Friday, April 16, 2010

Thake Maande Bahut Ho

Thake Maande Bahut Ho,
Safar Ki Dhool Se Palkein Aati Hai,
Thakan Se Choor Khamoshi Mein Sehra Gunjte Hai,
Tum Ab Ki Baar Kitni Derse Palte,
Gaye The Jab To Kaliyan Jagne Ko Thi,
Kabhi Shaakhon Pe Halka Sa Boor Aaya Tha,
Phir Uske Baad Patjhad Thi,
Bahut Se Chaand Bujhne Tak Swad-E-Hijr Phaila Tha,
Mujhe Malum Hai Pindaar Ke Qaid Khane Mein,
Tumhara Dam Ulajhta Hai,
Tumhari Khoj Ka Sarkash Samundar,
Roz-O-Shab Ke Tinginaye Mein Atakta Hai,
To Tum To Rusta-E-Sahil Dhoondne Bahar Nikalte Ho,
Main Aisi Hijraton Ke Qarb Se Waqif Rahi Hoon,
Jazeerah Dar Jazeerah Phailti La Hasile Mere Bhi Qadmon Mein Rachi Hai,
Har Ek Saahil Pe Bhi Kal Justuju Ka Ek Naya Sahil Bulata Hai,
Magar Phir Nazar Aati Haqeeqat Se Haqeeqat Tak,
Badan Ke Wehmon Se Ek Na Deedah Khuda Tak,
Zindagi Ki Asal Ko Kisne Chhua Hai,
Koi Kab Naap Paya Fasla Jismon Se Jismon Ka,
Azal Se Oonghti Roohon Se Roohon Ka,
Khabar Tak Ho Nahi Paati,
Kahan? Kaise?
Hamari Jagti Aankhon Ki Duniya Se Khayalon Tak,
Phisalte Manzaron Ki Bastiya Basti Ujadti Hai,
Har Ek Manzar Shinasayi Mein Dhalne Se Bahut Pehle,
Fana Ki Ghataiyon Mein Jaa Utarta Hai,
Yahan Har Shay Gurezan Hai,
Takhayyul 'Aankh' 'Khushbu'
Lims Ki Gul Rang Sa'at Tak Guzarein Hai,
Khala Jaise Jazeeron Se Safar Wapis Palatne Ka,
Teh Gerdaab Hote Hai,
So Main Chokhat Pe Aankhon Ke Diye Rakhe,
Tumhari Raah Takti Hoon,
Ke Tum Lambe Safar Se Khasta Jaan Aao,
To Dastak Ki Aziyat Se To Bach Jao,
Idhar Baitho,
Yahan Aangan Mein Phaili Bel Ke Saye Mein Dam Le Lo,
Yahan Se Aasman Dekho,
Khuda-E-Lam Yazal Ki Is Zameen Par,
Hum Kisi Bhi Ant Ko Chhu Lein,
Ye Do Qadmon Tale Phaili Zameen,
Aankh Bhar Ka Aasman Hi Apna Wirsah Hai,
Hamari Zindagi Sab Ibadaton Ki Intihaaon Mein
Unhi Do Mantaqon Mein Qaid Rehti Hai,
So Tum Agli Musafet Tak,
Yahin Par
Apne Hisse Ki Zameen Mein Phool Bo Dekho...



_________________

No comments:

Popular Posts