Monday, June 21, 2010

Ab dard ka sooraj kabhi dhalta hi nahi hay

Ab dard ka sooraj kabhi dhalta hi nahi hay
ab dil koi pehloo ho sambhalta hi nahi hay

bay chain kiya rehti hay jis ki talab-e-deed
ab baam pay woh chaand nikalta hi nahi hay

aik umer say duniya ka bas aik hi aalam hay
ye kiya kay falak rang badalta hi nahi hay

nakaam raha un ki nighaahon ka fasoon bhi
is waqt tu jaado koi chalta hi nahi hay

jazbay ki karee dhoop ho tu kiya nahi mumkin
ye kis nay kaha sung pighalta hi nahi hay

No comments:

Popular Posts