tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kiraneen naye makaanoon ke aaNganon mein laraz rahii hain
fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakate zarron se bhar ga_ii hain
gaye dinon ke aziz baaten nigar subahen gulab raaten
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiiten hazaar maaten
judaa_iyon kii havaayen lamhon kii Khush maTTii uDaa rahii hain
ga_ii rutoon kaa malaal kab tak
chalo ke shaaKheen to TuuTatii hain
chalo ke qabroOn pe Khuun rone se
apanii aaNkhen hii phuuTatii hain
ye moD vo hai jahaaN se mere tumhaare raste badal gaye hain
puraanii raahoon ko lauTanaa bhii hamaarii qatadiir mein nahiin
ke raaste bhii hamaare qadamoon ke saath aage nikal gaye hain
tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
tum apanii aaNkhoon mein jhil_milaate huye sitaaroon ko maut de do
ga_ii rutoon ke tamaam phuulon tamaam Khaaroon ko maut de do
naye safar ko hayaat baKhsho
ke pichhalii raahoon pe sabt jitane nuquush-e-paa hain
vo baar honge
havaa uDaaye ke tum uDaao
_________________
No comments:
Post a Comment