jawan Ho Gaya
Tujh Pe Saara Jahan
Meharban
Ho Gaya...

Zor Bazoo Pe Tu Baat
Karne
Laga
Khud He Sajne Laga Khud Hi Sanwarne Laga...

Ek Din Ek Ladki
Tujhe Bha Gaye
Ban Ke Dulhan Woh
Tere
Ghar Agayi...

Apne Farz Se Tu Door
Hone
Laga
Beej Nafrat Ka Khud
Hi
Tu Bone Laga...

Phir Tu Maa Baap Ko
Bhi
Bhulane Laga
Teer Baton Ke Phir
Tu
Chalane Laga...

Baat Be Baat Unn Se
Tu
Ladne Laga
Qayda ek Naya Tu
Phir
Padne Laga...

Yaad Kar Tujh Se Maa
Ne
Kaha ek Din
Abb Humara Guzara
Nahi
Tere Bin...

Sunn Ke Yeh Baat Tu
Tesh
Main Agaya
Tera Gussa Teri Aqal
Ko
Kha Gaya...

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maa Se Kaha
Main Tha Khamosh Sab
Dekhta
Hi Raha...

Aaj Kehta Hoon
Peecha
Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera
Tum
Se Woh Tod Do...

Jao Ja Ke Kahin Kaam
Dhanda
Karo
Log Marte Hain Tum
Bhi
Kahin Ja Maro...

Bait Kar Aahen
Bharti
Thi Maa Raat Bhar
Inki Aahon Ka Tujh
Par
Howa Na Asar...

Ek Din Baap tera
Chala
Rooth Kar
Kaise Bikhri Thi
Phir
Teri Maa Toot Kar...

Phir Woh Bhi Bas
kal
Ko
Bulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz
Satati
Rahi...

Ek Din Mout Ko Bhi
Taras
Agaya
Iska Rona
Bhi
Taqdeer
Ko Bha Gaya ...

Ashk Ankhon Main
Thay
Woh Rawana Howi
Mout Ki Ek Hichki
Bahana
Howi...

Ek Sukoon Us ke
Chehre
Pe Chane Laga
Phir Tu Mayyat Ko
Uski
Sajane Laga...

Muddatain Ho Gayi
Aaj
Budda Hai Tu
Tooti Khatiya Pe
Pada
Bora Hai Tu...

Tere Bacche Bhi Abb
Tujh
Se Darte Nahi
Nafraten Hain, Muhabbat Woh Karte Nahi...

Dard Main Tu Pukare
Ke
O MERI MAA
TERE DAM SE ROSHAN
THE
DONO JAHAN...

Waqt Chalta Rahta
Hai
Waqt Rukta Nahi
Toot Jata Hai Woh Jo
Ke
Jhukta Nahi...

Bann Ke Ibrat Ka Tu
Abb
Nishan Reh Gaya
Dhond Zor Tera Kahan
Reh
Gaya ...

Tu EHKAM-E-RABBI
Bhulata
Raha
APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA...

Kaat Le Tu Wohi Tu
Ne
Boya Tha Jo
Tujh Ko Kaise Mile
Tu
Ne Khoya Tha Jo...

Yaad Kar Ke
Gaya
Dor,
Tu Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya
Aaj
Phir Hone Laga...

Mout Mange Tujhe
Mout
Aati
Nahi
Maa Ki Surat Nigahon
Se
Jati Nahi...

Tu Jo Khanse Tu
Aulad
Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe...

Mout Ayegi Tujh Ko
Magar
Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi
Qabar
Teri Waqt Par...

QADAR MAA BAAP KI
AGAR
KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO
DUNIYA
MAIN PEHCHAN LE...

Aur Leta Rahe Woh
Badoan
Ki Dua
Osi Ke Dono Jahan,
Uska
Ka Haami KHUDA...

Yaad Rakhna Tum Is Baat Ko
Bhool Na Jana Yeh REHMAT KI BARSAT
Ko................

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka

Zindegi ...Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka
Jalti Bhujti Hoi Shamai'n Mai Mah-o-Saal Meray
Dhalta Soraj Meray Mazi Ki Lehad Ka Katba
Rag-e-Sehra Ki Lakeerain Hain Khod-o-Khaal Meray

Chaand Meray Tan-e-Majrooh Pay Sang-e-Aizaz
Dhoop Chaoo'n Meray Sad-e-Chaak Libadahy Ka Kihraj
SUb Sitaray Meri Pooshaak Kay Paiwand-e-Naheef
Meray Ansoo'n Mera Virsa Meri Ankhoo'n Ka Mizaaj

Mera Cherah Meray Maqtool Huner Ki Tarigh
Meri Ankhai'n Meri Dukhti Hoi Ankhoo'n Kay Chiraagh
Meray Hontoo'n Pay Meri Piyaas Kay Nohoo'n Ka Hajoom
Meray Seenay Pay Darakhshan Meri Toheen Kay Dagh

Ajj Ki Sham Kay, Kay Her Saal Isi Shaam Kay Sath
Meri Ukhri Hoi Sansoo'n Mai Grirah Lagti Hai
Aasmaa'n Waqat Kay Anchal Ki Dhanak Bunta Hai
Sari Dharti Tan-e-Uryaa'n Ki Zirra Lagti Hai

Ajj Ki Shaam Kay Her Saal Meray Gham Nawaz
Muskuraatay Howay Kuch Phool Atta Kartay Hain
Kuch Maseeha Meri Khatir Mera Dil Rakhnay Ko
Khat Mai Jeenay Ki Duaa Behj Dia kartay Hain

Saal-ha-Saal Guzernay Pay Bhi Aai Dil-e-Zidgaa'n
Ajj Ki Shaam Manatay Howay Dar Lagta Hai
Muskuraatay Howay Chehroon Kay Bhanwar Hain Lakin
Akhri Shamma Jalatay Howay Dar Lagta Hai

Dil Dharakta Hai Kay Jalti Hoi Shammo'n Ka Dhowaa'n
Shula-e-Karab Mai Tehleel Na Ho Jai Kaheen
Ji Larrazta Hau Manzer Kay Adhiray Pan Ki
Ajj Ki Shaam Takmeel Na Ho Jai Kaheen...!!!

Aao Kuch Dair Ko Hum Zakhum Shumari Kar Lain
Orr Kuch Dair Mai Her Shamma Pighal Jai Gi
Ajj Ki Bazam Mai Kho Jain, Kaheen So Jain
Ajj Ki Shaam Bhi Kuch Dair Mai Dhal Jai Gi
Jalti Bhujti Shamoo'n Ka Bharosa Kaisa?
Zindegi Taiz Bohat Taiz Hawa Ka Jhonka...!

!!!

Hawa thami thi zaroor lekin

Hawa thami thi zaroor lekin..

Wo sham jese sisak rahi thi..

K zard patto ko aandhion ne..

Ajeeb Qis'sa suna dia tha..

K jis ko sun kar tamam pat'te..

Sisak rahe the,
Bilak rahe the..

Jane kis sanhay k gham me..

Shajar jaron se ukhar chuke the..

Boht talasha tha hum ne tum ko..

Har 1 rasta..

Har 1 wadi..

Har 1 parbat..

Har 1 ghati..

kahin se teri khabar na aai..

To ye keh kar
Hum ne dil ko tala..

Hawa thame gi to dekh len ge..

Hum us k raston ko dhond len ge..

Magar hamari ye khush khayali..

Jo hum ko barbad kar gai thi..

Hawa thami thi zaroor lekin..

Bari hi mud'dat guzar chuki thi..

Hamare balon k janglon me..

Sufaid chandi utar chuki thi..

Falak pe tare nahi rahe the..

Gulab pyare nahi rahe the..

Wo jin se basti thi dil ki basti..

Wo log sare nahi rahe the..

Yeh almiya sub se balatar tha..

K Hum tumhare nahi rahe the..

K Tum hamare nahi rahe the..

Hawa thami thi zaroor magar...!!!




*****************

ChalOo Sahil Pey Ja Ker


ChalOo Sahil Pey Ja Ker Apni PalkOon Say
Sunahraa Jaal Buntay Hain
Samunder May Uter Ker
SeepiYoOn Say Kuch SureelaY Taal Buntay Hain
ChaloO Ab UngliYOon Ki Narm PoRoo'n Say
Zara KhushbOo Ko Chuntay Hain
Zara Hum Dard Ko Chotay Hain
Is Ki Baat Suntay Hain
ChaLoO Sahil Pey Ja Ker
GulaBOon Ki KanwaRi PattiyOon Per Shabnami Moti
Chamak Uthtay Hain Lahzay Ko
Mager Phir Bujh Bhi Jatay Hain
K Dasht-e-AaRzOo Ki Rait AankhOon May Khatakti Hay
Chalo Sahil Pey Ja Ker
Roo-Pahli ChanD Ki KirnOo Ko Muthi Beech Band Ker K
HawaOon Say Bhi SaaTOon Sur Churatay Hain
Chalo Mitti Ka Ik Chotaa Sa Dono Gher Banatay Hain
Gharri Bher Ko Sahi Per Khul K Dono Muskuratay Hain
Jo Likhay ja Chukay Hain PatherOon Per, Khushk PaTtOon Per
Woh Maah-o-Saal Ginty Hain
ChaLo Sahil Per Ja Ker Apni PalKoOn Say
Sunahra Jaal Buntay Hain .....!!!!
Side table pe cha'ii ka cup..!!!

Haath mein ISHQ peh Likhi Gaii Ek Dastaan Ki Kitaab...!!

Aur Dil Yea Bhi Chahey Kay Chatt Peh Jaa Kay...!!

Raat Ki Tanhaii....!!

Chaand Ki Udaasi...!!

Aur Lamhoon Ki be-Basi Ko..!!

Apnay Ander Utaar Kay..!!

Khud Ko Ishq-E-LaHassil Mein Qaid Kar Leya Jaye..!!

Aur Aisay Mein Kisi Ki Yaad Nahe Aaye..!!..??

Ajub din thay mohabbat ke

Ajub din thay mohabbat ke

Ajub mausum thay chaahut ke

kabhi gur yaad aajein tao pulkoon pe sitare jilmilate hein

kisi ki yaad mein jaagna maamol tha apna

kabhi gur neend aajati tao hum yeh sooch leyte thay

abhi tao wuh huamre waste rooya nahi hoga

abhi sooya nahi hoga

abhi hum bhi nahi roote

abhi hum bhi nahi soote

so phir hum jagte aur os ko yaad kerte thay

akaliey beath ker weeran dil abaad kerte thay

humare samne taaron ki jhurmut mein akaila chaand hota tha

ju os ke husn ke aagey b uhat hi maand hota tha

Falak pe raqs kerte ungint roshun sitaaron ko

ju hum turteeb deyte thay

tao os ka naam bunta tha

hum agley rooz jub milte tao guzri raat ki hur beykali ka ziker kerte thay

hur ik qisa sunate thay

kahaan ' kis waqt' kis tarhaan se dil dhurka' batate thay

main jub kehta keh " janaan! aaj tao main raat ko ik pul nahi sooya"

tao wuh khaamosh rehti thi

pur os ki neend mein doobi howi do jheel si aankhein

achanuk bol uth'ti thien

Main jub os ko batata tha

keh " main ne raat mein roshun sitaron mein tumhara naam dekha hai"

tao wuh kehti

" Hasan! tum jhoot kehte ho

sitare main ne dekhe hein

aur in roshun sitaron mein tumahra naam likha tha"

"Lugta hai ub apne sitare mil hi jaeyingey"

mager os ko khabur kya thi

kinaarey mil nahi sakte

Mohabbat ki kahani mein

mohabbat kerne waloon ke

Siitarey mil nahi sakte





_________________

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai

puranii kiraneen naye makaanoon ke aaNganon mein laraz rahii hain

fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakate zarron se bhar ga_ii hain

gaye dinon ke aziz baaten nigar subahen gulab raaten



bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiiten hazaar maaten

judaa_iyon kii havaayen lamhon kii Khush maTTii uDaa rahii hain

ga_ii rutoon kaa malaal kab tak

chalo ke shaaKheen to TuuTatii hain



chalo ke qabroOn pe Khuun rone se

apanii aaNkhen hii phuuTatii hain

ye moD vo hai jahaaN se mere tumhaare raste badal gaye hain

puraanii raahoon ko lauTanaa bhii hamaarii qatadiir mein nahiin



ke raaste bhii hamaare qadamoon ke saath aage nikal gaye hain

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai

tum apanii aaNkhoon mein jhil_milaate huye sitaaroon ko maut de do

ga_ii rutoon ke tamaam phuulon tamaam Khaaroon ko maut de do



naye safar ko hayaat baKhsho

ke pichhalii raahoon pe sabt jitane nuquush-e-paa hain

vo baar honge

havaa uDaaye ke tum uDaao





_________________

Kis ne yeh hath par lakeeren banain

Kis ne yeh hath par
lakeeren banain
qismat ke khel main
yeh zindagi sajai
hum se poocha hota
hum se kaha hota
taqdeer ke is khel ko
samjha to diya hota
hum kionkar dil lagate
hum kion kar unko chahte.

woh kehne lage kal ke
main badal gaya hon
waqt ne dia hai dhoka
kal main ja raha hon
apna khayal rakhna
na yeh malal rakhna
har roz muskurana
apni shadi par bulana
meri majbori ko samajhna
mujh ko tum maaf karna

mere haath main uski t-shirt
mere haath main hi reh gai
uski pasand ka black color
aankhon pa mere cha gaya
uski awaaz mere kaano main
sorry sorry karti rahi
pehli baar uski baat
meri samajh aai nahin
koshish karke bhi main usko
kujh bhi keh pai nahin.

Gar main rodeti to shayad
woh itna kuch na keh pata
kia mujh ko rota dekh kar
woh shayad yahin pe ruk jata
main bhi kitni pagal hon
khud se sawal karti hon
uske jaane ke baad bhi
main roz malal karti hon
roti hon roz uski yaad main
qismat ko kosti hon main.
_________________

Raat ka akhri peher tha

Raat ka akhri peher tha

Mujh se chaand ne kaha

Humnasheen alwidah

Mujhko nind arahi hai

Kal milenge isi jaga

Sunkar mein muskuradiya

Usko bataya

Jane wale lot'te nahi

Tum nahi aaoge mujhe yaqeen hai

Meri baat sunkar chaand rukk gaya

Aur kehne laga

Tumse wada karoon...Aur pura na karoon

Aisa mumkin nahi

Suno....Humnasheen!

Mein insaan nahi

Aksar sochti rahi....

Aksar sochti rahi....


Main tumhari sabse zyada

Pasandida kitab ki tarah hoon

Jo neend mein bhi

Tumhare seene mein khul kar rahti hai

Tum mujhe parhte ho

Harf-Harf samajhte ho

Sparsh karte ho

Main aur bhi gahre utar jati hoon

Tumhare ghar ke

Kone kone mein dikh jati hoon

Wahin-Wahin jahan jahan

Tum mujhe dhundte rahe

phir achanak kyun……

Seene mein rakhi kitab ko

DheroN kitab ke beech rakh diya
Ek baar bhi nahi chaha

 
kitab par jami dhool ko
hata dooN
use usi jagah rakh dooN

 
Thora parh looN
Aur kah dooN

Tum hi meri pasandida kitab ho………

Popular Posts