Friday, April 16, 2010

Ajub din thay mohabbat ke

Ajub din thay mohabbat ke

Ajub mausum thay chaahut ke

kabhi gur yaad aajein tao pulkoon pe sitare jilmilate hein

kisi ki yaad mein jaagna maamol tha apna

kabhi gur neend aajati tao hum yeh sooch leyte thay

abhi tao wuh huamre waste rooya nahi hoga

abhi sooya nahi hoga

abhi hum bhi nahi roote

abhi hum bhi nahi soote

so phir hum jagte aur os ko yaad kerte thay

akaliey beath ker weeran dil abaad kerte thay

humare samne taaron ki jhurmut mein akaila chaand hota tha

ju os ke husn ke aagey b uhat hi maand hota tha

Falak pe raqs kerte ungint roshun sitaaron ko

ju hum turteeb deyte thay

tao os ka naam bunta tha

hum agley rooz jub milte tao guzri raat ki hur beykali ka ziker kerte thay

hur ik qisa sunate thay

kahaan ' kis waqt' kis tarhaan se dil dhurka' batate thay

main jub kehta keh " janaan! aaj tao main raat ko ik pul nahi sooya"

tao wuh khaamosh rehti thi

pur os ki neend mein doobi howi do jheel si aankhein

achanuk bol uth'ti thien

Main jub os ko batata tha

keh " main ne raat mein roshun sitaron mein tumhara naam dekha hai"

tao wuh kehti

" Hasan! tum jhoot kehte ho

sitare main ne dekhe hein

aur in roshun sitaron mein tumahra naam likha tha"

"Lugta hai ub apne sitare mil hi jaeyingey"

mager os ko khabur kya thi

kinaarey mil nahi sakte

Mohabbat ki kahani mein

mohabbat kerne waloon ke

Siitarey mil nahi sakte





_________________

No comments:

Popular Posts