jee ka rog niralaa hai..
jab yeh kasoo ko holay hai,
taaron ke sang jaage hai....
ashqon ke sang solay hai .
baad-e-sabaa deewani hai....
gulshan-gulshan dolay hai.
kis jalwe ko dhoonde hai...
ghunghat ghunghat kholay hai.
os badee deewani hai..
dasht main moti rolay hai.
chaand badaa shaudaai hai....
dhoodh main heere dholay hai.
Dil apna mastanaa hai...
rahbar-rahzan kya jaane.
jo bhi dhab se baat kare...
saath useekay holay hai.
iss tiflon ke mele main....
khel-khilonay bikte hain.
aansoo kaun khareedega...
kyon palkon par tolay hai.
yeh to'sukhan' deewanaa hai..
. iski baatein kaun sunay.
'faiz'-o-'firaaq' ki mehfil main....
'mir' ki boli bolay hai!!!!!!!!!!!!
No comments:
Post a Comment