Friday, April 16, 2010

Aye IshQ Na Chhed Aa Aa Ke Hamein

Aye IshQ Na Chhed Aa Aa Ke Hamein,
Hum Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai Hum,
Tu Aur Hamein Nashaad Na Kar,
Qismat Ka Sitam Hi Kam Nahi Kuch,
Ye Taaza Sitam Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jis Dinse Mile Hai Dono Ka
Sab Chain Gaya Aaram Gaya,
Chehron Se Bahar-E-Subah Gayi,
Aankhon Se Farog-E-Shaam Gaya,
Hathonse Khushi Ka Jaam Chhuta,
Hothonse Hansi Ka Naam Gaya,
Gamgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Raaton Ko Uth Uth Rote Hai,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hai,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye IshQ Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hai Na Zaalim Marte Hai,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ye Rog Laga Hai Jab Se Hamein,
Ranjeeda Hun Main Beemar Hai Wo,
Har WaQt Tapish Har WaQt Khalish,
Be-Khwaab Hun Main Bedaar Hai Wo,
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main,
Maranbe Pe Udhar Taiyar Hai Wo,
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Bedard Zara Insaaf To Kar,
Is Umr Mein Aur Magmoon Hai Wo,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah Masoom Hai Wo,
Ye Husn Sitam Ye Ranj Gazab,
Majboor Hoon Main Mazlum Hai Wo,
Mazlum Pe Yun Bedaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aye IshQ Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen Badnaam Na Ho,
Wo Maah-E-LaQaa Badnaam Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho,
Naamuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen Badnaam Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Ummid Ki Jhuthi Jannat Ki,
Reh Reh Ke Na Dikha Khwab Hamein,
Aayinda Ke Farzi Ishrat Ke,
Waade Se Na Kar Betaab Hamein,
Kehata Hai Zamana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar Kaamyab Hamein,
Chhod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Do Din Hi Mein Ahad-E-Tifali Ke
Masoom Zamane Bhul Gaye,
Aankhon Se Wo Khushiyaan Mit Si Gayi,
Lab Ke Wo Tarane Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon Ke,
Dilchasp Fasane Bhool Gaye,
Un Khwabon Se Yun Azaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Aankhon Ko Ye Kya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pe Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fugaan Par Ro Dena,
Parbat Ki Sada Par Ro Dena,
Mutrib Ke Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko Gam Buniyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Jee Chahta Hai Ek Dusre Ko
Yun Aath Peher Hum Karein,
Aankhon Mein Basaye Khwabon Ko,
Aur Dilko Khayal Abaad Karein,
Khilvat Mein Bhi Jo Jalvat Ka Samaan,
Wahadat Ko Dui Se Shaad Karein,
Ye Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Wo Raaz Hai Ye Gam Aah Jise,
Paa Jaye Koi To Khair Nahi,
Aankhonse Jab Aansu Behte Hai,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
Zaalim Hai Ye Duniya Dilko
Yahan Bhaa Jaye Koi Khair Nahi,
Hai Zulm Magar Fariyaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar,

Duniya Ka Tamasha Dekh Liya,
Gamgeen Si Hai Betaab Si Hai,
Ummid Yahan Ek Waham Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka Naam Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye IshQ Hamein Barbaad Na Kar...



_________________

No comments:

Popular Posts