Friday, April 30, 2010

Uan ki aankhoon say mujhay kehnay nadeti hai

Uan ki aankhoon say mujhay kehnay nadeti hai
Kahoon kiya zuban say mujhay bolnay na deti hai 

Karti hai tang mujhay sapnoo main aakay
Kiya karoon raatoo ko sonay na deti hai 

Meri saansoon main mere dil main basi hai
Dharhkanoon ko dharhkanoon say milnay na deti hai 

Kaali si zulfoon main qaid karleti hai
Apnay door mujhay rehnay na deti hai 

Sangeet iski chahhat ka man main basaa hai
Magar kiya karoon woh mujhay ganay na deti hai

Ye bhi ek daur hai Ye bhi guzar jaayega


Ye bhi ek daur hai

Ye bhi guzar jaayega

Ye mast kharamaan waqt

Apni chaal badal jaayega

Is jism ka her ansar

Qatra qatra pighal jaayega

Be-khwaab in raaton say

Her khwaab nikal jaayega

rang badalte chehron ka

ek aur rang dhal jaayega

zakhm puraane kehte hain

Naya her derd behal jaayega

Zindgi ek musafir ka quba

musafir chola badal jaayega

mai ek haqeeqat hun abhi

mujh per bhi ye kal aayega

Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai

"Khabhi Socha Hai Tu Nay Dil Kia Kheta Hai?
Khabhi Socha Hai Kia Hota Jab Dil Toot ta Hai?
Kitna Dard Hota Hai..
Jab Aapnoo Say Khauff Hota Hai..
Woh Manzar Bhi Kia Manzar Hota Hai..
Jab Tu Kareeb Reh kar Bhi Door Hota Hai..
Kitna Kamzor Vo Shakhs Hota Hai..
Jo Dost He Ko Dhoka Deta Hai..
itna Bandnaseeb Woh Q Hota Hai..
Jo Majmay Main Bhi Aakela Hota Hai..
Judaee Ka Ghum Bhi kia Ghum Hota Hai..
Kiun Her Koi Mujh Say Sawal Karta Hai..
Kiun Mera Dil Her Bar Roo Deta Hai..
Abb Tu Saya Bhi Yeh He Sawal Karta Hai..
Kaisay TOo itna Khush Rehta Hai....

Ye bekhudi keh rahi hai

Ye bekhudi keh rahi hai

Ye be-sabab nahi hai

Koii dushman hosh ka hai

Koii hosh ab nahi hai

Diwana dil keh raha hai

Diwana ye kub nahi hai

Khird ka ab kya karoge

Khird gar sab nahi hai

Duniya se kya dil lagana

Duniya apni jub nahi hai

Kal khwaab ke siwa kya

Kal gar koi shab nahi hai

Her saans kasmakash hai

Her taraf tu jub nahi hai

Kahin kisi shehar may


Kahin kisi shehar may

Phir kisi ke ghar may

Koii hasrathon ka maara

Aaj mar gaya hoga

Dilon ke bhed saarey

Jaan lete hain sitaarey

khud apni hi chaal se

Koii dar gaya hoga

Ye do ankhen dekho

Kitne khwab dekhti hain

Kisi ka Insey guzar kar

waqt teher gaya hoga

Kahin nafs brahana hai

Kahin arzu sarghana hai

Asaan hai shikaar hona

Shikaar kar gaya hoga

Usey marghub chahten hain

be-bas ki shikayeten hain

Uska ab bhi wahi thikana

Wahin vo Phir gaya hoga

Tasveer teri jub bhi Nigahon may aagai


Tasveer teri jub bhi
Nigahon may aagai
Ye khana-e-dil jaise
Baqa-e-noor hogaya
Jaise kahin koii shola
bujh kar tuur hogaya
kahin koii butt gira
gir kar chuur hogaya
mera wajud teri hasti
tu mera surur hogaya
jisne bhi nigah daali
vo mass-hoor hogaya

Meri muthi main band, Ek Jugnoo

Meri muthi main band,
Ek Jugnoo !!
Bahar nikalna chahta hai,
Par nikal paata nahin..
Raasta dhoondta hai!!
Par dhoond paata nahin..
Main muthi kaise khool doon..
Wohi to mera apna hai..
Agar muthi khul gaye to,
Woh Ur Jaye Ga....
Mere liye mur kar,
Kabhi nahin aayega...
Woh jaanta hi nahin,
Mujhay woh kitna piyaara hai !!
Wohi to bas ek sahaara hai !!
Woh jaanta hi nahin...
Jaanay bhi to kaise,
Woh to apni dunai ka baasi hai,
Meri Dunia..!!
Jo sirf meri dunai hai...
Woh us k liye Anjaani hai..
Woh jaana chahta hai..
Usay jaana hi hogaa..
Kion k !!
Kaye Sitaaray,
Us k muntazir hain !!
Kaye Bulbul,
Us k Muntazir hain..
Usay unhain rasta dikhana hai !!
Us safar pe usko jaana hai !!
Main itni Zaalim to nahin..
Main itni Sangdil to nahin...
Nahin..
Main Khud Gharz to nahin..
Meri muthi ko khulna hi hogaa..
Us Jugnoo ko Urnaa Hi Hogaaa !!
Batool bhi kitni Pagal hai..
Dost banaya bhi to usay !!
Jo Charaagh hai kaye manzilon kaa !!
Jo Raahi hai kaye Raaston kaa..
Usay aagay janaa hi hogaa..
Apni Manzil ko paana hoga...
JAA Mere Jugnoo..
Aaaj main ne muthi apni khol di..
Ye Haath Phir se Khaali hain..
Na Janay kaisay Sawaali hain..
Khairaat koi de jaata hai..
Do Pal ki khushi de jaata hai..
Ye Phir bhi kion Matwaali hain..
Ye Haath Phir Se Khaali hain..!!!

Shahar-e-khamoshan se Aaya hai ko qaasid

Shahar-e-khamoshan se

Aaya hai ko qaasid

Khamoshion may koii

phir se tahalka hai

her dam badal raha hai

rang ulfaton ka

ab ke himaqaton ka

rang bhi halka hai

her baar us se mil kar

usko hi humne dhunda

her chehre per hai qaadir

ye usi ka malka hai

tauba uski be-niyaazi

ishq ki dekh sarfarazi

ashiqon ki her ada may

wahi tou jhalka hai

apna ye nahi thikana

us se milkar raaz jaana

uske sang safar ye

gulshan se gulka hai

her qadam ek manzil

her raah,raah-e-haq hai

mila raahbar ki surat

makeen mere dilka hai

Aaj kal dekhiye saahibo

Aaj kal dekhiye saahibo

Sohabaton ka bhi mole hai

Umrbhar yehi socha kiye

Mohabbat badi anmol hai

Ab jaa ke samjhe hain hum

Ye duniya kyon itni gol hai

Gardish-e-dauraan ne dekhiye

Khola kaise kaison ka pole hai

Dono haathon se taqdir ke pitey

Dil hai ke jaise koi dhol hai

Kaash hoti khwab ye zindgi

Haqeeqaton may bada jhol hai

Ab yaqeen ko samjhayen kya

yehan her koi danwa dole hai

Fareb hai ye Duniya dilfareb

Sacha buzargon ka qaul hai

riaz e dahar main na ashnaa e bazm e ishrat hoon

riaz e dahar main na ashnaa e bazm e ishrat hoon
khushee rotee hay jiss ko main woh mehroom e mussarat hoon
aai taro na pocho chamanistan-e-jahan ki
golshan nahi basti hai vo ik aah-o-fogan ki
aati hai sabah vaaN say palat janay ki khatir
baychari kali khilti hai morjhanay ki khatir

ZINDAGI KUCH ESE LAGI MUJE

ZINDAGI KUCH ESE LAGI MUJE
JESE HO KOI KHALI MAKAN
ZINDAGI SE MILA WO KUCH MUJE
JESE PAI HO KISI GHUNA KI SAZA
ZINDAGI SE MILI HAI MUJE TANHAI
JESE HOWA HON MAIN TAN SE JUDA
ZINDAGI BHI KIA KHUB RANG DEKHTAI HAI
APNO KO BHI KABHI KABHI BEGHANA KAR DETI HAI
ZINDAGI SE HON MAIUSS TU NAHI PER
SHIKWA KIA THA LEQEEN SILA MILA BHI NAHI

Umar ka tumhara Ye saal pehla

Umar ka tumhara

Ye saal pehla

Aane waali sadi ki

Ek aisi kadi hai

kahin na kahin

Sab ki Arzu

tumse judi hai

Koi khwab tumhare

Gar dekhta hai

Meri jaan Daanish

Tumhari khushi may

Khuda dhundta hai

Jeene ka matlab

Tumse mila hai

Tumhara hona

Zindagi ka silsila hai

Tumhara haseen chehra

Meri Dua hai

Tumhari muskurahat

dil ki dawa hai

meri jaan tum ko

milengi sab ki duayen

ye mehafi tumhari

saja rahi hain maayen

ye buzargon ke saaye

faizaan-e-rahmat

inhi ki badaulat

milegi tumko junnat

meri jaan tumko

ye hi payaam denge

inhi may tumko

rahabar apne milenge

meri jaan Daanish

danishwari ki

tum missal banna

choton se mohabbat

badon ki tazeem karna

apne Abba ke dilse

apne phuul chunna

tahmmul ka daman

Ammi ka daman samjhna

tumhare rang saare

khuda ko hain pyaare

usine asmaan se

hain ye jalwey utarey

basher ko samjhaii haqeqat

warna insaan insaan se

kaise karta mohabbat

tum ye mohabbat nibhana

ho tum se roshan zamana

Mujhe raah dikha ke tum


Mujhe raah dikha ke tum

Na chod dena raah may

Tumhari raah na sahi

Meri raah tumhi se hai

Mai kub se darmyaan

Khadi hun intizar may

Tumhara saath na sahi

Her baat tumhi se hai

Tumhare safar se hi huii

Is safar-e-na-tamam ki ibtida

shauq-e-manzil na sahi

ye dil tumhi se hai

tamaasha jo bane rahe

Ehsaas jaane kahan gaye

Apna patta na sahi

ye atta tumhi se hai

Ghum ab kis ka Karen

Wajah samjhe they jisey

Uska nishaan na sahi

Apna nishaan tumhi se hai

kuch yadain dil per jum jati hain

kuch yadain dil per jum jati hain
jinhy nah barish ka pani mita sakta hai
na hi uonhy hawa ka zoor doour laiy ja
sakta hai
nah yee kisi terha hawa mai tahleel
ho sakti hain
nah mai inhe khurach ker
nikl sakti hain
aaisi hi ek yaad mery dil per hai
woh ekpal jisme humne dunya ji li
woh lamha amer ho chuka hai
lakin
aaj bhi tumhary doour hone ka sadma kam nahi hota
sunno ek baatkahni hai
lout ao
lout ao

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
huaa raqiib to ho, naamaabar hai, kyaa kahiye
ye zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qazaa se shikavaa hame.n kis qadar hai, kyaa kahiye
rahe hai yuu.N gah-o-begah ke kuu-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai, kyaa kahiye
zih-e-karishma ke yuu.N de rakhaa hai hamako fareb
ki bin kahe hii u.nhe.n sab Khabar hai, kyaa kahiye
samajh ke karate hai.n baazaar me.n vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kyaa kahiye
tumhe.n nahii.n hai sar-e-rishtaa-e-vafaa kaa Khayaal
hamaare haath me.n kuchh hai, magar hai kyaa kahiye
u.nhe.n savaal pe za_om-e-junuu.N hai, kyuu.N la.Diye
hame.n javaab se qat_a-e-nazar hai, kyaa kahiye
hasad sazaa-e-kamaal-e-suKhan hai, kyaa kiije
sitam, bahaa-e-mata_a-e-hunar hai, kyaa kahiye
kahaa hai kisane ki "Ghalib" buraa nahii.n lekin
sivaay isake ki aashuftaa_sar hai kyaa kahiye

Ye mehafil-e-shauq sajaane waale


Ye mehafil-e-shauq sajaane waale

ye tere shauq ki manzil paane waale

ye tere mehbub se dil lagane waale

ye zikre mehbub ko vird banaane waale

ye tere ishq ki milaad manaane waale

ye ishq ki aag may khud ko jalaane waale

paalenge tujhe yarab unko paane waale

ye Do aalam apne Aaqa pe lutaane waale

ye Baab-e-junnat ka khwab sajaane waale

ye sabz gunbad dil may basaane waale

ye deewane ahad-e-ulfat nibhaane waale

sar ke bal aayenge,bulayenge bulaane waale

Rut hai rehmaton ki


Rut hai rehmaton ki

Mosam hai bakhshishon ka

Koi lamha faiz ka

Bas mil jaane ko hai

Vo surkh rang mosam

Phir se aane ko hai

Phir rang uske dil ka

Rang laane ko hai

kuch aur derd ko

tu nikhar jaane de

Phir is ghadi ko

tu qareeb aane de

abhi bada maza hai

is khud-faramoshi may

lahza lahza yon bikharti

be-tarteeb dhadkanon may

koi musalsal keh raha hai

tu sada mera raha hai

kisi zameen asmaan may

tere yaqeen,tere gumaan may

ek mubham khayal ban kar

tujh may chupa hua hai

wahin dost ka martaba hai

wahi azmat-e-Dua hai

Wada ye mara hai tum say

Wada ye mara hai tum say
Ka sath kabhi tumara nahi choron gen
Wada yea mara hai tum say
Ka hoga Koe muskill waqt nahi choron gen sath tumara
wada yea mara hai tum say
Ka chaho ga kise mur pa mara sath to don gen
Wada yea mara hai tum say
Ka jaan mango ga to wo bhi don gen tum ko
Wada yea mara hai tum say
Ka agar kabhi judai aye ge to choron gen nahi
Sath tumara
Wada yea mara hai tum say
Ka agar Kuch mango ga to don ge
Wada yea mara hai tum say
Ka kabhi nahi tooron gen wada yea sara

BE NAAM SA RISHTA

BE NAAM SA RISHTA
Main nahe janta k tumhare khuabon main mera guzar he ya nahe
magar mere khuab tum hi ne sajay hain
mujhe nahe pata k tumhare muskurahat main koi yaad he ya nahe
lekin mere muskan tum hi ho
najane tum hare nazar ko mera intezar he bhi ya nahe
magar mere nigahein tu tumhare muntazar hein
kia khabar k tumhare duaon main mera naam bhi he ya nahe
magar mere duaien tu bas tumhare lien hein
mujhe nahe maloom k tumhare rahein or manzelen kahan hain
lekin mere manzil tu sirf tum hi ho
main tum se bekhabar hi sahi magar tumhara muntazar hoon
tum se door hi magar saath tumhare hi hoon
Agar tum sucho tu.............!

Mujhe gila kisi se nahi hai


Mujhe gila kisi se nahi hai

Mujh may hi koi kami hai

Koi zarb jub dost ban kar

Jigar mera chaak karde

Meri ana ko pal bhar may

Koi Lamha khaak karde

Kahin koi chot ubhrey

ilzaam mere sar hi tehere

mai ghafil kahan hun khud se

ye roshni mili hai jahad se

pyaala lubon tak laate laate

zabt ke sabaq samjh may aate

tund hawaon se ghabrana kaisa

ye shamma jali hai jalaate jalaate

musaheb mamun-e-mehafil sada hai

wahin mere hosh ki dawa hai

jub talak koi ungli na uthey

insaan kaamil kub hua hai

Aainon ki bhala ab kya zarurat

Uski aankhon ne yehi kaha hai

Bhatka kare bhatkaane waala

Apna patta usi se mila hai

Zindgi ,Mai sherminda nahi hun

Ye meri aagahi ka silsila hai

Popular Posts