Friday, April 16, 2010

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din

Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Band Tha Wo Khamoshi Ki Zindaan Mein
Jis Mein Dar Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Mein Aaya Ke Uski Ye Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Dun Use,

Usse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Wo Meri Baat Par Soch Mein Pad Gaya,
Apne Maazi Ka Dar Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Wo Ye Samjha Ke Uske Andheron Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Irade Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Maine Usse Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Wo Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Mein Is Qadar Kho Gaya,

Uski Khamoshiyion Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyon Ka Nagar,
Aur Main Apni Majbooriyon Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Main, "Har Pari
Umar Bhar Yun Pari Banke Reh Jaye To
Dolti Hai Nazar Uspe Har Dev Ki,
Aur Nazar Wo Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan Pari Ka Jala Kar Tale,
Uski Khushiyon Ki Aur Raahaton Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le L'oon, Tum Hi Ab Kaho?

Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chunna Pada
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har Pari Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke Ladki Piya Sang Jaana Pada,

Maine Usse Phir Us Din Kuch Aise Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Usnep Uchha, "Wo IQraar-O-Ehd-E-Wafa,
Kya Hue, Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhuth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Kitna Hairan Hua Hoga Wo Sunkar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karungi Khuda Se Dua,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gam Kabhi,

Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke Mile Aur Mil Kar Bichhad Jaye Hum...



_________________

No comments:

Popular Posts