Friday, April 16, 2010

Kis ne yeh hath par lakeeren banain

Kis ne yeh hath par
lakeeren banain
qismat ke khel main
yeh zindagi sajai
hum se poocha hota
hum se kaha hota
taqdeer ke is khel ko
samjha to diya hota
hum kionkar dil lagate
hum kion kar unko chahte.

woh kehne lage kal ke
main badal gaya hon
waqt ne dia hai dhoka
kal main ja raha hon
apna khayal rakhna
na yeh malal rakhna
har roz muskurana
apni shadi par bulana
meri majbori ko samajhna
mujh ko tum maaf karna

mere haath main uski t-shirt
mere haath main hi reh gai
uski pasand ka black color
aankhon pa mere cha gaya
uski awaaz mere kaano main
sorry sorry karti rahi
pehli baar uski baat
meri samajh aai nahin
koshish karke bhi main usko
kujh bhi keh pai nahin.

Gar main rodeti to shayad
woh itna kuch na keh pata
kia mujh ko rota dekh kar
woh shayad yahin pe ruk jata
main bhi kitni pagal hon
khud se sawal karti hon
uske jaane ke baad bhi
main roz malal karti hon
roti hon roz uski yaad main
qismat ko kosti hon main.
_________________

No comments:

Popular Posts