Monday, June 21, 2010

khali hain dil faqeer k


tum ko sochoon ibadat ki tarhan


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!

Apne ehsas kay sab rang uttar janay do


Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do...

Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do...

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do...

Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do...

Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per,
Meray halat ko khuch or bigar janay do.

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho


Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho...???

Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona


Apni Ankhoon Kay Sabhi Ashk Sula Kar Soona
Tum Meri Yaad Ka Har Deep Bujha kar Soona

Aik Sitara Bhi Meray Khayal ka baqi Na Rahay
Chandni Shaab Kay Nishanat Mita Kar Soona

Durr Laga Rehta Hai Neendin Hi Kahin Chiin Na Lay
Tera Yeh roz Meray Khuwaboon Main Akar Soona

Baad Main Log Giradin Tu Koi Baat Nahi
Har Taraf Pyar Ki Deewar Utha kar Soona

Bhool Jao Gay Zamanay Kay Sabhi Ranj-o-Alam
TUm Meri Banhoon Ki Zanjeer main Akar Soona

Subah Hotay Hi Teray Sehar Sat jana hai Mujhe
Ajj Ki Raat Zara Muj Ko Mita kar Soona

Yaad Hain Ajj Bhi Woh Qarb Ki Gariyaan
Uss Ki Agoosh Main Sir Apna Chupa Kar Soona

Jab Tere Suroor Me Jia Karte The

Jab Tere Suroor Me Jia Karte The..
Ham Bhi Chup Chap Phira Karte The.. 

Ankhoon Me Pyas Hua Karti Thi..
Dil Me Toofan Utha Karte The.. 

Log Aate The Ghazal Sunene Ko..
Ham Teri Baat Kia Karte The.. 

Sach Samjhte The Tere Wadoon Ko..
Raat Din Ghar Me Raha Karte The.. 

Kisi Werane Me Tujh Se Mil Kar..
Dil Me Kia Phool Khila Karte The.. 

Ghar Ke Dewar Sajane Ke Khatir..
Hum Tera Naam Likha Karte The.. 

Wo Bhi Kia Din The..
Tujhe Bhula Kar Hum.. Tujhe Yaad Kia Karte The.. 

Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aaya..
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kia Karte The..

Tere ikhlas sey mohabbat ki hai

Tere ikhlas sey mohabbat ki hai.. 
Tere ehsas sey mohabbat ki hai... 

Too mery pass nahi hay phir bhi.. 
.Teri yaad sey mohabbat ki hai... 

Main tum ko kis tarha bhool sakta hoon.. 
.Main ne tere osaaf sey mohabbat ki hai...  

Kabhi to tuney bhi mujhe yaad kia hoga.. 
 Main ne un lamhat sey mohabbat ki hai...  

Jin main hoon sirf tere or mery baten.. 
 Main ney un oqaat sey mohabbat ki hai... 

Or jo mehke ho sirf tere hi mohabbat sey.. 
. main ne un jazbat sey mohabbat ki hai..  

Tujh sey milna to aab khawab sa lagta hai.. 
 Mainne tere intezar sey mohabbat ki hai...

Aao or na socho soch ke kia paao gey


Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...

Wo Kehti hai Suno Jana Mohabbat Moom Ka Ghar Hai


Wo Kehti hai Suno Jana
Mohabbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De iss ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kuch Or Ho Tu Ho
Mohabbat Ho Nahi Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay Hi
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Iss Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nahi Sakti

Main Kehta Hoon
Mohabbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Mohabbat K Siwa
Kuch bhi Nahi Aata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nahi Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Bohat Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Mohabbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi iss Baat per socha nahi main nay
ager ik pal ko b sochon too
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhein mujh say
mohabbat iss kader kyu hai
Keh main ik aam si lerki
tumhein kyu khas lagti hoon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kyu hai
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kyu ho
keh main khud ko bohat
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hoon
Mata-e-jaan bohat anmool hoti hai
tumhein jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nahi miltay
keh tumhein bata sakon
keh dil main mere
kitni muhabbat hai

main kehta hoon
mohabbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi mujh say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay se darte ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri shyeri hai Aaina dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien Iss main nazar aya

wo kehti hai
suno!! bohat baatein banatay ho
mager sach hai yeh baatein
bohat hi shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatein yeh fasany ik bhana hain
keh pal kuch zindagani k
tumhare saath kat jaein
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nigahaein bolti hai or
lab khamosh rehtay hain

Naqsh aise teri yaadon ke bikher jatay hain


Naqsh aise teri yaadon ke bikher jatay hain 
Jaise Taqdeer ke Unwaan Sanwar jatay hain 

Dil to Sheesha hai, Yeh Sheeshay se bhi nazuk tar 
Log Pathhar ke hain Jo, takra ke guzar jatay hain 

Dil Duniya ho to Daulat ka guzar kiya mayne 
Hum to bus tere Tasawwar se Behl jatay hain 

Dekhtay hain jo Usay ghaiar ki Mehfil mei kabhi 
Hum Udaasi ke Samundar mei utary jatay hain 

Dil mila hai Hamein aisa ke Agar Ghum bhi milay 
Us ko Seenay se lagaye huwe marr jatay hain 

Ab to yun Toott gaya Rishta-e-Ulfat ka kahin 
Jaise Beetay huwe Lamhaat guzar jatay hain

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila hai

Aaj bohat din baad sunai hai barish ki awaz

Aaj bohat din baad sunai hai barish ki awaz
Aaj bohat din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rim jhim ka malboos pehn ker yaad kisi ki aai hai
Aaj bohat din baad achanak aankh yunhi bhar aai hai

Aankh aur manzar ki wusa’t mein chaaro’n janib bearish hai
Aur barish mein, dur kahin ik ghar hai jis ki
Aik aik eent pe tere mere khuwab likhe hain
Aur us ghar ko jaane wali kuch galiya’n hain
Jin mein hum dono k saaey tanha tanha bheeg rahe hain
Darwaze per qufl parra hai aur dareeche sooney hain
Deewaro’n per jami huwi kaai mein chup ker
Mousam hum ko dekh rahe hain
Kitne badal hum dono ki aankh se ojhal
Baras baras ker guzr chuke hain,

Badi Muskil Me He Dil..Andhero Ki roshni Me


Badi Muskil Me He Dil..Andhero Ki roshni Me.... 
Manzil Ne Kaha Muje..Goom Huaa Raasta He Tu... 

Socha Savera Hoga..suraj Ki Paheli Kiran Ke Saath... 
Kirane Chhu Kar Chali Gai..Kaha Aaina He Tu.... 

Saahil Gaya Saagr Se..Naam-o-Pata Puchha Mene... 
Lahere Aati Jaati Kehati Rahi..Doobi hui Kasti He Tu,... 

Jab Gour se Saanj Ko Dekha..Laga Koi Saath He Mere... 
Behati hui Hawa ne Keh diya...Aaj bhi akela He Tu.... 

Me Kya Hu...Me Koun hu.. Puchh Baitha Dar Pe Us Ke.. 
Khuda bhi Muskurakar Bola..Footi hui Kismat He Tu.... 

Sab mai shamil ho magar sab se juda lagti ho


Sab mai shamil ho magar sab se juda lagti ho 
Sirf hum se nahee khud se bhi khafa lagti ho 

Aankh uth ti hai na jhukti hai kisi ki khatir 
Saans chadhti hai na rukti hai kisi ki khatir 

Jo kisi dar pe na thehre wo sada lagti ho 

Zulf lehraaye to aanchal mai chhipa leti hai 
Hont tharrayen to daanton mai daba leti hai 

Jo kabhi khul ke barse wo ghata lagti ho 

jaagi jaagi nazar aayee ho na soyee soyee 
Tum ho kia apney khayalaat mai khoi khoi 

Kisi mayoos muqaddar ki dua lagti ho

Muhobat ik Dua hai Mujhe bus ye Dua daina


Muhobat ik Dua hai
Mujhe bus ye Dua daina
Khata koi jo ho jaye
Kabhi lehja badal Jaye
Zaroori baat reh jaye
Mera chehra bigar jaye
Agar pehchaan na paoon
Tumhain agar jaan na paoon
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Sitaray toorna paoon
Tumharay kaam na aaon
Tawazun jo na reh paye
Nazar bandi nazar aye
Ishara ho shararat ka
Koi dhoka basarat ka
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Main tum se keh nai paya
Tumharay naam ka saya
Maray humrah rahta hai
Mujhe her pal yeah kehta hai
Koi mushkil jo dar aye
Tasawur mara dhundlaye
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus ye Dua daina….

Inhin Khushgumaniyon Men Kahin Jaan Se Na Jao


Inhin Khushgumaniyon Men Kahin Jaan Se Na Jao
Wo Jo Nahi Hai Tabeeb Use Zakhm Kyun Dikhao

Ye Udasiyon Ke Mausam Kahin Yun Guzar Na Jayen
Kisi Zakhm Ko Kuredo Kisi Zakhm Ko Jagao

Wo Kahaniyan Adhuri Jo Na Ho Sakengin Poori
Unhen Main Bhi Kyun Sunaun Unhen Tum Bhi Kyun Sunao

Mere Humsafar Purane Mere Ab Bhi Muntazir Hai
Tumhe Saath Chhodna Hai To Abhi Se Chhod Jao

Ye Judaiyon Ke Raste Badi Door Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Lauta Meri Baat Maan Jao

Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kabtak
Jo Tumhe Bhula Chuka Hai Usse Tum Bhi Bhool Jao

Ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo

Ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
Bhale cheen lo muJhse meri jawaani

Magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

Mohalle ki sabse nishaani purani
Wo buDhiya jise bachche kehte the naani

Wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
Wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera

BhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
Wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

KaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
Wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna

Wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
Wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa

Wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
Wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

Kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
GharOnde banana, banaake miTaana

Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
Wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni

Na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
BaDi khoobsoorat thi wo zindgaani

Hazar jagti ratoon ka qarz baqi hai

Hazar jagti ratoon ka qarz baqi hai
Hamari ankho pe neindoon ka qarz baqi hai

Main so to jaoon zameen orh kar yaroo
Mere wajood pe sansoon ka qarz baqi hai

Har ik shakhs ko lamhe udheer dalien ge
Har aik shakhs pe lamhon ka qarz baqi hai

Yonhi nahi hain taqaze mere tuaqab main
Ke mere zume kuch apnoon ka qarz baqi hai

Ada hue hi nahi ajj tak smaat se
Kuch aise reshmi lehjoon ka qarz baqi hai

Hum aise abla pa hain chukaien ge hassan
Wafa k dasht pe kantoon ka qarz baqi hai

Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan

Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan... 
Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai... 
Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko... 
Woh Subhain , Woh Shamain... 
Wohi Zindagi Ki Musafatain... 
Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay... 
Phir Jab... 
Haqeeqaton Main Wapis Lout-Ta Hai... 
To Muskura Daita Hai... 
Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai... 
PaGLi!!!!!!!

Ab dard ka sooraj kabhi dhalta hi nahi hay

Ab dard ka sooraj kabhi dhalta hi nahi hay
ab dil koi pehloo ho sambhalta hi nahi hay

bay chain kiya rehti hay jis ki talab-e-deed
ab baam pay woh chaand nikalta hi nahi hay

aik umer say duniya ka bas aik hi aalam hay
ye kiya kay falak rang badalta hi nahi hay

nakaam raha un ki nighaahon ka fasoon bhi
is waqt tu jaado koi chalta hi nahi hay

jazbay ki karee dhoop ho tu kiya nahi mumkin
ye kis nay kaha sung pighalta hi nahi hay

PYAR KO DEKHA

PYAR KO DEKHA
Pyar se dosti karke dekha



Pyar se mohabbat karke dekha
Pyar ko chahat ki nazaron se dekha
Pyar ko ulfat banakar dekha.

Na wo dosti hai,na wo mohabbat,
Na wo chahat hai,na wo ulfat 
Pyar ko dillon ki dharkan kahein
Shayar ki shayari kahein,
Pyar ko insaan ki diwangi kahein
Ya kavi ki kavita.

Pyar ibadaat hai,
Pyar hi inayat hai
Pyar se bandha hai har insaan
Aur pyar se hai mehfooz ye jahan

Pyar ka na koi rang, na koi roop ,
Pyar ka na koi wajood
Pyar ka na koi apna na koi paraya hota hai,
Pyar sirf pyar hi hota hai.

TOOTAY HUYE KHUABOON MEIN HAQEEQAT DHONDTA HOON


TOOTAY HUYE KHUABOON MEIN HAQEEQAT
DHONDTA HOON 

PATHER KAY DILOON MEIN MOHABBAT 
DHONDTA HOON 

NADAAN HOON AB TAK YE BHI NAHIE SAMJHA
BE JAAN BUTOON MEIN IBADAT DHONDTA HOON 

MERE JAZBATOON KI YAHAN KOI KEEMAT NAHIE
BE MAANI KABAZAROON MEIN SHARAFAT DHONDTA HOON 

IS AJNABE DUNIYA MEIN KOI BHI APNA NAHIE
GAIROON KI ANKHON MEIN APNI SURAT DHONDTA HOON 

UMEED KI THI PYAR KI BAS YAHIE BHOOL THI 
GIRTAY ASHKOON MEIN APNI HASRAT DHONDTA HOON

Aiye dil aaj bata day mujhay

Aiye dil aaj bata day mujhay,
Tu gum sum or itna pareshan kun hai ?

Piyar kay zakhum abhi bharay to nahi,
To us bewafa ka phir se arman kun hai?

Ansoon baha us kay liye jo kadar bhi janay,
Ek ajnabi kay liye askhon ka balidaan kun hai?

Phoolon ki mer se hi to jisum kay thokara hovay tere,
Aab kaanton ko apna lay, chahat-e-gulistan kun hai?

Ek shakhss ko hi to rukhsat kia apnay ghar se tumne,
Apno kay hotay hovay tera ashiyana sunsan kun hai

Dil-o-jaan se chaha hai tum ko


Dil-o-jaan se chaha hai tum ko,
Shayad aap bhi hum ko itna hi pyar karenge,
Ahs laga ke bhaite hain hum,
App ke dil ko dastak dete phirte hain,
Kya aap ko sunye derhe hamare kht khta hat?
Dil ke drvaze ko bande maat karna,
Band hain tho kholne maat bhulna
App ki zindagi ke awwaaz hum ko yahan tak ate hain
Kash aap ko khbar hai
Ki app se jo baaten ki thi
Vo aaj tak hamare dil mein baase hain
Aur app ke yaden ha mein ajj tak rasee hain
Dil ka dard hain
Dawa app ke paas hain
Yeh kya insaaf hai char din jo muntazir huvi hain
Us ein bhi marddalna chate ho kya
Laken hum app ko apne mein basa ke zinda rahenge
Agar maut aagyi bhi tho bhi App ko yaad karnge
Lak sataooge zindagi mein
App ko yaad karnge aur je jayenge
Bus app aur meri tanhayi

vo na duur hai na qariib hai

vo na duur hai na qariib hai
ye jo hijr hai ye nasiib hai

jo visaal thaa vo to Khvaab thaa
ye Khayaal kitanaa ajiib hai

vahii aansuon mein duaaon mein
vahii dukh sukh mein qariib hai

jo main sochataa huun kah sakuun
meraa harf harf raqiib hai

ye falak zamiin ko sameT le
meraa dil bhii kitanaa Gariib hai

Hum aise bhoolne waley nahi the

Hum aise bhoolne waley nahi the Humien tum se naa milne mien kayee majbooriyaan hongi Tumhey yeh sochna tha Tumhey yeh sochna to tha Tumhey milna, tumharey saath rehna Bohat assan tha dil ka haal kehna Magar ab yeh hont silne mien kayee majbooriyaan hongi Tumhey yeh sochna tha Tumhey yeh sochna to tha Milien ge kab tumhe, yeh kia bataien Dilon mien phool chaahat ke khilaaien Magar yeh phool khilne mien kayee majbooriyaan hongi Tumhey yeh sochna tha Tumhey yeh sochna to tha

Jab Soo Jati hai Sari Duniya, Chupke Se Aakar Chaad


Jab Soo Jati hai Sari Duniya, 
Chupke Se Aakar Chaad, 
Khara Ho Jata Hai, 
Mere Khirki K Samne, 
Aur Muskara Kar Kehta Hai, 
Khooj Lo Mujh mein Wo Chehra, 
Jiski Talaash Mein Ho Tum, 

Thandi HAWAA Pass Aati Hai Mere, 
Aur Kehti Hai, 
Bahoot Udaas Ho Na, 
Agli Baar Jab Loot kar Aaoogee, 
Sapno K Desh Se, 
Zaroor Lekar AaoogI, 
Uska Pata, 

BAADAL Kehte Hai, 
Hum To Bhatakte Hai, 
Desh-Pardes Mein, 
Kabhi Chalna Hamare Saath, 
Milkar Taalashainge Tere CHAAND Ko, 

Chaad,Sitare,Hawaa,Koyal, 
Sab Karte HaiN Tumhari Baatain, 
Main Sunta Hun Chupchaap, 

Aur Sabke Chale Jane K Baad, 
Dheere Se Booltaa Hun Ek Baat, 
Main Jaanta Hun, 
Tum Jahan ho, 
Jahan Kahi Bhi Ho, 
Zaroor Sunn Logi Ye Baat,

Hamain khabar hai tamam dukh hai


Hamain khabar hai tamam dukh hai….
Yeh zindagi ko aasmanoon ki wus’satoon say
Hazar sadiyoon say mil raha hai… payam dukh hai
Jo karzar-e-zawaal hasti ko, dhoop chaoon ki
Ahatoon say chala raha hai… nizaam dukh hai
Sehar to ik mushtasir sa ghum hai,
Taweel din ki hawailioon kay, jo rastoon main thehar gai hai
Wo shaam dukh hai, yeh shaam dukh hai
Kay iski sheh par kai dinoon say
Musafiran-e-abd ka aisay firaq asaar rastoon par
Safar to khair ik almiah hai, qayaam dukh hai
Hamain khabar hai, tamaam dukh hai
Yeh aas dukh hai, niraas dukh hai
Udasioon ka libaas dukh hai
Yeh tishnagi jo azaab bun kar thehar gai hai
Badan kay boseeda sahiloon par
To iska ehd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Hamain khabar hai tamaam dukh hai
Yeh tum muhabbat nibhatay ho, to is muhabbat ka naam dukh hai
Yeh wasl mausam jo ik musalsal zabta hai
To is rafaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numa fiza main
Khamoosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi say kalaam dukh hai..
Hamain khabar hai.. tamaam dukh hai….

Jab Bhi Kisi Shajar Se Samar Se Toot Kar Gira

Jab Bhi Kisi Shajar Se Samar Se Toot Kar Gira
Logon Ka Ik Hajoom Udhar Toot Kar Gira

Aisi Shadeed jang Hoi Apnay Aap Se
Qadmoon Pe Aa K Apna Hi Sar Toot Kar Gira

Hathon Ki Larzishoon Se Mujhe Is Tarah Laga
Jiasy Meri Duaa Se Asar Toot Kar Gira

Itni Daastaan Hay Meray Zawaal Ki
Mai Udh Raha Tha Jis Se Wo Parr Toot Kar Gira

Wo Chaand Raat Door Chamakta Raha 
Banhoon Main Aa k Waqt E Sehar Toot Kar Gira

sadaa detii hai Khushbuu chaand taare bol padate hain

sadaa detii hai Khushbuu chaand taare bol padate hain
nazar jaisii nazar ho to nazaare bol paDate hain 

tumhaari hii nigaahon ne kahaa hai ham se ye aksar 
tumhaare jism par to rang saare bol paDate hain 

mahak jaate hain gul jaise sabaa ke chuum lene se. 
agar laharen muKhaatib hon kinaare bol parte hain 

zabaaN se baat karane men jahaaN rusvaaii hotii hai 
vahaaN Khaamosh aaNkhon ke ishaare bol parte hain 

chhupaanaa chaahate hain un se dil ka haal ham lekin 
hamaare aaNsuon men gam hamaare bol parte hain 

terii paabandiyon se ruk nahin sakatiin ye fariyaaden 
agar ham chup rahen to zaKhm saare bol parte hain!!!

Qissa-e-gham main tera naam likha hai

Qissa-e-gham main tera naam likha hai 
Ashk ki kataron say yeh kalam likha hai 

Uff humain chednay ki yeh ada to dekhayee 
Ghair ko khat main hamain salaam likha hai 

Ek nigah is taraf kah tishnagii bhujji nahi 
Phir qabool sab aap nay jo anjam likha hai 

Koi padh na lai meray gham kah afsanay ko 
Aap ki ankhoon main sab tamaam likha hai 

Kiya karain taauruf apna, tum say dostoo 
Humnay to takhalus apna ‘nakaam’ likha hai

jee ka rog niralaa hai..

jee ka rog niralaa hai..
jab yeh kasoo ko holay hai,
taaron ke sang jaage hai....
ashqon ke sang solay hai .

baad-e-sabaa deewani hai....
gulshan-gulshan dolay hai.
kis jalwe ko dhoonde hai...
ghunghat ghunghat kholay hai.


os badee deewani hai..
dasht main moti rolay hai.
chaand badaa shaudaai hai....
dhoodh main heere dholay hai.


Dil apna mastanaa hai...
rahbar-rahzan kya jaane.
jo bhi dhab se baat kare...
saath useekay holay hai.


iss tiflon ke mele main....
khel-khilonay bikte hain.
aansoo kaun khareedega...
kyon palkon par tolay hai.


yeh to'sukhan' deewanaa hai..
. iski baatein kaun sunay.
'faiz'-o-'firaaq' ki mehfil main....
'mir' ki boli bolay hai!!!!!!!!!!!!

Dard hua to dil se awaz aye maa

~Maa~ 

Dard hua to dil se awaz aye maa
Takleef hue to yaad teri aye maa
==============================
==============================
Jab Sab na chor deya Mutlabi bewafa kah ke
Phir majhey tere achal ki yaad aye maa
==============================
===============================
Main kitna badnaseeb hoon
Logo se piyaar maanga maine Mile majhey Tanhai
Tuney Bin maanga Kitna piyaar deya 
Aur main teri hi kadar na kar saka maa
==============================
===============================
BadGumani mein har ek ko maine Seena se lagaya
Bus Badnaseebi to dheko bus tujhey hi apne galey se na laagaya maa
================================
=================================
Duniya ki ranginyon mein kohya raha
bus ek tujh hi ko bhool ka sab ke pecha bhagta raha
Teri Tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha
Main badnaseeb teri maafi ka kabil bhi na raha
=================================
==================================
Jab Hosh mein aya To maloom hua ke 
kio apna nehi bus tere siwa maa
==================================
============================
Teri goad main sar rakh ke ro ro ke mout-e-faryad ki dua ki
Maa na rote rote apni zindagi apni khushiya bhi mere naam ki
==========================================
==========================================
Main Kitna beaqal kamzarf hoon
Tera khwab bhi pura na kar saka main tere leya kuch bhi na kar saka maa
==========================================
==========================================
Maine kitne dhuk deya 
Aur tuney uff tak na ki maa
tuney kabhi na saath chora 
Na kabhi kuch kaha majhey tuney maa
===========================================
===========================================
bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile
main kuch bano ya na bano
bus ek arman hai zindagi ka
===========================================
Main ek dafa teri goad main sar rakh so sako maa
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon maa
Bohat dard ho raha hai maa
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do maa
==========================================
Yeh  Bohat badkar hai
es ki har galati maaf kar do maa

==================================

Us ki Bataein rothi rothi

Us ki Bataein rothi rothi
Jis ka Lehja metha metha hei
Us ki Ankh samundar jaisi
jis ki Zaat mei sehra hai
Raat say Gehri soche us ki
Jis ka Rang Sunhera hai
Phool or Kaliyan Chunney wala
khud kion Bikhra Bikhra hai
Chand se Baatein karnay wala
Dekho kitna TANHA hai~!!

Kathin hai Rah-Guzar Thori Door Saath Chalo


Kathin hai Rah-Guzar Thori Door Saath Chalo 
Boht bara hai Safar Thori Door Saath Chalo 



Tamam Umar kahan koi saath deta hai 
Mai janta hoon magar Thori Door Saath Chalo 



Nashe mai chuur hoon mai bhi, Tumhein bhi Hosh nahi 
Bara Mazaa ho agar Thori Door Saath Chalo 



Ye Ek Shab ki Mulaqat bhi Ganimat hai 
Kise hai Kal ki Khabar Thori Door Saath Chalo 


Abhi to Jaag rahe hain Chirag Raahon ke 
Abhi hai Door Sahar Thori Door Saath Chalo 



Tawaaf-e-Manzil- e-Jana Hamein bhi karna hai 
'Faraz' Tum bhi agar Thori Door Saath Chalo 

Muntazir huN tera khat teri khabar aaye

Muntazir huN tera khat teri khabar aaye, 
Rasta bhi keh raha ke kab tu ghar aaye. 

Manaa ke teri baat ghalat nahi hai magar, 
Ye bhi sach hai ke sab gunah mere sar aaye. 

Mile sukuN agar mujhe use bhulaane me, 
Khayal jab bhi aaya ke ashk bhar aaye. 

Tujhse bhi kya umeed rakhuN aE sajid, 
Pani nahi gira bahot abr aaye.

Ek yaad nay tarrpaya mujh ko

Ek yaad nay tarrpaya mujh ko 
Dil kiss morr pay laya mujh ko 

Yaadein Tanhai aur Beeta mausam 
Kia kahoon kis nay sataya mujh ko 

Ajab sa lutf hai teri judai 
Dil nay her baar bataya mujh ko 

Maikhanay to band ho chalay 
Ye jaam kis nay pilaya mujh ko 

Sarr-e-shaam hi mehfil bujh gai 
Phir kyoon shabb nay uthaya mujh ko 

Patt-jharr hoon ya veeran gali 
Ye hasraroon nay meri jalaya mujh ko 

Kartay hain kaisay band aankhein 
Ek shaksh nay sikhaya mujh ko

Sahil-e-Samander Our Hathoon Mien Hath

Sahil-e-Samander Our Hathoon Mien Hath 
Ho Sham Ka Waqt Our Tumhara Sath 
Waqt Chalta Rahey Yunhi Qadam-ba-Qadam 
Chand Dhalta Rahey Yunhi Sath Sath 
Ab Tou Khawish Hai Yehi Ae Zindagi 
Thaamey Rakhien Yunhi Harr Raah Main Tumhara Hath 
Tujhey B Khawish Hoi Hai Kabhi Ae Zindagi Merey Sath Ki 
Main Tou Rahoo Harr Pall Terey Khyaloon K Sath Sath

hothon pe unka naam,dil me intzaar rahega


hothon pe unka naam,dil me intzaar rahega 
ujre deewane ko phir basne ka khwab rahega 

hume pata hai woh wapis nahi aayenge 
nadiya ko phir bhi beh chuke pani ka intzaar rahega  

sheshon pe jo dararen daal gaye 
sheshon ko un patthron se pyar rahega  

woh ek baar karen to sahi waada milne ka 
hume har zanam unka intzaar rahega  

yeh jo pyar ke dushman meri laash ko jala aayenge 
unko kya pata? meri raakh tak ko unka intzaar rahega

Dil chhed koi aisa nagma geeton mein zamana kho jaaye

Dil chhed koi aisa nagma... 
geeton mein zamana kho jaaye... 
dil chhed koi aisa nagma... 
ye aah meri duniya ke liye... 
ye aah meri duniya ke liye... 
khushiyon ka tarana ho jaaye... 
dil chhed koi aisa nagma... 


aawaaz mere toote dil ki.. 
duniya ke dilon ko tadpa de.. 
aawaaz mere toote dil ki.. 
duniya ke dilon ko tadpa de 
patthar ka jigar bhi sunke jise 
ek baar wo paani ho jaaye.. 


hai jisne hamein ye dard diya... 
hai jisne hamein ye dard diya... 
ham usko duaaein detein hai.. 
ye dard dawa ban jaayega 
ek din jo purana ho jaaye... 

hai tujhko kasam ay dil ki jalan 
aankhon mein na aasun aa jaaye.. 
hai tujhko kasam ay dil ki jalan 
aankhon mein na aasun aa jaaye.. 
aisa na ho tere rone se.. 
mehfil mein tamasha ho jaaye... 

dil chhed koi aisa nagma... 
geeton mein zamana kho jaaye... 
dil chhed koi aisa nagma...

Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho

Woh jahaan banade koi jahan pyar hi pyar ho 
Jahan mann ka sakoon aur dil ka karaar ho

Jahan her taraf churiya chehkein aur mann muskaye 
Jahan hazaron phool khile aur her mausam bahar ho

Jahan koi shikwa na ho na koi kare gunah 
Jahan sirf hansti howe sachai ka ikaraar ho

Jahan milan ho pyar karnewale har dil ka 
Jahan bewafai na ho aur na hi intazaar ho

Jahan mohabbat ki kabhi na haar ho 
Jahan sirf khushiyan ho aisa koi Sansaar ho ..

Tumhare dard ko phechan bhi tu jata hai

Tumhare dard ko phechan bhi tu jata hai 
woh rothta hai magar maan bhi tu jata hai 

main aik boot ka poojari hoon par yeh sochta hoon 
boton ke ishq main iman bhi tu jata hai 

tu jaan uss pe chirakti hai bawajod iss ke 
woh tere ghar se pareshan bhi tu jata hai 

woh shakhas tujh ko rolata zaroor hai lekin 
woh tere qurban bhi tu jata hai.

khushbu ghunche talash karti hai

khushbu ghunche talash karti hai

beete rishte talash karti hai

jab guzarti hai us gali se saba

khat ke purze talash karti hai

apne mazi ki justuju main bahar

peele patte talash karti hai

ek ummid bar bar akar

apne tukde talash karti hai

Main Kaisay Bhool Jaaon Un Haseen Raaton Ko

Main Kaisay Bhool Jaaon Un Haseen Raaton Ko
Un Haseen Raaton Ke Bheegi Barsaaton Ko 

Bheegi Barsaaton Ke Rangeen Mulaqaaton Ko
Rangeen Mulaqaaton Ke Taweel Baaton Ko 

Main Kaisay Bhool Jaaon Tere Sard Haathon Ko
Mere Haathon Main Diye Gai Waadon Ko 

Un Waadon Main De Gai Kasmaon Ko
Un Kasmon Ko Nibhanay Ke Baaton Ko 

Main Kaisay Bhool Jaaon Tere Jheel Se Aankhon Ko
Un Aankhon Main Kisi Aur Ko Panay Ke Duaaon Ko
Un Duaaon Main Phir Bheegti Nigahon Ko

ye tum se kis ne keh diya akhir key

ye tum se kis ne keh diya akhir
key........
kisi returant ke neem tareek goshey main
beth kar madham sargoshion main
muskuratey labon se baat karna
aur ice cream ke cup main chamach hilatey huey
khwhsih-e-dil ko zuban pe le ana
muhabbat hai?
ye tumhey kis ne keh dia akhir
key........

jaiez -o-najaiez ke falsafey ka assa thamey
ikhlakiyat ki apni kasoti banaey
jo azhad-o-behad ki diwarr sajaey
bila dastak berooh makan-e-jisim main darr ana
muhabbat hai?

bulkeh muhabbat tu.......
durr daraz ke kisi wehsihi qabiley main
basney wali koi chalak devi hai
jo tumhari aana ko apne tilisem se
yun qaeid karti hai
keh tum apna sara zaum bhool jatey ho
muhabbat munn ka sucha soda hai
jisey bazar main becha nahi kartey
muhabbat aik nazuk si larki hai
jisey rolaya nahi kartey
muhabbat ko yun zaya nahi kartey......

utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua

utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua 
naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada 

tum ko rahat milay , tum ko chahat milay 
tumhain saray jahan ki muhabbat milay 

jahan main sab se hon achay tumharay naseeb 
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay 

dil ki har aarzooo poori Khuda karay 
tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay 

mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan 
dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan

Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki

Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki 
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justojoo Na Ki 

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein 
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki 

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas 
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki 

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar 
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki 

Karta Raha Biyaan Woh Geeroon Kay Samanay 
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki 

KyuN Dil Mein Chuppaye Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq 
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki 

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba 
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki

Mehfil mein baithey hain, phir bhi hain tanha

Mehfil mein baithey hain, phir bhi hain tanha
Kaisi hai yeh kaifiyat, kis gunah ki hai sazaa?

Khata kya hui hum se jo rooth ke tum chal diye
Jitney they khuswahishoun ke diye, sab bhuja kar chal diye

Shayad kabhi kisi mehfil mein, tum ko bhi yaad aaye 
Us insan ki, jo tumhari khatir abh bhi ek isharey pe mar jaye 

Agar main mita bhi doun tumko apney khayaloun se 
Tum rahogey merey saath, bas ke meri saasoun mein 

Zindagi ke ghamoun se mangtey hain hum panah 
Mehfil mein baithey hain, phir bhi hain tanha

Aap ka naam le kar pee rahey hain gham-e-dil ka jaam

Aap ka naam le kar pee rahey hain gham-e-dil ka jaam 
Mohobbat ne tukhraya, yuunhi chor diya sar-e-aam 

Bebus houn main, ke dil par abh koi qaboo nahi 
Jaan kar bhi anjaan banta hai, sachai ko manta nahi 

Suna tha ke ishq mein ek alag khushi milti hai 
Merey hissey mein khushi nahi maut aai hai 

Maut bhi aai to aisey ke tarapta chor gai 
Kaha ishq kya hai to abh saza bhi bhugto!

Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana


Laut kar ana bhi bhool jao, itne duur mat jana 
Chah kar bhi na palat pao, itne duur mat jana 

Ye fasley har rabta bhi phir torr dain 
Mere bad tum mujhe bolao, itne duur mat jana 

Tumhari har baat pe hai dil ko aitebar 
Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne duur mat jana 

Waqt ke saath har umeed hi mar jaye 
Ye bhi ke tum wapis aao,itne duur mat jana 

Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan 
Har yaad ko tum bhulao,itne duur mat jana !!

Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai


Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai 
hum jis ko chahtay hai, ussay hum se gila hai 

Hum naam bhi laitay hai toh dartay hai qasam se 
affsoss kay har baar mera ghar hee jala hai 

Dil chahta hai hum bhi zamaanay ko mithaa dhay 
dartay hai faqat Rub se kay woh apna khuda hai 

Woh bhoool bhi jaaye humay toh ghum nahi hai 
chaaha hai jisay dil, woh yaha kis ko mila hai 

Kaliyo kee tarah hum bhi biker jaaye ge aik din 
yeh baat hai sachi kay yeh qismat ka likhaa hai

Zindigi Tujhe Ko Jiya Hay Koye Afsos Nahin

Zindigi Tujhe Ko Jiya Hay Koye Afsos Nahin
Zehar Khud Main Nay Piya Hay Koye Afsos Nahin

Main Nay Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Dunya Main
Bas Ye Hi Jurm Kiya Hay Koye Afsos Nahin

Meri Qismat Main Likhay Thay, Ye Un hi K Aansoo
Dil K Zakhmon Ko Siya Hay Koye Afsos Nahin

Ab Giray Sang K Sheshon Ki Ho BARISH Fakhir 
Ab Kafan Orh Liya Hay Koye Afsos Nahin  

Popular Posts