Friday, April 16, 2010

Kabhi Main Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon

Kabhi Main Aalam-E-Imkaan Se Guzar Jata Hoon,
Aur Kabhi Jism Ki Daldal Mein Utar Jata Hoon,

Ye Bhara Shaher Kabhi Mujh Mein Simat Ata Hai,
Kabhi Main Sheher Mein Har Gaam Bikhar Jata Hoon,

Sheher Se Rehti Hai Ek Jang Musalsil Din Bhar,
Sheher Jab Haanpne Lagta Hai To Ghar Jaata Hoon,

Is Kashaakash Mein Hi Milta Hai Nishaan Hone Ka,
Jab Bhi Takmeel Ka Ehsaas Ho, Mar Jata Hoon,

Le Udi Roshni Hi Jurrat-E-Beenaayi Meri,
Ab To Main Dinke Ujale Se Bhi Dar Jaata Hoon,

Apne Zarre Se Hi Nazar Ate Hai Tahad-E-Nazar
Ek Zara Sar To Jhukaun To Bikhar Jata Hoon,

Ek Hi Aankh Mein Apni Hi Kahani Dekhun,
Apna Chehra Nazar Ata Hai Jidhar Jata Hoon,

Sheher Sajate Hai Guzrgahein Chamak Utthti Hia,
Apne Hi Khoon Mein Doobun To Sanwar Jata Hoon,

Khulta Hi Nahi Maut Ka Hangaam Hai Kya,
Waqt Ruk Jata Hai Ya Main Hi Theher Jata Hoon...



_________________

No comments:

Popular Posts