Monday, June 21, 2010

Inhin Khushgumaniyon Men Kahin Jaan Se Na Jao


Inhin Khushgumaniyon Men Kahin Jaan Se Na Jao
Wo Jo Nahi Hai Tabeeb Use Zakhm Kyun Dikhao

Ye Udasiyon Ke Mausam Kahin Yun Guzar Na Jayen
Kisi Zakhm Ko Kuredo Kisi Zakhm Ko Jagao

Wo Kahaniyan Adhuri Jo Na Ho Sakengin Poori
Unhen Main Bhi Kyun Sunaun Unhen Tum Bhi Kyun Sunao

Mere Humsafar Purane Mere Ab Bhi Muntazir Hai
Tumhe Saath Chhodna Hai To Abhi Se Chhod Jao

Ye Judaiyon Ke Raste Badi Door Tak Gaye Hain
Jo Gaya Wo Phir Na Lauta Meri Baat Maan Jao

Kisi Bewafa Ki Khatir Ye Junoon Faraz Kabtak
Jo Tumhe Bhula Chuka Hai Usse Tum Bhi Bhool Jao

No comments:

Popular Posts